sawaal az :+919011.....
Assalamu Alaikum jaise abhi Naad-e-Ali ke mutallik roushni daale ab tak to hum zaakireen se sunte thhe ke jang-e-khaybar me huzoor ne padhe jab Moula Ali Madina me the waise hi Zulfikaar ke mutallik bhi roushni daale taake ilm me ezaafa ho
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
zulfaqaar me "fe" ko zabar ya zer ke saath padhna sahih hai yaani "faqaar" ya "feqaar"
zu ka matlab saaheb aur waala hai aur faqaar ka matlab ridh ki had'di ( ریڑھ کی ہڈی ) hai lehaaza zulfaqaar ka matlab huaa ridh ki had'di waali ( talwaar )
zulfaqaar naam rakhne ka sabab :
2 sabab ka zikr kiya gaya hai
- is talwaar par ridh ki had'diyon ki tarah neshaan aur dhaari wa lakiren thin is liae is ko zulfaqaar kaha jaata hai
- Imaam Saadiq ( عليه السلام ) se sawaal kiya gaya ke zulfaqaar naam rakhne ka sabab keya hai ? to aap ne farmaaya :
"is liae rakha gaya ke Amirul Momeneen ( عليه السلام ) ne kisi par ye talwaar nahi maari magar ye ke wo dunya me hayaat aur aakherat me jan'nat se mahrum ho gaya
zulfaqaar aek taarikhi aur baa barkat talwaar hai jo Amirul Momeneen Ali ( عليه السلام ) ki thi, Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) ne ous talwaar ko jange ohad me hazrat Ali ( عليه السلام ) ko ataa farmaa di thi
zulfaqaar talwaar ka tazkerah ahaadees, sirat aur taarikh ... ki shia aur sunni ketaabon me kasrat se milta hai aur is talwaar ke baare me mokhtalif aara bhi hain
oun me se aham tareen darj zail hain :
- jan'nat aur aasmaan se naazil huei
is ke baare me bataane se pahle surah hadeed aayat 25 ka tarjamah molaaheza farmaa len :
"be shak ham ne apne Rasulon ko waazeh dalaa'ael ke saath bheja aur oun ke saath ketaab aur mizaan naazil kiya taake log adl qaa'aem karen aur ham ne loha outaara jis me shadid taaqat hai aur logon ke liae faa'aede hain aur taake allaah maalum kare ke kaun bin dekhe khoda aur ous ke Rasulon ki madad karta hai, allaah yaqinan badi taaqat waala, ghaalib aane waala hai"
is aayat me qaule khoda "ham ne lohaa outaara" ke baare me hazrat ibne Abbaas ne rewaayat kiya hai :
[ " khoda ne Aadam ko jan'nat se naazil kiya oun ke saath "zulfaqaar" thi ous talwaar ko jan'nat ke ( paude / darakht ) "aas ( rayhaan )" ke pat'te se banaaya, phir farmaaya "ous me shadid taaqat hai" aur Aadam ne ous ke zariae jin aur shayaatin me se apne dushmanon se jang ki aur ous par likha tha :
mere ambiya is se hamesha jang karte rahen ge, aek nabi ke baad dusra nabi, aur aek sid'diq ( nehaayat sach'chaa ) ke baad dusra sid'diq, yahaan tak ke is ke waaris Amirul Momenin banen ge pas is se nabi ke hamraah jehaad karen ge "logon ke liae faa'aede hain" Mohammad wa Ali ( صلوات الله عليهم ) ke liae hain ... " ]
aur hamaare sab as'haab ne rewaayat ki hai :
"is aayat ( hadeed 25 ) se moraad "zulfaqaar" hai ous ko aasmaan se nabi par naazil kiya pas ous ko nabi ne ali ko ataa farmaa di"
( manaaqebe aale abi taalib jild 3 p 295 fasl fi zikre sayfehi ... / allaamah majlesi ne bhi manaaqib hi se is hadees ... ko naql kiya hai " bahaarul anwaar jild 42 p 57 )
raawi ne Imaam Reza ( عليه السلام ) se Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) ki talwaar "zulfaqaar" ke baare me puchha ke wo kahaan se aaei ? to aap ne farmaaya :
هَبَطَ بِهِ جَبرَئِيلُ عليه السلام مِنَ السَّمَاءِ وَ كَانَت حِليَتُهُ مِن فِضَّةٍ وَ هُوَ عِندِى
"jibraeil ( عليه السلام ) ous ke saath aasmaan se outre ( yaani laa'ae ) aur ous ka zewar ( halqah / gol kunda ) chaandi ( ka ) hai aur wo talwaar mere paas hai"
- kaha gaya hai ke hazrat jabraeil ne ( allaah ki taraf se ) hukm diya ke yaman me lohe ka but hai ouse laa'aen, hazrat Ali ( عليه السلام ) ga'ae aur ous ko tod diya ous se 2 talwaaren "mikhdam ( مِخدَم ) ( tez wa borindah talwaar ) aur "zulfaqaar" banaaei gaein ..."
- monab'beh bin Haj'jaaj ki thi, ye shakhs kaafir tha jange badr me hazrat Ali ( عليه السلام ) ke haathon waasile jahannam huaa to ous ki talwaar "zulfaqaar" Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) ko ba taure safi ( maale ghanimat me se muntakhab kardah raeis ka hissah ) ke mili thi
- hazrat Solaymaan bin Daa'aud ki thi, Bilqis ne aap ko hadiyah ke taur par di thi phir ye talwaar "Monab'beh" ke bete "Aas" tak pahunchi ye shakhs kaafir tha jange badr me hazrat Ali ( عليه السلام ) ke haathon maara gaya, hazrat Ali ne wo talwaar Rasule Khoda ( صلوات الله عليهم ) ko de di phir aap ne hazrat Ali ( عليه السلام ) hi ko ataa farmaa di
- Abu'jahl ki talwaar thi, ba'taure maale ghanimat mili, baad az azaan Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) ne ye talwaar hazrat Ali ( عليه السلام ) ko ataa farmaa di ...
-
maale ghanimat ke aelaawah aek qaul ye bhi hai ke "Hajjaaj bin aelaat" ne Rasule Khoda ( صلى الله عليه وآله ) ko apni talwaar "zulfaqaar" hadiyah ki thi phir Amirul Momeneen Ali (عليه السلام ) ki ho gaei
aur isi ke baare me kaha gaya hai : "koei jawaan mard nahi magar Ali, koei talwaar nahi magar zulfaqaar
is ke peshe nazar zulfaqaar aahani but se banaaei gaei
zulfaqaar ke baare me mazkurah baala aara ke aelaawah dusre aqwaal bhi hain, masalan hazrat Ali ne ba hukme Rasule Khoda ( سلام الله عليهم ) mota'addid but khaanon par hamla kiya, wahaan jo talwaaren milin oun me se baaz ka naam "zulfaqaar" tha aekhtesaar ke peshe nazar oun ki tafseel aur hawaalon ko nazar andaaz karta hun
No. 3 se jo hawaale diae ga'ae hain wo sab sunni ketaabon ke hain albatta ous me jo bayaan kiya gaya hai mokhtasar farq ke saath ous ka tazkerah shia ketaabon me bhi huaa hai, momkin hai shia mowarrekheen ... ne sunni ketaabon se hi naql kiya ho
aap ne molaaheza farmaaya ke "zulfaqaar" ki milkiyat waghaiyrah ke baare me jo aara hain oun me ketna tazaad paaya jaata hai, masalan koei "Monab'beh" ki kahta hai to koei ous ke bete "Aas" ki ...
dusre ye ke kis jang me "zulfaqaar" Rasule Akram ( صلى الله عليه وآله ) ko mili ? is silsile me bhi aekhtelaaf hai masalan koei kahta hai jange badr me mili to koei kahta hai jange qaynoqa ( قَينُقَاع ) ... me mili
tisre ye ke Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) ne "zulfaqaar" kis ko hadiyah di ? is hawaale se bhi sunni mowarrekheen ke darmeyaan aekhtelaaf hai, koei kahta hai hazrat Ali ( عليه السلام ) ko di albatta aksariyat ki raa'ae yahi hai lekin baaz ne likha hai ke Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) ne "Abu'dojaanah" ko di
farz kar len ke agar mazkurah tamaam aqwaal aek hi zulfaqaar ke mota'alliq hain to mokhtalif aur motazaad aara ke peshe nazar eise qabul nahi kiya jaa sakta is liae ke motazaat aara ne saare moaamale ko mash'kuk bana diya hai lehaaza ye maanna pade ga ke asli zulfaqaar ki shabih banaaei gaei thi jis ka naam "zulfaqaar" rakha gaya
oun talwaaron ka naam "zuldaqaar" is monaasebat se tha ke oun ki banaawat asli zulfaqaar ki tarah thi
mokhtalif aqwaal wa aara, zulfaqaar ki shabih ke baare me hain
kaha jaata hai Imaam Ali ( عليه السلام ) ke baad ye talwaar Imaam Hasan ( عليه السلام ) ke paas aaei phir oun se Imaam Husain ( عليه السلام ) ke paas aaei, karbala me Imaam Husain ( عليه السلام ) ne yazidi lashkar ke saath moqaabala karne me bhi yahi talwaar istemaal ki
Imaam Husain ( عليه السلام ) ki shahaadat ke baad ye talwaar yazidi lashkar ne lut li ous ke baad mokhtalif jaghon se hoti huei ye talwaar khelaafate ousmaaniya ke aakheri daur me turkey laaei gaei aur ab ye talwaar shahre "istanbul" me waaqe "topkapi museum" me mahfuz wa maujud hai
yaa kaha jaata hai ke delhi ke kisi museum me bhi zulfaqaar maujud hai
ye talwaaren asli zulfaqaar nahi hai balke ous ki shabih wa naqli hai
mokhtasar ye ke "zulfaqaar" ki 2 aqsaam hain, aasmaani aur zamini, zamini zulfaqaar ki mokhtalif qismen hain
lekin aasmaani wa jannati "zulfaqaar" sirf aur sirf aek hi hai aur wo wahi hai jab jange ohad me sab musalmaan Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) ko chhod kar bhaag ga'ae, Abubakr, Oumar aur Ousmaan tak feraar kar ga'ae ... , is jang me hazrat Ali ( عليه السلام ) ki talwaar tut gaei to Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) ne aap ko "zulfaqaar" ataa ki, jis waqt hazrat Ali ( عليه السلام ) ne shujaa'at dekhaaei aur Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) ki madad ki to Rasule Khoda ne farmaaya :
ay Ali apni taarif sunte ho ke "Rizwaan" farishta kah raha hai :
"koei talwaar nahi bajuz zulfaqaar ke, koei jawaan mard nahi bajuz Ali ke"
aur is ke baad Jabraeil ne Rasule Khoda ( صلى الله عليه وآله ) se kaha :
"ay Rasule Khoda ye kamaale mowaasaat ( apni jaan khatre me daal kar Rasule Khoda ki jaan bachaa li ) wa jawaan mardi hai jo Ali murtaza aap se karte hain, hazrat ne farmaaya "keyon na ho, Ali mujh se hain aur me Ali se hun, is par Jabraeil bole aur me aap donon se hun"
bahar kaif sunni kahte hain "zulfaqaar" naami talwaar jannat se naazil nahi huei thi ya is baare me khaamoshi aekhteyaar ki hai
sunni mowarrekheen ... ka saara zor is baat par hai ke ye talwaar hazrat Ali ( عليه السلام ) tak zamini tariqon se pahunchi
ye baat qaabile tawajjoh hai ke tamaam motazaad aqwaal wa aara me talwaaron ke naam aur talwaaron ke maalekaan wa saahebaan ka tazkerah hai lekin talwaar banaane waale ka koei zikr nahi
is ka matlab "zarur daal me kuchh kaala hai"
shia rewaayaat se istefaadah hota hai ke hazrat Ali ( عليه السلام ) ki "zulfaqaar" naami talwaar jannat se naazil huei thi aur aasmaani tohfa thi jise janaabe Jibraeil aasmaan se laa'ae the
( is hawaale se shuru me rewaayat ka tazkerah kar diya gaya hai )
is waqt wo talwaar ous ke waaris yaani Imaame Asr ( عجل الله فرجه الشريف ) ke paas hai, zohur ke waqt aap ki talwaar wahi Rasule Khoda ( صلى الله عليه وآله ) ki zulfaqaar hogi
imaamat ki neshaaniyon aur alaamaton me se aek neshaani wa alaamat zulfaqaar hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko molaaheza farma len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔16 / محرم / 1443ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment