Sawaal az : mohtarama janaab Fatema sb (lucknow)
Kya periods ki halat me bina namaz ke khuda ka sajda kiya jaa sakta hai (matlab ye agar bina janamaz ke ho ) aur sirf 4 sajde namaz ki tarh kiya ja sakta hai ?
Taqleed : Agha Sistaani sb
Jawaab :
باسمه تعالی
یاصاحب الزمان ادرکنا
سلام علیکم
ji kar sakti hain
tamaam mustahabbi sajde ( jayse sajda'ae shukr ya qur'aan ke mustahab sajde ya zeyaarate aashurah ka sajda wa ... ) karne me koei haraj nahi hai
aur waajib sajde ( jayse qur'aan ke waajib sajde ) jin aayaat par sajdah waajib hai oun ko sunne ke baad sajdah karna zaruri hai
niche diae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
22 / ربیع الاول / 1443
No comments:
Comment