Sawaal az : +9665518....
Salamun alaikum wrb
Abhi 1 saal se zayada ka waqt ho gaya hai aur Umrah kiya tha aur mera tawafunnisa baaqi rah gaya tha
aur uske baad moqa nahi mila use anjam dene ka aur abhi sirf Umrah ke liye permission mil rahi hai to kya me Umrah kar sakta hu ya pehle tawafunnisa karna zaruri hai
Kyu ke utne waqt ki permission nahi mil sakti ke pichhla tawafunnisa bhi karu aur Umrah bhi
Aap tafsili jawaab marhamat farmaye
Shukriya 🙏
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ji haan, oumrah kar sakte hain ous se pahle tawaaf-e-nesaa karna zaruri nahi hai lekin 2 tawaaf-e-nesaa karna aur tawaaf ke baad ous ki namaaz padhna zaruri hai (aek tawaaf-e-nesaa pahle oumre ka aur dusra tawaaf-e-nesaa dusre oumre ka)
bas yaad rahe ke tawaaf-e-nesaa ke beghair oumrah sahih hai lekin ous (tawaaf-e-nesaa) ki adaa'eigi se pahle biwi haraam hai ous se izdewaaji ta'alluqaat qaa'aem nahi kar sakte hain
mazid tafsilaat ke liae niche recommend kiae ga'ae jawaab ko molaaheza farmaa len
Eiltemaase doa
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
21 / ذيقعده / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment