Sone se bana Mo'aawiya ka mojas'sama nasb karna chaahiae | jo imaame waqt par khoruj kare ouse qatl kar do - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Tuesday, September 7, 2021

Sone se bana Mo'aawiya ka mojas'sama nasb karna chaahiae | jo imaame waqt par khoruj kare ouse qatl kar do

اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں


باسمه تعالی

ياصاحب الزمان ادركنا


Sone se bana Mo'aawiya ka mojas'sama nasb karna chaahiae | jo imaame waqt par khoruj kare ouse qatl kar do


Ahle eilm Mohammad Rashid Reza se aagaah hain, ye wahi Rashid Reza hain jin ki taarif karte hu'ae wahaabi, takfeeri aur dewbandi ... thakte nahi hain. wahaabiyon aur in ke sarghana ibne Taymiya aur Mohammad bin Abdul Wah'haab ke takhribi wa saazeshi ... nazariyaat se bahot mota'as'sir the, ye mash'hoor aalim, mohaq'qiq, jid'dat pasand, millate islaamiya me aek aiysi yak'jahti wa eittehaad ki feza dekhne ka khaa'haan the jo tamaam tafreqa wa phoot se paak ho


Is ke baa'wojud wahaabiyon ke qadaamat pasand nazariyaat se mota'as'sir aur shia mokhaalif the ye oun ki jid'dat pasandi aur eittehaad ki aarzu ke monaafi wa khelaaf hai


Bahar'haal ye bata dun ke Rashid Reza ki bahot saari tasnifaat maaruf wa mash'hoor hain oun me se ye do ketaaben hain :


  1. Tafsir "Al'manaar" (12 jildon par mushtamil hai albatta pure qur'aan ki tafsir nahi hai naaqis hai)

  2. Al'wahyul mohammadi (aek jild hai)

Sunni bhaaei'yon ke darmeyaan bhi ye dono ketaaben bahot aham aur maalumaati hain


Apni in dono ketaabon me likhte hain :


German ke bade daanish'mandon (professor) me se aek ne "Aastaana" (shaayad moraad Kazakhstan ka daarul hokumat hai) me baaz musalmaanon se jin me makka ke shorafa me se aek shakhs the kaha :


Beshak hamaare liae shaa'eista wa sazaawaar (behtar) hai ke apne daarul hokumat (Berlin) ke kisi maidaan me Mo'aawiya bin abi Sufiyaan ka sone (gold) se bana mojas'sama nasb karna chaahiae, to oun se kaha gaya keyon ? to ounhon ne kaha is liae ke wo (Mo'aawiya) aisa shakhs hai jis ne islaam ke nezaame hokumat ko ous ke bunyaadi ousul democracy se ghalba waali asabiyat me badla (yaani islaam ke nezaame hokumat ko aameraana, jaaberaana, zaalemaana, ta'assubaana aur taaghuti nezaam me tabdil kar diya) agar wo (Mo'aawiya) na hota to islaam saare aalam me phail jaata aur ham German waale aur Urope ke tamaam qabaa'ael Arab musalmaan hote


(tafsir "al'manaar" jild 11 safha 214 al'maqsedur raabe min maqaasedil qur'aan, al'aslus saamin taalif Mohammad Rashid Reza / al'wah'yul mohammadi safha 193 al'maqsedur raabe min maqaasedil qur'aan al'aslus saamin taalif Mohammad Rashid Reza)

Mo'aawiya ke baare me ghair muslim professor ka is tarah eiz'haare kheyaal karna qaabile ta'wajjoh hai aelaawa az-ein is baat par ta'wajjoh dena aham aur zaruri hai ke wahaabi nazariyaat se mota'as'sir aur aalime din Mohammad Rashid Reza ne apni do aham ketaabon me ghair muslim daanish'war ke kheyaalaat ka tazkera kiya hai


"Aezaalatul kholafa" me Shaah Waliyullah Dehlawi hissa do fasl saat safha 371 par likhte hain :


... Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya ke "Mo'aawiya ki khelaafat (hokumat) me fasaadaat hon ge aur fasaadaat aur fasaadaat"


Is kalema me is taraf aeshaara hai ke in ki khelaafat (hokumat) tasal'lut ke zari'ae se mun'aqid hogi baiy'at ke zari'aa se na hogi aur in ki sirat shaykhain (Abubakr wa Umar) ki sirat ke mowaafiq na hogi aur wo khelaafat (hokumat) imaame waqt [moraad Hazrat Ali (علیه السلام) se baghaawat ke baad mun'aqid hogi is liae aap (صلى الله عليه وآله) ne 3 martaba lafz "hanaat / هَنَات" (fitne wa fasaadaat) ka eistemaal kiya


Beraadaraane sunni ki chheh (six) mustanad ketaaben hain jin ko "sehaa'ae sitta" kahte hain oun me se aek "Sahih muslim" hai

is se bhi sirf aek hadis molaaheza farmaa len :


Arfaja se rewaayat hai ; main ne suna Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) se aap farmaate the :


اِنَّهُ سَتَكُونُ هَنَاتٌ وَ هَنَاتٌ ، فَمَن اَرَادَ اَن يُفَرِّقَ اَمرَ هٰذِهِ الاُمَّةَ ، وَهِىَ جَمِيعٌ فَاضرِبُوهُ بِالسَّيفِ كَائِناً مَن كَانَ


"Beshak anqarib fitne wa fasaadaat aur fitne wa fasaadaat hon ge pas jo aadmi is oummat ke ittefaaq ko bigaadne wa jam'eiyat ko todne ka aeraada kare to ous ko talwaar se maar do chaahe jo koei bhi ho"


(sahih muslim sharh nawawi jild 12 safha 241 ketaabul aemaara baab hukme man far'raqa amral muslemin wa howa mujtame)


baaz rewaayat me "fazrebuho" (talwaar se maar do) ke bajaa'ae "faqtoluho" (ous ko qatl kar do) hai


sahih muslim ke isi safha par mazkura baala hadis ki tashrih me Nawawi saaheb likhte hain :


"jo shakhs bhi imaam par khoruj kare aur muslemin ke eittefaaq wa eittehaad ka shiraaza bikherna chaahe wa is ke maanind aur ous ko is se roka jaa'ae lekin wo baaz na aa'ae to phir ous ko qatl kar diya jaa'ae ..."


Shaah Waliyullah Dehlawi aur oun ki ketaab "Aezaalatul kholafa" se ahle daanish aagaah hain. beraadaraane sunni ke mash'hoor aalime din, mohaddis aur mosan'nif the aap ko Imaamul Mohaddesin aur Hakime oummat ke alqaab se yaad karte hain


"Aezaalatul kholafa" ko likhne ka asl maqsad barre saghir me shia mazhab ko phailne se rokna aur khelaafate Abubakr, Umar aur Usmaan ki haq'qaaniyat saabit karna tha


Is ke baa'wojud jaisa ke molaaheza farmaaya saaf likha hai ke Mo'aawiya ki hokumat me fasaadaat wa fitne hon ge ... aur Mo'aawiya ki hokumat imaame waqt se baghaawat ke baad aur tasal'lut ke zari'ae se hogi


Manaa karne ke baa'wojud Mo'aawiya ka muslemin ke eittehaad wa eittefaaq ka shiraaza bikherna aur khalifa wa imaame waqt [Amirul Momenin  (علیه السلام)] par khoruj karna, baaghiyaana kirdaar, naahaq ghalba haasil karna ... is qadr suraj se zeyaadah zaahir aur ayaan hai ke jis se inkaar koei bhi munsif aalim, ahle daanish, ahle nazar aur saahebe aql wa kherad ... nahi kar sakta hai


Sahih muslim me mazkura Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ki hadis aur Nawawi saaheb ki sharh ke motaabiq Mo'aawiya ko qatl kar dena chaahiae tha is waqt Mo'aawiya nahi hai ke ous ko qatl kiya jaa'ae lekin asre haazir me jo log Mo'aawiya ke bade bade gun gaate hain aur ous ko "Raze'yallah anho" kahte ya likhte hain oun se kahunga jazbaat aur ta'assub se kenaara'kash ho kar thande dil wa demaagh se mandarja baala bayaan shuda mataalib par ghaur karen


Note :


Qaraa'aen aur shawaahid ... ke motaabiq Afghanistan me taalebaani nezaame hokumat bhi Mo'aawiya aur Saudiya ke nezaame hokumat ke nahaj par hoga

aalame kufro nefaaq mamaalik bhi in ke pusht'panaah hain aur alaaniya wa khufya har tarah se madad kar rahe hain


Mo'aawiya ko maan'ne ka aek bahot bada noqsaan ye hai ke jahaa'n jahaa'n bhi is ke maan'ne waale hain wahaa'n fasaadaat wa dahshat'gardi hai ..., amno amaan chheen liya hai aur tabaah kar diya hai misaal ke taur par Pakistan ki maujuda surate haal hai, har roz jawaano ki rago'n se khun be'dardi se bahaa rahe hain, khaufo haraas ki fezaa hai


Mo'aawiya ko azaan me Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ka naam bardaasht nahi tha aur aale Mo'aawiya ko azaan me Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ke belaa'fasl aur bar'haq khalifa Ameerul Momenin Ali (عليه السلام) ka naam bardaasht nahi hai


khoda mahfuz rakhe oummate muslemaa ko in sab ke fitno, fasaadaat aur shar se


Syed Shamshad Ali Katokhari

Khaadime Edaara-e-darul itrat

moqim Qumul moqaddas / iran


28 / moharram / 1443 H.Q

subscribe us on youtube

this article transliterated by "Saiyed Mohammad Tabish" Urdu to Roman Urdu



Recommended


  1. Sab se bada kaafir aur khabees kaun hai ?

  2. Kholafaa aur Banu Oumaiy'yah ke darbaar me yahudi asaro nofuz ka khamyaaza aaj saare bhugat rahe hain

  3. 22 Rajab aur shia wa sun'ni

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen