Gharon me phut daalna | imaam reza ka shion ke naam khula khat aur payghaam - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, December 19, 2019

Gharon me phut daalna | imaam reza ka shion ke naam khula khat aur payghaam

Sawaal az : Mohtaram janaab Haider Ali sb


Salaam Walekum


Agar koi aadami Kisi ko Galat ray de. Aur uske ghar ko todane ki koshish kare. Jaise kahe hum to 10,000 rs apne damaad ko har mahine dete hain aap  Ke sasural waale Kucch nahi dete. Aur behan ko bhai se. Maa ko baap se alag kar de.
Yeh kaisa gunaah hai ?


Regards
Haider ali | haider..... @gmail.com


Jawaab :


باسمہ تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


momenin me phut daalna, khaandaanon ko tukde tukde karna, miyaan biwi ke darmeyaan judaa'ei daalna, maa baap aur bhaei bahen ya bhaei-bhaei ... me fasaad wa phut daalna ... ye sab gunaahe kabirah, shaitaani amal aur shaitaan ke naqshe qadam par chalna hai


(tauba 107, baqarah 102, yusuf 100, baqarah 208)


Surah israa aayat 53 me hai :


"aur mere bandon se kah dijiae wo baat karen jo behtarin ho, keyon ke shaitaan oun me fasaad daalta hai, ba'tahqiq shaitaan insaan ka khula dushman hai"


khush guftaari ka apna asar hai, ach'chhi guftogu se mohabbat badhti hai aur bad'kalaami wa naa monaasib baat wa jumla... aek bade fasaad wa aekhtelaaf ka pesh khaiyma ban sakta hai, is se dushmani paiyda hoti hai


is aayat se maalum hota hai ke shaiytaan insaanon ... me bad'kalaami ke zariae fasaad wa aekhtelaaf ki bij bota hai


Imaame Reza (علیه السلام) ne hazrat Abdul Azim Hasani ke zariae shion aur momenin ko aham paiyghaam bheja hai, wo mohim paiyghaam aur khat har daur ke liae mash'ale raah hai, khosusan is waqt jab ham aiyse daur wa haalaat se guzar rahe hain ke baaz logon ka kaam hi momenin me phut daalna, oun ki takhrib wa tauhin, ilzaam lagaana aur aziyat wa taklif dena hai


momenin ke naam is khule khat ko padhna aur ous par amal karna bahot zaruri hai


Ous khat ke baaz hisse molaaheza farmaa'aen :


ay Abdul Azim, mere doston ko mera salaam pahunchaao aur oun se kaho ke ... jango jedaal na karen aur aek dusre ki takhrib, oun ko paraakinda wa bikherne me khud ko mash'ghul wa masruf na karen, be'shak me ne qasam khaaei hai wa ahad kiya hai :


jo bhi aapas me phut daale aur mere doston me se kisi aek ko bhi naaraaz wa ghazab'naak kare (ous ki aabru le jaa'ae) to ous ke liae nafrin karun aur Khoda se darkhaast karun ke ous ko dunya wa aakherat me shadid saza aur azaab de aur aakherat me ghaata wa noqsaan outhaane waalon me se ho ...


Is ke baad farmaate hain :


ay Abdul Azim, mere doston ko bataao ke mere doston me jo nek ya bure hain oun sab ko Khoda mo'aaf kar dega lekin 3 geroh ko mo'aaf nahi kare ga :


jo Khoda ka sharik qaraar de ya mere doston me se kisi aek ko aziyat wa taklif de ya dil me ous ki takhrib wa buraa'ei chaahe (dil me kina rakhe) agar in baaton se palat jaa'ae (yaani ye 3 kaam na kare) to Khoda mo'aaf kar dega aur agar jo in ko anjaam de, momin ko aziyat wa taklif de, ous ko kharaab kare to :


نُزِعَ رُوحُ الاِیمَانِ عَن قَلبِهِ، وَ خَرَجَ عَن وِلَایَتِی وَلَم یَکُن لَه نَصِیب فِی وِلَایَتِنَا وَ اَعُوذُ بِااللهِ مِن ذَالِک


"Khoda ne ous ke qalb se ruhe (nur) eimaan ko le liya (khaarij kar diya) aur meri welaayat wa dosti se bhi khaarij ho gaya aur mere Ahlebait (صلوات الله علیهم) ki welaayat wa dosti se faa'aeda nahi outha paa'ae ga aur me in laghzishon se Khoda ki panaah maangta hun"


ba'zaate khud phut daalna wa aekhtelaaf bura wa naapasandida kaam hai, agar koei momenin wa mohibbe Ahlebait (صلوات الله علیهم) ke darmeyaan aekhtelaaf wa phut daale to ye Khoda aur Ahlebait (صلوات الله علیهم) ki naaraazgi ka sabab hai lehaaza is ki buraa'ei wa saza chand baraabar ho jaa'ae gi


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


22 / ربیع الثانی / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen