Sawaal az : mohtaram janaab Syed Arsalan Askari sb ( Gujarat )
Assalamu Alaykum
Yaa Ali علیہ السلام Madad
15Th Rajab Ki Ziyarat Me AhleBait Ko Aal Allah Kyu Kaha Gaya Hai... aur Arbaeen Par Jabir Ibne Abdullah Ansari Ne AhleBait Par Aal Allah Keh kar Kyu Salam Bheja... Kya AhleBait Aal Allah Hai Yaa Aale Mohammad
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
zeyaaraat, doaaon aur ahaadees me ahlebait-e-nabi ( صلوات الله عليهم ) ko "Aalullaah" آل الله ( khaandaane khoda ) kahaa gaya hai. masalan zeyaaraat me is tarah khetaab kiya gaya hai :
"as'salaamo alaykum yaa aalallaah" السلام عليكم يا آل الله ( salaam ho aap par ay aale khoda )
yaa Imaam Husain ( عليه السلام ) ne farmaaya :
"... نَحنُ آلُ اللهِ وَ وَرَثَةِ رَسُولِهِ ... "
" ... ham ( ahlebait ) khaandaane khoda hain aur ous ke rasul ke waaris hain ... "
( bahaarul anwaar jild 44 p 184 matbuaah al-wafa )
shaayad kisi ke zehn me ye baat aa'ae ke ye aeteqaad masihiyon ki tarah hai, wo janaabe Eisa ko khoda ka beta maante hain aur ham ahlebait-e-rasul ( سلام الله عليهم ) ko "Aalullaah" kahte hain
ye shirk-o-kufr hai is liae ke khoda aulaad nahi rakhta hai ( surah isra aayat 111 ) na ous se koei payda huaa, na wo kisi se payda huaa ( surah aekhlaas )
ham is shubhah ka jawaab do tarah se pesh karte hain, aek naqzi hai aur dusra halli
Jawaabe naqzi :
agar Ahlebait-e-nabi ( صلوات الله عليهم ) ko "Aalullaah" kahna shirk-o-kufr hai to janaabe Ibraahim ko "Khalilullaah" ( khoda ka dost ), kaabah ko "Baiy'tullaah" ( khoda ka ghar ), masjid ko khoda ka ghar aur janaabe Eisa ko "Ruhullaah" ( khoda ki ruh ) ... kahna bhi ( ma'aaz allaah ) kufr-o-shirk hai aur is ko khud khoda ne sikhaaya hai ( al-ayaaz billaah )
is liae ke qur'aan majid me in ka zikr bhi kiya gaya hai
agar janaabe "Eisa" ko ruhullaah ... kahna kufr-o-shirk nahi hai to ahlebaite nabi ( صلوات الله عليهم ) ko "Aalullaah" kahna bhi kufr-o-shirk nahi hai
Jawaabe halli :
itrate rasule akram ( سلام الله عليهم ) ko "Aalullaah" kahne ka matlab hargiz ye nahi hai ke khoda se nasabi rishtedaari wa qaraabat daari hai aur aap hazaraat khoda ki aal aulaad aur baal bach'che hain, khoda in se paak-o-monaz'zah hai is liae ke wo aulaad nahi rakhta
Aalullaah kahne se moraad ye hai ke ahlebait ka taqarrub khodaa'ae buzurg se Aalaa daraje ka hai, khodaa ke saath gahri nazdiki qaa'aem hai
aap hazaraat mazhare shaan-e-khoda hain, khoda ke jamaal wa jalaal ke mazhar hain aur khoda'ae ta'aala ki tajal'leyaat ka mazhar hain
mokhtasar ye ke asmaa wa sefaate khoda ke mazhare atam hain, aap me khodaaei sefaat maujud hain aur khodaaei sefaat ba'taure kaamil aap ki zindagi me jalwa gar hain
Ahlebaite rasul ( سلام الله عليهم ) khoda ki taraf mansub hain aur ous se nazdiki wa qurbat is tarah intehaaei daraje ki aur bahot qawi hai ke goya ye Aalullaah hain
is wajah wa sabab se aap hazaraat ko "Aalullaah" kaha jaata hai
Baiy'tullaah aur khoda ki ruh ki tarah ... , jis tarah khoda jism nahi hai aur ous ko ghar wa ruh ki zarurat nahi hai, is ke baa'wojud kaha jaata hai : kaabah khoda ka ghar hai, masjid khaana'ae khoda hai aur janaabe Eisa "Ruhullaah" hain ...
khoda ka ghar is maani par nahi hai ke khoda ma'aaz allaah is ghar me rahta hai yaa allaah ki ruh ka matlab ye nahi hai ke allaah ki ruh hai balke ye is liae bolte hain ke in ki nisbat wa aezaafat khoda ki taraf hai
is ki nazeer ham ko pahle bhi milti hai, qabila'ae qoraiysh ( قريش ) kaabah wa masjedul haraam ke qareeb wa nazdeek rahta tha aur is qabile me rasule akram ( صلى الله عليه وآله ) ki welaadat bhi huei jis ki wajah se qoraiysh ki azmat wa sharaf me aezaafa huaa aur besat ke baad khoda ki taraf nisbat wa aezaafat me bhi aezaafa huaa is wajah wa sabab se arab qoraiysh ko "Aalullaah" kahte the
yahaan khoda ki taraf aal ki nisbat wa aezaafat "aezaafate tashrifiyah" ( اضافت تشریفیہ ) hai. ye aezaafat qoraiysh ki sharaafat wa taazeem ke liae hai
Imaam Saadiq ( عليه السلام ) ne is baare me farmaaya :
" اِنَّمَا سُمُّوا آلَ اللهِ لِاَنَّهُم فِى بَيتِ اللهِ الحَرَامِ ... "
"logon ne oun ( qoraiysh ) ka naam aalullaah rakha is liae ke wo khaana'ae kaabah ke paas wa jawaar me zindagi basar karte the ..."
( bahaarul anwaar jild 15 p 285 mat'buah al-wafa )
waazeh ho ke qoraiysh ko Aalullaah kaha gaya hai lekin oun me se bahot saare "Aalullaah" kahlaa'ae jaane ke qaabil wa laa'aeq nahi the is ke misdaaqe kaamil wa atam balke haqiqi misdaaq ahlebait-e-rasul ( صلوات الله عليهم ) hain
Khulaasa'ae jawaab :
mazkurah baala bayaan ke motaabiq Ahlebait, Aalullaah hain aur nasab ke aetebaar se Aale Mohammad ( سلام الله عليهم ) hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
12 / ربيع الاول / 1443ھ.ق
No comments:
Comment