7 safar me welaadat ki khushi manaa'aen ya shahaadat ka gham ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, October 14, 2018

7 safar me welaadat ki khushi manaa'aen ya shahaadat ka gham ?

Sawaal az: ......


As Salam walekum qibla khairiyat se hai


Mera aik sawaal hai 7 safar ko imaam musa qazim a.s. ki wiladat hai to uski munaasebat se Kya Hoga aik Sahab ne mahfil ka name Diya hai please reference ke sath bata dijiye


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله


sab se pahle chand baaton ki taraf aeshaara karna zaruri hai :


  1. Imaame Musa Kaazim (عليه السلام) ki welaadat ke ta'alluq se dusra qaul bhi hai, wo ye hai ke aap ki welaadat maahe zilhijja (ذى الحجه) me huei (17 ya 27 zilhijja) baaz rewaayaat se isi taarikh ki taa'eid bhi hoti hai

  2. bohot saare mowarrekhin wa olama farmaate hain 7 safar me Imaame Hasan (عليه السلام) ki shahaadat huei (dusri rewaayat ke motaabiq 28 safar hai) isi wajah se 7 safar Najafe Ashraf ka hauza bhi band rahta hai

  3. Najafe Ashraf wa Qum al-moqaddasa me maujud maraaje aezaam ke ghar wa daftar me majlisen wa ... hoti hain aur shia hazaraat bhi azaadaari karte hain


    is taarikh me azaadaari olama, foqaha aur momenin ki sirat rahi hai


  4. maahe safar maahe huzn-o-andoh hai, maahe aza wa maatam hai, kaarwaan-e-hussaini is maah me mosibat zada wa ... tha, tamaam aemaambaade seyaah posh rahte hain, har jagah majlisen hoti hain wa ...

  5. aek rewaayat ka mafhum molaaheza farmaa'aen :

  6. aek shakhs ne Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) se puchha "aek taraf walima hai aur dusri taraf tash'eiye janaaza (تشییع جنازہ), kidhar jaaun ?"


    aap ne farmaaya :


    tash'eiye janaaza me jaao ...


    ye hadis is baat par bataure shaahid ho sakti hai ke khushi par gham moqaddam hai


    aql bhi yahi kahti hai. masalan kisi aziz ke ghar khushi wa shaadi hai aur dusre ke ghar (khoda na kare) koei mar gaya, keya karten hain ?

    shaadi taal dete hain ya khushi manaa'ae beghair nehaayat saada tariqe se karten hain


jo bayaan kiya ous ke peshe nazar 7 safar jashn-o-sorur ki mahfil ka in'aeqaad, khushi manaana, mobaarak baad pesh karna qat'an wa yaqinan sahi nahi hai, is se parhez karen


is ta'alluq se aksar maraaje keraam ki nazar-e-mobaarak dekhi, sab ne shid'dat se 7 safar ko khushi manaane se mana kiya hai aur farmaaya hai ke is din majlisen wa azaadaari ... karen


agar maan len ke 7 safar welaadat-e-Imaam Musa Kaazim wa shahaadat-e-Imaam Hasan (صلوات الله عليهم) hai to ba'qaul Aayatullah Behjat (نورالله مرقده) :


"aehteyaat ye hai ke Imaam Musa Kaazim ke fazaa'ael bayaan kiae jaa'aen aur Imaam Hasan wa shohadaa'ae karbala (صلوات الله عليهم) ke masaa'aeb bayaan kiae jaa'aen, is tarah dono Imaam aur shohadaa'ae karbala ka bhi zikr ho jaa'ae ga"


jo log 7 safar mahfil-e-jashno sorur wa ... ka in'aeqaad karna chaahaten hain oun se guzaarish hai ke Imaam Musa Kaazim (عليه السلام) ki mohabbat ke naam par aap ke jad ki azaadaari ko kharaab na karen


jis tarah hamaare buzurgon ne azaadaari ki ousi tarah karte rahen


khoda tamaam azaadaaron ki hefaazat farmaa'ae aur dushmano ke shar se mahfuz rakhe


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat - Gulzar bagh waqf house estate - Azim Aabad / patna


4 / صفر / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen