Sawaal az : Mohtaram Janaab Aabid Razavi Sb
Assalamo alaykum
Dua karta hoo aap khairiyat se honge.
Hum Hazrat mohammad mustafa (saww) ki paidaa'eish 17 rabbiawwal ko manaate hai aur ahle sunnat bhai 12 rabbiawwal ko aakhir aysi konsi wajha hai jis wajha se 12 rabiawwal manaate.. Kiya hamaare nabi ki paidaa'eish kahi par Confirm nahi hai jo do wilayt manai jaati h........ Ye question mujhse kisi ne kiya hai but afsos mere ps answer nahi tha... Plz bataay
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
aap ka bahot bahot shukriya
aksar mohaddesin aur mowarrekhin ka is par ittefaaq hai ke Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ki welaadat baa sa'aadat maahe rabi'oul awwal me huei, lekin jaisa ke aap ne khud aeshaara farmaaya aap ki taarikhe welaadat me aekhtelaaf hai
koei 6 rabi'oul-awwal kahta hai koei 8 koei 9 koei 12 aur koei 17 rabi'oul awwal
aaj tak musalmaan is ko bhi taiy nahi kar sake ke aap kis taarikh ko paiyda huae, mowarrekhin ki is kotaahi par jetna bhi afsos kiya jaa'ae kam hai
ahle sunnat me zeyaadah mash'hur 12 rabi'oul awwal aur shion me goya taiy shuda taarikhe welaadat 17 rabi'oul awwal aamul-fil (عام الفيل) hai. darmeyaan me 4 roz ka faasela hai
taarikhe welaadat 17 rabi'oul awwal hai, is par Allama Majlesi ne olamaa'ae imaamiya ke ijma wa ittefaaq ka zikr kiya hai
(muntahal'aamaal jild 1 p 24)
Aekhtelaaf ke asbaab :
tamhid me ye bataa dun ke tamaam haadiyaane din me sirf Imaam Husain (عليه السلام) ki zaat aiysi hai ke aap ki taarikhe sha'haadat me aekhtelaaf nahi hai, sab ne shia, sunni hatta ghair muslim masihi wa hinduon ... ne bhi 10 moharram likhi hai
ghair az shohadaa'ae karbala har aek ki taarikhe sha'haadat ya wafaat me aekhtelaaf hai
Imaam Husain (عليه السلام) aur shohadaa'ae karbala (سلام الله عليهم) ki ye aiysi yakta khosusiyat hai jis me koei sharik nahi hai
Rasule Akram (صلى الله عليه و آ له) ki taarikhe welaadat me akhtelaaf ki mokhtalif waj'hen ho sakti hain :
- aap ki welaadat aiyse daur aur aiysi jagah huei jahaan qabaa'aeli nezaam raa'aej tha, ous waqt mowarrekhin ke nazdik taarikhe welaadat ki koei khaas ahamiyat nahi thi aur likhne par bhi tawajjoh nahi thi ... lehaaza aiysi surat me aekhtelaaf aek aam baat hai
- qadim daur me aiyse zaraa'ae wa imkaanaat (jaise magazine, radio, t.v, phone etc) nahi the aur na hi aiyse aadaado shumaar (اعداد و شمار) jama karne ka koei tariqa'ae kaar tha, lehaaza jis taarikh me welaadat ki ittelaa huei wahi taarikh likh di
- shaayad aekhtelaaf wa mokhtalif taarikhon ki hikmat ye ho ke aiysi hastiyon ka zikr zeyaadah se zeyaadah ho
- ahle sunnat ki mohim dalil Ibne Is'haaq ka wo bayaan hai jis me kaha gaya hai :
Rasule khoda aam'mul-fil me peer ke din rabi'oul awwal ke mahine ki baarahwin taarikh me paiyda huae
(taarikhul omam wal moluk almaaruf ba taarikhe tabari jild 1 p 571 zikro maulede rasulullah)
Ibne Is'haaq ke bayaan ko motabar samajhte huae aksar olaamaa'ae ahle sunnat ne taarikhe welaadat 12 rabi'oul awwal likha hai
shion ki dalil azim shia mohaddesin kaa qaul hai, masalan osule kaafi me hai :
Welaadat 17 rabi'oul awwal ba'roz juma tolu'ae fajr ya zawaal ke waqt huei
(jild 1 p 439 ketaabul hujjah baab mauledun nabi)
zaahir hai shia mohaddesin ne Rasule khoda ki aal aur farzandon (صلوات الله عليهم) ke qaul wa qaraa'aen wa shawaahid ko asl wa bunyaad qaraar dete huae ye taarikh likhi hai
agar kisi shakhsiyat ki biography maalum karna ho to ous ki aulaad aur ghar waalon se puchhen wo behtar wa sahi bataa'aen ge
Arabi me aek kahaawat hai
صاحب البيت يا اهل البيت ادرى بما فى البيت
"ghar waale zeyaadah behtar jaante hain ke ghar ke andar keya hai"
agar Rasule khoda ki taarikhe welaadat maalum karni ho to Janaabe Saiy'yedah, Hazrat Ali, Imaame Hasan wa Husain wa baaqi Imaam (صلوات الله عليهم) bataa'aen ge
ahle sunnat ke olama wa mohaddesin ne taarikhe welaadat Ibne Is'haaq waghairah se liya hai aur olamaa wa mahaddesine shia ne Farzandaane Rasul (صلوات الله علیهم) se liya hai
ye aekhtalaaf ke aham asbaab hain
yahaan shaayad kisi ke zehen me ye baat aa'ae ke phir imaamon ki taarikhe welaadat wa sha'haadat me aekhtelaaf keyon hai ?
aaya shia olama wa mowarrekhin ne Khaandaane Rasul se naql nahi kiya hai ?
is ka jawaab dene ke liae aek mofassal ketaab chaahiae, mokhtasar samajh len ke :
shia olama, mowarrekhin aur mohaddesin ... Banu Omaiyya, Bani Abbas aur oun ki naajaa'aez fikri aulaad ke zere heraasat the ya zere nazar
baa aasaani Farzandaane Rasul tak oun ki rasaaei momkin nahi thi
oun ki ketaabon ko nazre aatish bhi kar diya jaata tha, mokhtalif kotub khaanon ko jalaa kar raakh kar diya
lehaaza aise naa'gufta'beh haalaat me jis taarikh ki eittela huei ousi ko beghair tahqiq kiye likh diya taake taarikhe welaadat wa shahaadat ke ta'alluq se koei bhi aehtemaal nazar andaaz na ho sake, sab mahfuz ho jaa'aen. tahqiq aainda naslon par chhod di
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
5 / صفر / 1440ھ.ق
No comments:
Comment