sawaal az : mohtaram janaab zulqarnain sb / mysur
Assalam Walaykum Maulana
ilme jafar kya hai
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Jafr ka matlab :
bail ki khaal ( بیل کی کھال )
( osule kaafi jild 1 p 241 ketaabul hujjah baab fihe zikrus sahifah wal jafr )
is eilm ko bail ki khaal par imla karaaya gaya isi wajah se ye eilm "jafr ( جفر )" ke naam se mash'hur huaa
Eilm-e-jafr se moraad :
aiysi tahrir ya nawishtah hai jis ko Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) ne hazrat Ali ( عليه السلام ) se likhwaaya, Imaam Ali ( عليه السلام ) ne apne dast-e-mobaarak se ous ko likha hai
ous me ghuzishta wa aane waale tamaam haalaat, waaqe'aat aur hawaadis ka zikr hai aur Rasule Khoda ke ahlebait ( صلوات الله عليهم ) ke saath pesh aane waale waaqe'aat wa hawaadis ka tafsili haal bhi mazkur hai ...
tamaam halaal wa haraam ka zikr hai ...
ye saari baaten Janaabe Jibra'eil ne qalbe Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) par naazil ki thin
ye tahrir hazrat Ali se dusre imaamon ( سلام الله عليهم ) tak muntaqil hoti rahi, is waqt Imaame Zamaana ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke paas hai
Eilme jafr ki qismen ya masaadiq :
- sahifa-e-jafr :
- jafre ab'yaz ( safed jafr ) :
- jafre ahmar ( laal jafr ) :
eilm-e-jafr ki 3 qismen yaa masaadiq hain :
Imaam Saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :
hamaare paas jaameah ( جامعہ ) hai, janaabe Abu Basir ne puchha "jaameah" keya hai ?
to aap ne farmaaya :
"aiysi ketaab ( sahifa ) hai jis ki lambaa'ei Rasule Khoda ( صلى الله عليه وآله ) ke zera ( ذراع = ہاتھ ) ke baraabar 70 zera ( haath ) hai, Rasule Akram ( صلى الله عليه وآله ) ne is ko imla karaaya aur Ali ( عليه السلام ) ne apne daste mobaarak se likha
is me tamaam halaal wa haraam, ahkaame khoda aur har ous chiz ka zikr hai jis ki zarurat logon ko hai
hatta is me maamuli kharaash ( خراش ) ke jurmaana wa taawaan ka bhi tazkera hai
janaabe Abu Basir kahte hain imaam ( عليه السلام ) ne apne haathon se mujhe mokhtasar dabaaya aur farmaaya "jaameah" me is had tak ke taawaan ka bhi zikr hai ... "
( osule kaafi jild 1 p 239 ketaabul hujjah baab fihe zikrus sahifa wal jafr ... / aelaamul wara jild 1 p 535 )
Imaam Saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :
mere paas safed jafr hai, raawi ne puchha ous me keya hai ? aap ne farmaaya :
ous me Daa'oud ki zabur, Musa ki tauret, Eisa ki injil, Ibraahim ka sahifa aur mas'hafe Faatema ( سلام الله عليهم ) hai aur tamaam halaal wa haraam hain
aur ous me wo baaten hain jis ki wajah se log hamaare neyaaz mand wa mohtaaj hain lekin ham ko kisi ki bhi zarurat wa aehteyaaj nahi hai ous me qur'aan ki aayaten nahi hain ...
( osule kaafi jild 1 p 240 ketaabul hujjah baab fihe zikrus sahifa wal jafr .../ aelaamul wara jild 1 p 535 )
Imaam Saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :
mere paas surkh jafr hai, raawi ne puchha ous me keya hai ? to aap ne farmaaya :
اَلسِّلَاحُ وَ ذَالِكَ اِنَّمَا يُفتَحُ لِلدَّمِ يَفتَحُهُ صَاحِبُ السَّيفِ لِلقَتل ...۔
"aslaha" aur surkh jafr is liae kaha gaya hai ke saahebe shamshir is ko qetaal ke liae kholen ge ... ( ye qudrat wa qahre khoda ki alaamat wa neshaani hai )
( osule kaafi jild 1 p 240 ketaabul hujjah baab fihe zikrus sahifa wal jafr ... / aelaamul wara jild 1 p 535 )
aek dusri rewaayat me Imaam Saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :
۔... وَ اَمَّا الجَفرُ الاَحمَرُ فَوِعَاء فِيهِ سِلَاحُ رَسُولِ الله( صلى الله عليه و آله ) وَ لَن يَخرُجَ حَتَّى يَقُومَ قَائِمُنَا اَهلَ البَيت
"surkh jafr aiysa zarf ( bartan ) hai jis me Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) ka "aslaha" ( ہتھیار ) hai, ye aslaha baahar nahi aa'ae ga ( yaani log ous ko nahi dekhen ge ) magar ous waqt jab hamaare ahlebait ke qaa'aem qeyaam karen"
pas eilme jafr in 3 qismon aur masaadiq ka majmuaa hai
ous me aiyse asraar aur olume ghaibiyah wa khafiya ( علوم غیبیہ و خفیہ ) hain jis ka eilm hamen nahi hai aur ham log ous ki haqiqat wa wus'aton ko samajhne se aajiz bhi hain
"eilme jafr" ke baare me jo mota'addid rewaayaten hain ous se ham is natije par pahunche hain ke ye eilm imaamon ( صلوات الله عليهم ) ke paas hai, is ko aap hazaraat ke saath makhsus kiya gaya hai
lehaaza agar koei "eilme jafr" jaan'ne ka daawa kare ya kahe "ketaabul jafr" folaan kotub khaane me ya mere paas hai to ye yaqinan ghalat wa jhut hai
is liae ke is waqt ye eilm aur "ketaabul jafr" Imaam-e-Zamaana ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke paas hai
imaam ki aek alaamat wa neshaani ye bhi hai ke aap hazaraat ke paas eilme jafr ( ketaabul jafr ) hoga
Amirul Momenin Ali aur aap ke bar'haq jaanashin ( صلوات الله عليهم ) ki imaamat aur haq'qaaniyat par aek behtarin dalil wa sanad "ketaabul jafr ya eilme jafr" hai
( is hawaale se bhi bahot tafsil hai )
eilme jafr ghaibi ( غیبی ) eilm hai, fan ya aiysa eilm nahi hai jis ko sikha jaa'ae
jo log eilme jafr jaan'ne ka daawa karte hain wo eilme jafr nahi hai
balke "eilme horuf wa asraare horuf " ya "eilme aadaad" hain ya eilme "raml wa nojum ..." hai
kisi ne sawaal kiya ke keya koei "eilme jafr" ka jaan'ne waala hai ?
to aek saaheb ne ach'chha jawaab diya : ji me jaan'ne waala hun : me "eilme jafr" ke baare me ye jaanta hun ke me kuchh nahi jaanta ...
Note :
baaqi tafsil aur rewaayaton ki asl matn wa aebaarat hawaale me dekh len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔14 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق
شب ولادت با سعادت کریم اہل بیت امام حسن ( عليهم السلام )۔
subscribe us on youtube
No comments:
Comment