Sawaal az : +9198214......
Salamun alaikum !
Mera sawaal ye hai ke :
India, Iran aur Iraq me mahe safar ki kis tareekh ko janabe sakeena bintul Husain a.s. ki shahadat manayi jaati hai ? Tino jagaho ki date ke bare me batane ki zahmat farmaye shukriya. !
Jawaab :
باسم جلت اسمائه
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar moraad Imaam Husain (عليه السلام) ki 3 ya 4 saalah shahidah wa mazlumaah bach'chi hai jin ko "Roqaiy'yah Bintul Husain (رُقَيَّة)" kahte hain to Iran me shabe 3 (2 aur 3 moharram ki darmeyaani raat) aur 3 moharram Hazrat Roqaiy'yah (عليها السلام) se mansub hai. is din aap ke masaa'aeb padhe jaate hain (lekin 5 safar ko taarikhe shahaadat ke taur par maante hain)
meri eit'tela ke motaabiq Iraq me bhi aap ki taarikhe shahaadat (5 safar) me aap ke masaa'aeb padhe jaate hain, aekka dukka zaakerin wa khotaba apne zauq ke motaabiq 3 moharram ko bhi padhte hain, albatta har jagah aisa nahi hai
Hindustaan me baaz jag'hon par safar ki 10 taarikh aap se mansub hai, is din aap ke masaa'aeb padhe jaate hain aur baaz jag'hon par safar ki 5 taarikh (roz-e-shahaadat) me aap ke masaa'aeb padhte hain
Taarikh-e-shahaadat :
Hazrat Roqaiy'yah Bintul Husain (علیهما السلام) ki shahaadat 5 safar ko 61 hijri shaam ke kharaabah me huei
Chand hawaale :
- "tahqiq wa pajoheshi payraamune hazrat roqaiy'yah" - p 142 - taalif shaikh jaafar tabrizi
- "taqwim-e-shia" - 5 safar me hone waale waaqe'aat - taalif Abdul Husain Nayshaaburi
- "Hazrat Roqaiy'yah dokhtare imaam hussain (عليھما السلام)" - p 5 - taalif Shaikh Ali Falsafi Khoraasaani
(Aap ne ketaab "waqaa'ae'oush'shohur wal aiy'yaam" - taalif Aayatullah Birjandi aur "Reyaazul Quds" - taalif Sadrud Deen Waa'aez Qazwini ka hawaala dete huae naql kiya hai)
Note :
baaz maqaale me Hazrat Roqaiy'yah Bintul Husain (علیهما السلام) ki taarikhe shahaadat 10 safar bhi likhi hai, lekin kam'bezaa'at haqir ko bahot justo'ju aur talaash ke baa'wojud 10 safar ke ta'alluq se kisi ketaab me nahi mila
Niche recommend ki gaei video zarur molaaheza farma len
Karbala ke raawi aur janaab-e-sakina (s.a)
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - Shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
۔3 / صفر / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment