Eilme aadaad ke zariae naam ke aadaad nikaalne | nag pahenne ka hukm | mariz ke liae mofid nag - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Saturday, September 11, 2021

Eilme aadaad ke zariae naam ke aadaad nikaalne | nag pahenne ka hukm | mariz ke liae mofid nag

sawaal az : mohtaram janaab syed rizwaan sb / Ahmedabad ( gujarat )


Mere ek dost ne ye sawaal kiya hai :


  1. Kya naam se adad (number) nikaala jaata hai ?

  2. Kya naam ke adad (number) se bataaya jaata ke kaun sa pat'thar (nag) pehenna chahiye ?

  3. Baar baar bimaar pad rahe hain to kaun sa nag (pat'thar) pehne jo faayedemand ho ?

Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


  1. ji haan nikaale jaate hain misaal ke taur par eilme aadaad me horufe ab'jad ke aetebaar se "Ali ( على ) ke Aadaad 110 is tarah ban rahe hain :

  2. على : ع = 70 ، ل = 30 ، ى = 10


    Ali : ain = 70, laam = 30, ye = 10


    ( 70 + 30 + 10 = 110 )


    is se taarikhi naam... bhi nikaale jaate hain


    yaad rahe ke Aadaad ko kabhi alfaaz aur naam ka badal taslim nahi kiya gaya , masalan kisi ka naam " zaid " ( زيد ) hai aur zaid ke Aadaad 21 hain to ous ko 21 kah'kar nahi bolaaya jaata ya " bismillaah ..." ( بسم الله الرحمن الرحيم ) ke Aadaad 786 hain to khaana khaate waqt ... 786 kah'kar khaana shuru nahi kiya jaata ya hazrat ali ( عليه السلام ) ke Aadaad 110 hain to " ya ali " kahte waqt ya 110 nahi kahte


    ya agar kisi ke naam ke Aadaad 420 ban rahe hon to keya ouse 420 kahna shuru kar den ?


  3. shar'an is ka koei aetebaar nahi hai ( yaani shari'at ki ru se is ki koei haysiyat nahi hai )

  4. is ke liae ahaadis me koei khaas targhib aur sefaarish waarid nahi huei hai


  5. yahaan sirf oun sawaalon ke jawaab diae jaate hain jin ke baare me "edaara-e-darul itrat" ki website par bataaya gaya hai


Aap ke dost is ke liae kisi deen'daar aur motabar jauhari wa sang shanaas se roju karen


aur kisi ach'che doctor ko dekhaa'aen , sadqah den , bimaari aur wabaaon se bachaao ki Aayaat aur motabar doaa'aen padhen ( mafaatihul jenaan aur sahifa-e-sajjaadiyah waghairah me doaa'aen maujud hain )


azaadaari ke ay'yaam hain farshe aza par zarur doa karen khosusan imaam husain ki 3 ya 4 saalah bach'chi hazrat roqay'yah ( عليهما السلام ) se tawassul karen , 5 safar ko roze shahaadat bhi hai , khoda Aap ke dost ko bimaari se shefa dega


ba'qaul baaz logon ke bimaari waghairah se bachne ke liae " sharafe shams ( شرف شمس ) " ki anguthi mofid hai


ye anguthi zard aqiq ki hai jis par khaas auqaat me hazrat ali ( عليه السلام ) se mansub doa / hirze " sharafe shams " kandah karte hain


iran me ye anguthi milti hai


aek baat waazeh kar dena chaahta hun ke is anguthi ko sawaab ki niyat se pahnen is liae ke " sharafe shams doa / hirz ka zikr motabar rewaayaat me nahi hai


Note :


horufe ab'jad yaani horufe tahaj'ji (alif se ye tak) jo arabi me mash'hur qaul ke motaabiq 28, faarsi me 32 aur urdu me 35 hain

eilm-ul-aadaad horufe ab'jad ka aek eilm hai jo horufe tahaj'ji ke bit'tartib aadaad maalum karne ke liae banaa'ae ga'ae hain


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله


  1. aqiq | firoza | yaaqut | dur're najaf | chini hadid | ki fazilat | ahamiyat | faa'aede

  2. Jafr ka matlab | eilme jafr se moraad | aqsaam | eilme jafr aur is ki ketaab sirf imaam ke paas hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔4 / صفر / 1443ھ.ق


️شب شهادت مظلومہ و شہیدہ رقیہ بنت الحسین ( سلام اللہ عليهم )۔

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen