khoda ne aasmaan aur zamin ko 6 dinon me payda kiya | din se moraad keya hai ? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Tuesday, September 21, 2021

khoda ne aasmaan aur zamin ko 6 dinon me payda kiya | din se moraad keya hai ?

sawaal az : mohtaram janaab Farrukh Ali khan sb (lucknow)


Salam

Mera naam Farrukh Ali Khan hai main wakeel hun aur Haseen Abbas Rizvi advocate ka dost Hun


Mera sawaal hai ke Allah ne Quraan me farmaya ke maine duniya Ko 6 din me banaya to din ka matlab kya hai 24 ghante ka din ya kuchh aur


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Qur'Aan hakim me 7 maqaamaat par is baat ka zikr hai ke khoda ne aasmaanon aur zamin ko 6 dinon me khalq kiya, misaal ke taur par surah Aaraaf Aayat 54 me hai :


اِنَّ رَبَّكُمُ اللهُ الَّذِى خَلَقَ السَّمٰواتِ وَالاَرضِ فِى سِتَّةِ اَیَّامٍ ...۔


"beshak tumhaara rab wo allaah hai jis ne aasmaanon aur zamin ko 6 dinon me payda farmaaya ...


phir is "yaum" ( din ) se moraad keya hai ? hamaari dunya wa zamin ka din aur ba'qaul aap ke 24 ghante ka din jo toluae Aaftaab se shoru hota hai aur ghorube Aaftaab par khatm ho jaata hai ? aur keya 6 ay'yaam ( dinon ) se moraad hafte se jum'ah tak ke maaruf din hain ?


ye durust nahi hai, din se moraad dunyaawi wa zamini din nahi ho sakte


is ki dalil ye hai ke din aur raat zamin ke apne gird aur nure Aaftaab ke saamne ghumne se bante hain, ous waqt aasma wa zamin, suraj chaand ki takhliq hi nahi huei thi aur zamin wa suraj wa chaand ka ye nezaam hi nahi tha


khud khoda ne 7 Aayaton me farmaaya "aasmaanon aur zamin ko 6 dinon me payda kiya ..." is ka matlab keya hai ? yaani ye chizen ous waqt nahi thin. jab ous waqt Aasmaan wa zamin ... nahi the to din aur raat banne aur hafton ki ginti ka sawaal hi payda nahi hota, ous waqt in ka koei tasaw'wur hi maujud na tha


aasmaan wa zamin ... ki takhliq ke baad nezaame shamsi qaa'aem huaa aur shab-o-roz bane lehaaza Aayaat me din se moraad zamini aur hamaari dunya ke din nahi ho sakte is liae ke ous waqt din hi nahi tha


aelaawah az ein aek hafte se kam muddat yaani 6 roz me khalq karna daryaaft shudah eilm ke khelaaf hai is liae ke apne daur ki sciency ( سائنسی ) tahqiqaat ki roshni me zamin-o-aasmaan ki maujudah shakl-o-surat banne me arabon saal lage



phir Aayaat me yaum ( dinon ) se keya moraad hai ?


durust hai ke 7 Aayaat me "yaum" ka matlab din hai lekin "yaum" ( din ) ka mafhum bahot wasi hai, "yaum" mahaz 24 ghante ke dauraaniae ( دورانیئے ) hi ka naam nahi


Aayaat me yaum se moraad "ad'waar wa mud'daten" hain yaani khoda ne 6 ad'waar wa mud'daton me payda farmaaya, jinhe 6 "ad'waar ki takhliq" ( six periods creation ) ka naam diya jaata hai, khaah ye ad'waar wa mud'dat aek saal ho ya hazaar saal ho ya laakhon, kadodon (کڑوڑوں), aur arabon baras


mokhtasar ye ke kaa'aenaat ki takhliq aysa marhala'waar amal tha jo ba'tadrij 6 ad'waar wa mud'daton me mokammal huaa


jo shawaahid aur sobut is haqiqat ( ke yaum = din se moraad ad'waar wa mud'dat hai ) ko saabit karte hain bahot zeyaadah hain, darj zail sotur me kuchh shawaahid wa sobut ka zikr aekhtesaar ke saath kiya jaa raha hai :


  1. Qur'aan karim me "yaum" aur "ay'yaam" ( dinon ) ka lafz saynkdon ( سینکڑوں ) martaba istemaal huaa hai oun me se aksar jag'hon wa maqaamaat par moraad hamaari dunya ke din aur 24 ghante nahi hain, masalan qeyaamat ke mash'hur naamon me se aek naam "yaumul qeyaamah" ( يوم القيامة ) yaani roze qeyaamat hai, yahaan bhi "yaum" ( din ) se moraad subh-o-shaam aur hamaari dunya ke din wa 24 ghante nahi hain balke moraad tawil'tarin ad'waar wa mud'daten hain jin ko roze qeyaamat se taabir kiya gaya hai

  2. pas Qur'aan hakim ne bhi "yaum" ke lafz ko mokhtalif tawil mud'daton wa ad'waar ke bayaan ke liae istemaal kiya hai


  3. Amirul Momenin Ali ( عليه السلام ) ne farmaaya :

  4. اَلدَّهرُ یَومَانِ : يَومٌ لَكَ، وَ يَومٌ عَلَيكَ ...۔


    "dunya 2 din hai : aek din tumhaare faa'aede me, aur aek din tumhaare khelaaf ( yaani tumhaare noqsaan me )


    ( sharhe nahjul balaagha jild 19 p 364 ibne abil hadid matbu'ah daar aehya toraasul arabi )


    keya haqiqat me dunya 2 roz hai ? aysa nahi hai lehaaza "yaumaan" ( 2 din ) se moraad mahaz 2 din nahi hain balke moraad ad'waar, mud'dat aur arsah hai, chaahe ye daur aur arsah jetne bhi hon


  5. arbaabe "loghat" ne bhi is ki tasrih ki hai ke "yaum" se moraad mud'dat bhi hai, khaah wo jetni bhi ho jaysa ke "Raaghib Isfahaani" ne bhi likha hai :

  6. "yaum" se moraad aek to suraj ke tolu se ghorub tak ka waqt hai aur dusre ous se moraad kisi bhi zamaane par mushtamil mud'dat hai khaah wo mud'dat jetni bhi ho


    ( al-muf'radaat fi gharibil qur'aan ketaabul yaa )



  1. apni roz'marrah bol chaal me is lafz ko istemaal karte hain lekin ous se moraad wa maqsud maaruf maani me din nahi hota masalan kahte hain "2 din ki zindagi hai" ya "do din ki chaandni" keya haqiqat me 2 din ki zindagi aur chaandni hai ? aysa nahi hai lehaaza is se moraad arsah wa mud'dat hai yaani qalil arsah aur thodi si mud'dat

  2. ya kaha jaata hai "Aaj social media ka din hai" ya "Aaj jadid technology ka din hai"


    yahaan din se moraad 24 ghante aur toluae shams se shoru aur ghorube shams par khatm hone waala din nahi hai balke maqsud wa moraad asre haazir aur aaj ka daur hai


    yahaan ye baat yaad rahe ke har chiz ka "yaum" ( din ) ous ke hesaab se hota hai yaani ham ko ye dekhna hoga ke "yaum", lafz kis jumle wa kaleme ke saath istemaal huaa hai ousi lehaaz se ous ke ma'aani hon ge


    jaysa ke ham ne pahle zikr kiya ye amr tay paa gaya ke Aayaat me takhliq-e-zamin-o-aasmaan ke zikr me jin 6 ay'yaam ka tazkerah huaa hai oun se moraad 24 ghanton ki mud'dat aur toluae Aaftaab se shoru aur ghorube Aaftaab par khatm hone waala din nahi hai balke "6 din" se moraad 6 ad'waar wa mud'daten hain


    Qur'aan karim aur motabar ahaadis me saaf wa sarih koei dalil bhi maujud nahi hai ke ham kahen ke dunya ke 6 din aur 24 ghante moraad hain


    is baat par khosusi tawaj'joh deni chaahiae ke khoda ne farmaaya "aasmaanon ko 6 din me khalq kiya, aasmaan nahi kaha". Qur'aan majid me is ki saraahat maujud hai ke aasmaan 7 hain ( surah talaaq aayat 12 )


    ham jis aasmaan ka moshaahadah ( مشاہدہ ) karte hain ye pahla aasmaan hai jis me arabon kahkashaa'aen ( کہکشائیں ), arabon setaare, arabon say'yaare aur pur asraar wa hayrat'angez " black holes ( سیاہ ہولز ) hain ...


    ham sirf aasmaan-e-aw'wal ko dekh paate hain digar aasmaanon ke baare me ab tak hamaare eilm me kuchh bhi nahi


    sciens'daanon ( scientists / سائنسدانوں ) ki dictionary me 7 aasmaan naam ki koei chiz nahi, ye pahle hi aasmaan me aetne ouljhe huae hain ke baqiyah 6 aasmaanon ka soch bhi nahi sakte


tawaj'joh farmaa'aen 7 aasmaanon ko khoda ne 6 adwaar wa mud'daton me khalq kiya


shaayad ye sawaal kisi ke zehn me aa'ae ke khoda ne 6 adwaar wa mud'daton me keyon payda kiya ? masalan 1 ya 2 daur me payda kar deta ya lafze "kun" ( كُن ) yaani "ho jaa" se payda kar sakta tha


yahi sawaal dusri chizon ke baare me bhi outh sakta hai masalan shekame maadar me bach'che ko kam-o-besh 9 mahine keyon rahna padta hai ? janaabe Aadam aur janaabe Eisa ( عليهما السلام ) ki tarah lafze "kun" se payda kar sakta tha


ya baaz haywaanaat ke bach'che shekame maadar se aur baaz ke bach'che andon ... se keyon payda hote hain ? ya ount aur haathi azimul jussah keyon hain ? aur cheyunti ( چیونٹی ) chhoti keyun hai ? ...


in saare sawaalon ka aek hi jawaab hai aur wo ye hai :


اِنَّمَا اَمْرُهُ اِذَا اَرَادَ شَيئاً اَن يَقُولَ لَهُ كُن فَيَكُونُ


"wo jab kabhi kisi chiz ka aeraadah karta hai ouse aetna farma deta hai ke ho jaa, wo ousi waqt ho jaati hai"


( surah yaasin Aayat 82 )


jab khoda ne hazrat Aadam aur Eisa ( عليهما السلام ) ki fauri takhliq ka aeraadah kiya to lafze "kun" ( ho jaa ) se, khoda ne aap hazaraat ki takhliq ka is tarah aeraadah kiya tha


shekame maadar me bach'cha kam-o-besh 9 maah rahe, khoda ne is tarah aeraadah kiya hai


baaz jaanwaron ke bach'che batne maadar se aur baaz ke bach'che andon se payda hon, khoda ne is tarah aeraadah kiya hai ...


khoda zamin-o-aasmaan ko lafze "kun" ( ho jaa ) se chashm'zadan me payda kar sakta tha lekin ous ne aeraadah kiya ke 6 adwaar wa mud'daton me payda kare lehaaza 6 adwaar wa mud'daton me payda kiya ye sura yaasi ki aayat 28 ke monaafi nahi hai


shaayad is jahaan me aek waqt aysa aa'ae ke bashar ka eilm is had tak pahunch jaa'ae ke wo khodaaei ay'yaam ( 6 adwaar wa mud'daton ) ka andaazah daryaaft kar sake albatta 6 adwaar ka andaazah ham apne mahdud eilm aur paymaanon ( پیمانوں ) se nahi kar sakte


6 adwaar wa mud'daton ki asl haqiqat wa hikmat allaah hi jaanta hai


والله عالم



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔14 / صفر / 1443 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen