Sawaal az : mohtaram janaab Syed Raza Rizvi sb
Salamun Alaikum
- Agar koi suicide kar le ya koi kisi ko qatl kar de ya koi hadse me mar jaye. Kya in sab wajah se ya kisi bhi wajah se insan ki Rooh bhatakti (ghumti rahti) hai aur logo ko pareshan karti hai ?
- Aur jo suicide kare to uski Rooh farishte nikalte hai ya Rooh khud se nikal jata hai ?
In sawalo ke jawab Quran aur Hadees ki raushni me reference ke sath mil jaye to bahot meharbani hogi.
Jazak Allah
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
- Is ke silsile me arz hai ke agar sar'gardaan (hayraan, parishaan aur aawaarah) ruh se moraad ye hai ke marne ke baad kisi ki ruh aalame maaddah wa naasut (faani dunya wa aalame ajsaam) me sar'gardaan hai wa bhatakti (بهٹکتی) rahti hai aur kisi ko parishaan karti hai to is ka wojud hi nahi hai, ye sab tawah'homaat (توہمات) hain is par yaqin rakhna durust nahi
- kisi ki bhi ruh khud se nahi nikalti hai balke Allaah ke hukm ke motaabiq hazrate "Eiz'raaeil" aur aap ke numaa'einde qabz karte hain
is ta'alluq se aam taur par filmon me jo dekhaaya jaata hai wo insaan ke apne takhay'yul (تخيل) ki paydaawaar hoti hain aur afsaane hote hain
marne ke baad momenin ki arwaah "waadiyus salaam" me aur kuffaar ki "barahut" me jaati hain
(foruae kaafi jild 3 p 243 - 246 ketaabul janaa'aez baab arwaahul momenin aur arwaahul kuffaar)
"waadiyus salaam" nekon aur "barahut" buron ka thekaana hai
kuffaar ki ruhen "barahut" me qaid hoti hain aur ounhen kahin aane jaane ki aejaazat nahi hoti
isi tarah momenin aur saalehin ki arwaah, maut ke baad aazaad nahi hoti hain albatta kuffaar wa gunah'gaar logon aur momenin wa saalehin ki ruhen be'izne aelaahi jahaan chaahen jaa sakti hain
zaahir hai khoda agar kahin jaane ki aejaazat de to kisi ki bhi ruh ko aziyat dene aur parishaan karne ki aejaazat nahi dega
arwaahe khabisah aur gunah'gaar wa bure wa khabis aur kaafir insaan ki ruhen taa qeyaamat "barza'khi jahannam" me aur momenin wa saalehin ki ruhen "barza'khi bahisht" me hain lehaaza kisi ki bhi ruh sar'gardaan nahi hai aur kisi ko bhi parishaan nahi karti hai aur aziyat nahi deti hai
ruh ke sar'gardaan hone wa bhatakne aur parishaan karne par koei dalil nahi hai, na aqli dalil hai aur na hi eilmi wa naqli
ye baat bhi waazeh kar dena chaahta hun ke agar marne waale par kisi ka haq (haq'qun naas) ho, to aalame barzakh me wo muntazir rahta hai aur shid'dat se intezaar karta hai ke mere warasa aur ghar waale ous haq (haq'qun naas) ko ada kar den, lehaaza is aetebaar wa sabab se aalame barzakh me muntazir wa sargar'daan hai
Surah zomar Aayat 42 me hai :
"maut ke waqt Allaah ruhon ko qabz karta hai ..."
Surah sajdah Aayat 11 me hai "malakul maut tumhaari ruhen qabz karte hain" aur Surah Nesa Aayat 97 me hai "farishte ruhen qabz karte hain"
in Aayaat me maut dene wa ruh qabz karne ki nisbat khoda aur malakul maut wa farishton ki taraf di gaei hai
qur'aan hakim ki in aayaton me tanaaquz ya ta'aaruz nahi hai is liae ke Allaah ke hukm se hi malakul maut ya farishte ruh qabz karte hain
ruh nikaalne ki zimme'daari khoda ne malakul maut (Eizraa'eil) ki lagaa'ei hai aur malakul maut ke saath chunke digar farishte bhi hote hain, aap ke bahot saare numaa'einde aur madad karne waale bhi hain is liae jaan nikaalne ki nisbat khoda aur oun ki taraf di gaei hai
Samajhne ke liae misaal :
ruh qabz karne ki nisbat khoda aur malakul maut wa farishton ki taraf dena likhne ke amal ki tarah hai, ham likhne ki nisbat qalam ki taraf dete hain aur kahte hain qalam ach'chha likh raha hai aur haathon wa oungliyon ki taraf bhi nisbat dete hain ke folaan ka haath likhne me ach'chha hai aur insaan ki taraf bhi nisbat dete hain aur kahte hain folaan khush'khat hai, is me tanaaquz aur ta'aaruz nahi hai isi tarah mazkurah aayaat me nisbat hai
tafsil ke liae ketaab "arwaahe sar'gardaan wa faraamosh shudah" taalif aayatullaa naasir makaarim shiraazi ka motaala'ah kar len
Niche recommend ki ga'ei video ko dekhna wa jawaab ka padhna mofid hai انشاء الله
- keya ruh ko haazir karna momkin aur jaa'aez hai ? | aawaa-gawan ke baatil hone par dalil (video)
- keya arwaah apne gharon me aati hain ? | ghar waalon ko dekhti hain ? | kis din aati hain ?
- keya khud koshi (suicide) karne waala jannat me jaae ga ? | is ka azaab | shafaa'at
Mazid maalumaat aur jawaabaat ke liae "MENU" me "Maiy'yit & arwaah" ka shoba molaaheza farmaa len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔10 / صفر / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment