sawaal az : mohtaram janaab syed mohammad ali abbaas razavi sb / England
Salam
Umeed hai khariyat se hon ge
Aap se aek sharai masla pochhna tha
Ladki ne court main divorce le li hai. Wo final ho gaya
Ab ladki khula lena chaah rahi hai, taa ke islami taur per bhi maamla rafa dafa ho jaye
Ab ladka keh raha hai ke wo raazi nahi. Ab maulana kah rahe hain ke baghair ladke ki ejaazat ke maamla aage nahi badh sakta
Kiya yeh baat sahi hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله
ladki apne shauhar se nafrat keyon kar rahi hai ? agar is ki wazaahat kar dete to jawaab behtar tariqe se diya jaa sakta tha
bahar haal talaaq dena shauhar ka haq hai lekin agar biwi ke dil me nafrat payda ho jaa'ae aur nafrat is qadr badh gaei hai ke in ka aekat'the rahna bahot sakht wa dushwaar hai to wo haqqe "khul" istemaal kar sakti hai
agar shauhar talaaqe khul par raazi na ho to shar'ei talaaq ke liae haakime shar (شرع) (jaame'oush sharaa'aet mujtahid yaani jis me tamaam sharaa'aet jama hon) ya apne yahaan ke haakime shar (شرع) ke mustanad wa motabar numaa'einde ya wakil ke saamne is moaamale ko le jaa'ae, agar ladki shar'ei aetebaar se qaabile qabul wojuhaat bayaan kare aur talaaq ke sharaa'aet maujud hain to wo shauhar ki marzi ke beghair yak'tarafah talaaq padh sakte hain
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko molaaheza farma len wa mazid maalumaat ke liae "MENU" me TALAAQ ka shoba dekh len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
8 / صفر / 1443ھ.ق
No comments:
Comment