Sawaal az : mohtaram janaab Niaz Ali Yaas sb / pakistan
aoa
bhai mara ek sawaal hai chehlum se pahle engagement karne me koi qabahat hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و برکاته
agar kisi bhi tarah ki khushi ki bazm wa taqrib ka aehtemaam wa in'aeqaad na kiya jaa'ae to haraam nahi hai
Note :
ham logon ke darmeyaan aek pasandidah wa ach'chhi sun'nat wa rasm ye hai ke 2 mahinon yaani moharram wa safar me Imaam Husain aur aap ke As'haabe baa'wafa aur Ahlebaite at'haar (سلام الله عليهم) ke aehteraam me mangni (منگنی) waghairah nahi karte hain
in 2 mahinon ke pahle ya baad me kisi ach'chhi wa mobaarak taarikh me karte hain
is liae ke ye 2 mahine huzn aur gham-o-andoh ke mahine hain lehaaza agar khushi ki taqrib ka aehtemaam na kiya jaa'ae aur ay'yaame aza'daari ki be hurmati na ho tab bhi momenin ke liae shaa'eista wa sazaawaar hai ke aza ke dinon khosusan moharram wa safar me mangni waghirah karne se parhez karen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darur itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔22 / محرم / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment