Maasumin ki qabren kahan hain ? keya Mazaar Sharif me Imaam Ali ki qabr hai ? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Wednesday, October 27, 2021

Maasumin ki qabren kahan hain ? keya Mazaar Sharif me Imaam Ali ki qabr hai ?

Sawaal az : mohtaram janaab Samar Abbas sb (Patna)


Assalamualaikum


Imaam Masoomeen alaihumussalam ki qabre mobaarak kahaan kahaan hain ?


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام ورحمةالله و بركاته


Rasule Akram ( صلى الله عليه وآله ) ki qabre sharif :


Aap madina'ae monaw'warah masjedun nabi ( صلى الله عليه وآله ) ke baghal me waaqe apne ousi khaas kamre me madfun hain jis me aap ki ruh qabz huei thi, ye kamra masjed-e-nabawi ( صلى الله عليه وآله ) ka hi hissa hai


(Aa'aeshah ke kamre me dafn nahi huae hain sun'ni israar karte hain ke Aa'aesha ke kamre me dafn huae dar haale'ke oun hi ki rewaayaat ... se saabit hai ke Aa'aesha ke kamre me madfun nahi hain )


Amirul momeneen Ali ( عليه السلام ) ki qabre anwar :


tamaam shion ka it'tefaaq hai, is me koei aekhtelaaf nahi hai ke aap iraq najaf-e-ash'raf me madfun hain


motabar rewaayaat, dalaa'ael aur taarikh se saabit hai ke aap ki qabr najaf-e-ash'raf me wahin hai jahaan is waqt zaa'aerine geraami zeyaarat ke liae jaate hain


is qabre mobaarak ko janaabe Nuh ne Amirul momeneen Ali ( عليه السلام ) ke liae tay'yaar ki thi


Amirul momeneen Ali ( عليه السلام ) ke mahall-e-dafn wa qabre shareef ke silsile me sun'niyon ne mokhtalif wa mota'addid aqwaal naql kiae hain, oun me se aekhtesaar ke saath sirf baaz molaaheza farmaa'aen :


  1. Madina'ae monaw'warah

  2. Masjed-e-kufa ka sahan

  3. Kufa, qasre aemaarah ke darwaaze ke paas

  4. qabila'ae "tay" ( طَی ) ke kuchh logon ne shabe 21 maahe ramzaan aek ayse gum'shudah ount ko dekha jis par aek sanduq tha, oun logon ne kheyaal kiya ke is sanduq me maal-o-daulat hai lekin jab ous sanduq me dekha ke keya hai to is baat se dare ke is ke maalik is ko ham se talab karen ge lehaaza sanduq me jo kuchh tha ous ke saath ous ko dafn kar diya aur ount ko nahr kar ke ous ka gosht khaa ga'ae. Banu Omay'yah aur oun ke payro'kaaron ke darmeyaan ye baat mash'hur ho gaei aur samjhe ke yahi baat sahih hai [ yaani sanduq me Amirul momeneen (عليه السلام) ka janaaza thaa] ...

  5. beraadaraane sun'ni ke hi mash'hur wa maaruf Aalim Ibne Abil Hadid sb likhte hain :


    ye sab aqwaal aur aekhtelaafe aara baatil hain, in ki koei haqiqat nahi hai, ye Banu Omay'yah ki man'ghadat ( من گھڑت ) baaten hain, Amirul momeneen Ali (عليه السلام) Najaf-e-ash'raf me hi madfun hain


    Amirul momeneen Ali (عليه السلام) ki aulaad aap ki qabr ke baare me zeyaadah behtar jaanti hain aur tamaam insaanon ki aulaad apne aabaa-o-ajdaad ( آباؤ اجداد ) ki qabron ke baare me zeyaadah behtar jaanti hain


    Amirul momeneen Ali (عليه السلام) ki aulaad jab bhi Iraq aa'ein isi qabr ki zeyaarat ki ( jo najaf-e-ash'eaf me hai ) oun me se aek Jaafar Ibne Mohammad [ imaame Jaafar-e-Saadiq (عليه السلام)] hain aur aap ke aelaawah dusre akaabir wa buzurg hazaraat


    ( tafsil ke liae sharhe nahjul balaagha jild 1 p 16 aur jild 4 p 81 - 82 taalif ibne abil hadid - naashir daar aehyaa toraasul arabi molaaheza farma len )

Banu Omay'yah hi ki sharaarat ke sabab sau ( 100 ) saal tak Amirul momeneen Ali ( عليه السلام ) ki qabr makhfi rahi jis ki wajah se Banu Omay'yah ko man'ghadat baaton ka mauqa mazeed mil gaya


mujhe yaqeen hai ke agar Abubakr wa Oumar, Rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) ke pahlu me ( ghasbi jagah ) dafn na huae hote to Aale Saqifa aur Banu Omay'yah wa in ki naa jaa'aez aulaad Rasule Akram ( صلى الله عليه وآله ) ki qabre shareef ko bhi mash'kuk bana dete


Afghanistan ke shahr "mazaar shareef" me aek qabr ( rauzah ) Amirul momeneen Ali ( عليه السلام ) ki taraf mansub hai


ye qabr amirul momeneen Imaam Ali ( عليه السلام ) ki nahi hai balke silsila'ae nasab wa shajare ke aetebaar se aap ke farzand ( imaam zaade ) ki qabr hai


farzand ( imaam zaade ) ka naam Ali aur kunyat Abul Hasan aur oun ( imaam zaade ) ke pedar ka naam wa kunyat Abu Taalib hai


is baare me maahire ansaab Aayatullaah Mar'ashi Najafi ( رضوان الله تعالى عليه ) aakhir me mazkur ketaab ke haashi'ye par likhte hain :


shahre "Balkh" ke nazdik Ali Ibne Abi Taalib ki jo qabr zeyaarat gaah hai aur "mazaar shareef" se maaruf hai ous ki zeyaarat "Aam'maah ( عامہ = sunni ) Amirul momeneen عليه السلام ki qabr ke ounwaan se karte hain, is ghalat fahmi wa ishtebaah ka sabab ye hai ke jo naam wa kunyat Amirul momeneen Ali (عليه السلام) ki hai wahi aap ke farzand ki hai [ yaani is bete ka naam wa kunyat wahi hai jo Amirul momeneen (عليه السلام) ki hai jis ki wajah se log farzand ki qabr ko Amirul momeneen (عليه السلام) ki qabr samajhne lage ]"


( al fakhri fi ansaabit taalebi'ein " اَلفَخرِى فِى اَنسَابِ الطَّالِبِيِّين " p 64 taalif syed iz'zud'deen maruzi - naashir maktabah Aayatullaah Mar'ashi Najafi )

isi wajah se is farzande Amirul momeneen ( عليه السلام ) ki qabr par likha hai :


" هَذَا قَبرُ عَلِى اِبنِ اَبِى طالِب"


"ye qabre Ali Ibne Abi Taalib hai"


Imaame Hasan ( عليه السلام ) ki qabr :


Madina'ae monaw'warah "jan'natul baqi"


Imaam Husain ( عليه السلام ) ki qabr :


Iraq ke shahr "Karbalaa'ae mo'alla"


Imaame Saj'jaad ( عليه السلام ) ki qabr :


Madina "jan'natul baqi"


Imaam Baaqir ( عليه السلام ) ki qabr :


Madina "jan'natul baqi"


Imaame Saadiq ( عليه السلام ) ki qabr :


Madina "jan'natul baqi"


( jan'natul baqi me 4 aeimmah at'haar madfun hain : Imaam Hasan, Imaam Saj'jaad, Imaam Baaqir aur Imaam Saadiq ( سلام الله عليهم ). isi liae aap hazaraat ko aeimma-e-baqi kaha jaata hai )


Imaame Kaazim ( عليه السلام ) ki qabr :


Iraq "Kaazemain" ( jo Baghdad se mila huaa hai, Baghdad ka aek mahalla hai )


Imaame Reza ( عليه السلام ) ki qabr :


Iran "Tus" ( jo khoraasaan ka aek shahr hai, is waqt Mash'had-e-Moqad'das se maaruf hai )


Imaam Taqi ( عليه السلام ) ki qabr :


Iraq "Kaazemain" me apne jad Imaam Musa Kaazim (عليه السلام) ke rauza me dafn hain ( Kaazemain me 2 imaam madfun hain )


Imaame Naqi ( عليه السلام ) ki qabr :


Iraq "sāmarrā" ( سَامَرَّه )


Imaame Hasan Askari ( عليه السلام ) ki qabr :


Iraq "sāmarrā"


apne waalide maajid Hazrat Imaam Ali Naqi (عليه السلام) ke rauza me dafn hain


( sāmarrā me 2 imaam madfun hain )


Imaame Mahdi mau'oud :


zindah aur parda'ae ghaib me hain ( عجل الله تعالى فرجه الشريف )


Janaabe Say'yedah ( سلام الله عليها ) ki qabre shareef :


naa maalum, aap ki qabr makhfi hai khoda aur ahlebaite nabi ( سلام الله عليهم ) ke aelaawah kisi ko bhi nahi maalum hai, 4 jaghon ke baare me mahz aehtemaalaat hain


aap ki qabr ka makhfi rahna aap ki mazlumiyat par behtareen sanad wa dalil hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


19 / ربيع ا لاول / 1443 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen