Imaam Ali ki haq'qaaniyat par aek behtarin dalil - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Thursday, September 23, 2021

Imaam Ali ki haq'qaaniyat par aek behtarin dalil

Sawaal az : mohtaram janaab Danish Ali sb


Allah ke rasul ne Allah se duwa ki k haq ko ali ki taraf mod dena, jaha Ali ho waha haq ho.

Janab mujhe is hadees ka reference chahiye ye hadees kaha konsi kitaab me hai.


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


jis hadise Rasul ( صلى الله عليه وآله ) ka mafhum Aap ne bayaan kiya hai ous hadis ka asl arabi matn wa aebaarat ye hai :


رَحِمَ اللهُ عَلِيَّاً اَللَّهُمَّ اَدرِالحَقَّ مَعَهُ حَيثُ دَارَ


"khoda rahmat kare Ali par, ay allaah Ali jidhar phiren oudhar hi tu haq ko bhi pherna"


tawaj'joh farmaa'aen ye nahi kaha ke Ali ko oudhar mod de jidhar haq hai balke farmaaya haq ko oudhar pherna jidhar Ali hain


shia aur sunni ne apni apni ketaabon me sanad aur mokhtalif alfaaz ke saath is hadis ko naql kiya hai, is hadis ka shumaar "Hadise motawaatir" me hota hai


Amirul Momenin Ali ( عليه السلام ) ki ismat aur haq'qaaniyat par aek behtarin dalil yahi hadis hai, isi liae wahaabiyon aur takfiriyon ke sarghana "Ibne Taymiyah" ... aur shion wa Amirul Momenin Ali ( عليه السلام ) se bughz-o-aenaad aur kina rakhne waale naam nehaad musalmaan hemaalayah ( ہمالیہ ) ke pahaadon se bhi bada jhut bolte hain, kahte hain is hadis ka wojud hi nahi hai


wahaabi ... TV channel waghayrah par is safed jhut ko bhi aetna phaylaate hain ke saadah'lauh ( سادہ لوح ) musalmaan yaqin kar leta hai, kaha jaata hai "aetna jhut bolo ke sach lage"



shion aur Amirul Momenin Ali ( عليه السلام ) ke khelaaf khule jhut ke is baazaar me mazkurah hadis ke sirf chand hawaale molaaheza farmaa len :


Sunni ketaaben :


  1. Tafsire kabir me likha hai ke :

  2. " ... hazrat Ali Ibne Abi Taalib namaaz me baland aawaaz se "bismillaahir rahmaanir raheem" padhte the, ye tawaatur se saabit hai, aur jo shakhs bhi apne deen me Ali Ibne Abi Taalib ki payrawi kare wo hedaayat paa gaya hai is par dalil Rasule Khoda ( عليه السلام ) ka ye qaul hai :


    "ay allaah Ali jidhar phiren oudhar hi tu haq ko bhi pherna"


    chand satron ke baad fakhre raazi sb ki ye aebaarat bhi hai :


    "jo shakhs bhi apne deen ke liae Ali ko imaam bana le ba'tahqiq ous ne apne deen aur nafs me "ourwatul wusqa" ( na tutne waala mazbut sahaara ) thaam liya


    ( "tafsire kabir" jild 1 p 205 aur 207 zail tafsire surah hamd taalif fakhre raazi )


  3. "Sonanut'termezi" jild 5 p 592 h 3714 ketaabul manaaqeb baab 20 manaaqebe Ali ibne abi taalib

  4. ( ye ketaab hadis ki 6 mustanad ketaabon yaani sehaahe sittah me se aek hai )


  5. "Kanzul oummaal" jild 11 p 642 fasl 3 h 33124

Shia ketaab :


"aehqaaqul haq wa izhaaqul baatil" jild 5 p 626 albaabur raabe wal eishroon qism saani taalif shahide saalis qaazi nurullaah shushtari


( Aap ka mazaar Agra up me hai )



والسلام

Syed Shamshad Ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔16 / صفر / 1443 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen