Sawaal az : +9199673....
Salamo alaikum agha.
Faizan ke maane kya hote hain kya main apne bete ka naam faizan rakh doon ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Fayazaan ke maani :
ye arabi zabaan ka lafz hai jis ke maani, paani ka kasrat se hona, ous ka bahna wa jaari hona aur labrez hona hai
ye lafz ba'fat'he "fe" aur "ye" yaani "Fayazaan" (فَيَضان) hai
urdu zabaan me ba'sokune harfe dow'wom (ye) yaani faizaan mustaamal hai
ji "Faizaan" naam rakh sakte hain koei haraj nahi hai
lekin momeneene geraami ko sanjeedgi ke saath aur sakhti se hedaayat di jaa rahi hai aur oun se talqeen ki jaa rahi hai ke ayse naam rakhen jo khosusiyat ke saath mazhabe shia se ta'alluq rakhte hon aur shia mazhab ki numaaeindagi karte hon
aulaad ka waalid par ye haq hai aur waaledain par farz hai ke wo apne bach'che ka ach'chha wa behtareen naam rakhen is liae ke sheer'khaar bach'che ko bilkul maalum nahi hai ke kaun saa naam ach'chha hai ? Aur kaun saa bura hai ?
Imaam Kaazim (عليه السلام) ka irshaade geraami hai :
اَوَّلُ مَا يَبَرُّ الرَّجُلُ وَلَدَهُ اَن يُسَمِّيَهُ بِاِسمٍ حَسَنٍ ، فَليُحسِن اَحَدُكُم اِسمَ وَلَدِهِ
"aadmi (baap) ki pahli neki apne farzand ke saath ye hai ke ous ka oumdah aur ach'chha naam rakhe pas tum me se har aadmi (baap) ko chaahiae ke apne farzand ka ach'chha naam intekhaab kare
(foruae kaafi jild 6 p 18 ketaabul aqiqah baabul asmaa wal kona h 3)
suraj se zeyaadah zaahir aur ayaan hai ke Rasule Khoda aur aap ke Ahlebait (صلوات الله عليهم) ke asmaa'ae geraami behtareen, ach'chhe, khubsurat, dilkash, shirin, khushgawaar aur baa maani naam hain
shaayaane zikr hai ke nafseyaati taur par bhi naam ka bada asar padta hai, agar bure naam rakhe jaa'aen to log mazaaq oudaa'aen ge, tamaskhur wa istehza aur tauheen karen ge, is qism ke waa'qeaat ke sadde baab ke liae Maasumeen (صلوات الله عليهم) ne farmaaya hai ke apni aulaad ke ach'chhe naam rakho
bach'chon ka naam rakhna aetna aham hai ke hadees me yahaan tak irshaad huaa hai ke bach'che ka naam bura rakhne ya paydaaeish ke pahle na rakhne ki surat me roze qeyaamat baargaahe aelaahi me waaledain ki shekaayat kare ga ke ounhon ne mera naam bura rakh kar ya na rakh kar mujhe zaa'ae kar diya
Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) ne farmaaya :
سَمُّوا اَولَادَكُم قَبلَ اَن يُولَدُوا فَاِن لَم تَدرُوا اَ ذَكَر اَم اُنثَى فَسَمُّوهُم بِالاَسمَاءِ الَّتِی تَکُونُ لِلذَّکَرِ وَالاُنثَی فَاِنَّ اَسقَاطَكُم اِذَا لَقُوكُم يَومَ القِيَامَةِ وَ لَم تَسَمُّوهُم يَقُولُ السِّقطُ لِاَبِيهِ : اَلاَّ سَمَّيتَنِى وَ قَد سَمَّى رَسُولُ الله صلى الله عليه و آله مُحَسِّناً ( مُحسِناً ) قَبلَ اَن يُولَدَ
Tarjamah wa mafhum :
"apni aulaad ka naam paydaaeish ke pahle hi rakho (yaani jab shekame maadar me ho) agar maalum na ho saka ke ladka hai ya ladki to oun ke ayse naam rakho jo ladke wa ladki ke hon (yaani aek naam ladka saa aur aek naam ladki saa rakho agar ladka payda huaa to ladke ka rakh do aur agar ladki payda huei to ladki ka rakh do) agar paydaaeish ke pahle naam nahi rakha aur tumhaara bach'cha saaqit ho gaya to be'shak roze qeyaamat jab tum se molaaqaat kare ga to saaqit shudah bach'cha apne baap se kahe ga (shikwah kare ga) ke mera naam keyon nahi rakha ? jab ke be'shak Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne paydaaeish ke pahle hi Mohsin naam rakh diya tha (yaani apni beti ke farzand ka naam Mohsin rakha tha jin ko Umar ne batne maadar me hi shahid kar diya)
(foruae kaafi jild 6 p 18 h 2 ketaabul aqiqah baabul asma wal kona)
Wazaahat :
"ba'tahqiq Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ne paydaaeish ke pahle hi Mohsin naam rakh diya tha" momkin hai ye qaul saaqit shudah bach'che ka kalaam ho lekin zaahir tar (bahot zeyaadah waazeh) ye hai ke ye qaul Imaam Ali (عليه السلام) ka kalaam hai :
dunya wa aakherat me ach'cha naam baa'aese khair-o-barkat hai ous ki be had taasir hai
Ahlebait (عليهم السلام) ke naamon aur alqaab par jin logon ke naam hain wo roze qeyaamat khud par fakhr karen ge aur bela shubha mofid bhi hai ye ho sakta hai ke ham me se beshtar ko ye sab samajhna mushkil ho
raawi ka bayaan hai ke Imaam Saadiq (عليه السلام) ki khidmat me ye baat arz ki gaei :
... اِنَّا نُسَمِّى بِاَسمَائِكُم وَ اَسمَاءِ آبَائِكُم فَيَنفَعُنَا ذَالِكَ ؟ فَقَالَ : اى وَالله وَهَلِ الدِّينُ اِلاَّ الحُبَّ ...
" ... ham aap ke aur aap ke aabaa-o-ajdaad ke naamon par naam rakhte hain keya baargaahe aelaahi me hamaara ye amal hamen naf aur faa'aedah pahunchaa'ae ga ? to Imaam Saadiq (عليه السلام) ne farmaaya : haan, khoda ki qasam. keya deen mohabbat ke sewa kuchh hai ? ... "
[yaani ye kaam, Ahlebait (عليهم السلام) se aqidat aur mohabbat ka izhaar hai oun se mohabbat aur qalbi lagaao ki alaamat wa neshaani hai aur ous me aehsaas wa sho'our payda karta hai ke wo mazhabe Ahlebait (سلام الله عليهم) ke payro kaaron me se aek hai )
(tafsire kanzud daqaa'aeq wa bahrul gharaa'aeb jild 3 p 70 taalif meerza mohammad qomi mash'hadi)
mazkurah baala bayaanaat se is baat ka pata chalta hai ke novelon, daramon, filmon ke ada kaaron, khelaadiyon ... , angrezi taraz ke aur urdu faarsi se makhsus naam apne bach'chon ke na rakhen
agar koei shia dusron ki tahzeeb se mota'assir ho kar masalan angrezi taraz ... ke naam rakhe to wo aehsaas-e-kamtari me mubtala hai
tamaam momeneen ko chaahiae ke agar kisi ke naam bure hain to oun ko badal den aur Maasumeen aur Ahlebaite Rasul (صلوات الله عليهم) ke asmaa aur alqaabe mobaarak par apne bach'chon ka naam rakhen taake oun ki aulaad shia samaaj ke andar shiei iftekhaar ko oujaagar karen
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
20 / ذيقعده / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment