Sawaal az : Mohtaram janaab Mohib Ali Zaidi sb ( pakistan / islamabaad )
Naade ali ki haqiqat keya hai ?
Jis ki koi motabar sanad maujud nahi taarikh ki ketaab me is ka hona junge ohad me bataaya jaata hai jidhar hazrat Ali a.s pahle hi maujud the jabke allama aur zaakerin khaibar me padhte aur beyaan karte hain
Keya ye baat durust hai ke jis cheez me aane ki jagah maalum na ho na hi us ki koi motabar sanad maujud ho us ko rasullallah se mansub kar diya jaae ke rasullallah par wahi hui inho ne padhi ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
naade ali ke naam se 2 doa hai ; naade ali saghir aur naade ali kabeer. naade ali kabir, naade ali saghir se taqriban 8 guna badi hai lekin naade ali saghir sirf 2 bait yaani 4 misre hain molaaheza farmaa'aen :
نَادِ عَلِيّاً مَظهَرَ العَجَائِبِ
تَجِدهُ عَوناً لَكَ فِى النَّوَائِبِ
كُلُّ غَمٍّ وَ هَمٍّ سَيَنجَلِى
بِوَلَايَتِكَ يَاعَلِىُّ يَاعَلِىُّ يَا عَلِى
naade aliyan mazharal ajaa'aeb
tajid'ho aunan laka fin nawaa'aeb
kullo ghammin wa hammin sayanjali
be walaa'yateka yaa ali yaa ali yaa ali
Tarjama :
ay Mohammad Ali ko pukaaro jin se ajaa'aebaat zaahir hote hain ( mazharal ajaa'aeb ke bajaa'ae "muzheral ajaa'aeb" bhi padhna sahih hai is surat me matlab huaa "Ali ko pukaaro jo ajaa'aebaat zaahir karne waale hain" ), aap oun ko mushkelaat wa mosibaton ke waqt apna madad'gaar wa hamdard paa'aen ge, qareeb hai ke har hammo gham dur wa zaa'ael ho jaa'ae, ba sabab wa ba'daulat aap ki welaayat ke ay ali ...
( baaz ketaabon me gham ke pahle ham hai yaani kullo hammin wa ghammin )
yahi naade ali hamaare darmeyaan zeyaadah mash'hur hai
shia wa sunni ki mota'addid ketaabon me is ka zikr hai, sirf baaz ketaabon ka asl matlab hawaalon ke saath darj zail hai :
Shia ketaab :
- jange ohad me Rasule Khoda ( صلى الله عليه و آله ) ne farmaaya ay Ali apni taareef sunte ho ke "rizwaan" farishtah aasmaan par kah raha hai :
- mohaddise nuri likhte hain :
- aayatullah mar'ashi najafi ( رضوان الله تعالى عليه ) sharhe aehqaaqul haq jild 31 p 219 wa 220 par is tarah raqam taraaz hain :
لَاسَيفَ اِلَّا ذُوالفَقَار ، وَلَا فَتَى اِلَّا عَلِى
"koei talwaar nahi bajuz zulfaqaar ke, aur koei jawaanmard nahi bajuz Ali ke"
aur kaha gaya ke roze ohad nabi ( صلى الله عليه وآله ) ko neda di gaei :
naade aliyan mazharal ajaa'aeb ... ( naade ali ke 4 misre ka zikr hai )
( bahaarul anwaar jild 20 p 73 tasnif allaamah majlesi matbuah moas'sasah al wafa )
shahide aw'wal ( ُرَحِمَه الله ) ki tahrir ( ketaabat ) dekhi jis me zikr hai ke gumshudah chiz milne, aur sardaar ke paas se bhaage huae ghulaam ki waapsi ke liae in do bait ( naade ali ) ko baar baar padhen
( mustadrakul wasaa'ael jild 15 p 483 tasnif mohaaddis nuri )
wazaahat :
al misbaah me shahide aw'wal ki tahrir surah aadeyaat ke baare me hai yaani gumshudah ke milne ke liae sura aadeyaat padha jaata hai
naade ali ke baare me is tarah likha hai :
وَمِمَّا ذُكِرَ لِرَدِّ الضَّائِعِ وَالآبِق تَكرَارُ هَذَينِ البَيتَينِ ...۔
aur gumshudah ke milne wa bhaage huae abd ke waapas aane ke liae jo zikr kiya gaya hai is 2 bait ... ( yaani naade ali ke 4 misre ) ko baar baar padhna hai
( al misbaah jild 1 p 182 wa 183 tasnif shaikh ibraaheem kaf'ami )
hadees "naade aliyan mazharal ajaa'aeb" ko sunniyon ki jamaa'at ne apni ketaabon me rewaayat kiya hai, oun me se aek faazile moaasir "abu haajar mohammad saeid bin basyuni zaghlool" hain jinhon ne "mausuah atraaful hadisun nabawiyush shareef jild 10 p 3" par is hadees ( naade ali ) ko rewaayat kiya hai
Sunni ketaab :
shaikh abdul haq mohaddis dehlawi se ahle eilm aagaah hain, moghaliyah daur me muttahedah ( ghair munqasim ) hindustaan ke maaye naaz sunni aalime deen aur mohaddis ... the, apni mash'hur-o-maaruf ketaab "madaarejun nobuw'wat" me likhte hain :
"... ghaib se aek aawaaz - logon ne suni jo kah raha tha laa fata eilla ali, laa saif eilla zulfaqaar - ma'aarejun nobuw'wat aur kashful ghummah me is waaqea ke maanind is se zeyaadah tazkerah kiya gaya hai, is ke aakhir me hai ke hozure akram ( ص ) ne farmaaya :
"ay Ali (رضى الله تعالى عنه ) aap ne apni taareef suni jo farishta jis ka naam aasmaan me rizwaan hai kah raha hai - wa kahta hai : laa fata eilla ali, laa saif eilla zulfaqaar"
rauzatul ahbaab me manqul hai ke ye hadees isi tariqe se baaz akaabir mohaddeseen se marwi hai aur ahle seyar ne apni ketaabon me bayaan kiya hai
" ... ba zaahir "naade aliyan mazharal ajaa'aeb, tajid'ho aunan laka fin nawaa'aeb" ka qissa isi mo'aamalah aur maarekah se mota'alliq hai jo ke ohad me waaqe huaa lekin hadees ki ketaabon me is ka koei zikr nahi kiya gaya ( wallaho aalam )"
( madaarejun nobuw'wat jild 2 baab 4 hijrat ke tisre saal ke waaqeaat - ghazwa-ae ohad - maareka'ae ohad hazrat ali murtaza ( رضى الله تعالى عنه ) ki jawaanmardi )
molaaheza farmaaya ke allaama majlesi ( رضوان الله تعالى عليه ) ne likha hai ke "roze ohad nabi ( صلى الله عليه وآله ) ko neda ( aawaaz ) di gaei : naade aliyan ... bas isi par aektefa kiya hai, sada dene waala kaun tha is ke baare me zikr nahi aur nahi aysi koei baat likhi hai jis se saabit ho ke hadees "naade ali" kisi maasum ( عليه السلام ) ki jaanib se waarid huei hai aur kisi maakhaz wa mamba ki taraf bhi aeshaarah nahi kiya hai
mohaddis nuri ne shahide aw'wal ( رضوان الله تعالى عليهم ) ki jis tahrir ki taraf aeshaara kiya hai ous me jo baat likhi hai ous ki nisbat kisi bhi maasum ( عليه السلام ) ki taraf nahi di gaei hai
Aayatullaah Mar'ashi Najafi (رحمةالله عليه ) azim mohaqqiq bhi the, ounhon ne bhi sirf aetna likha hai "hadees naade ali ko sunniyon ki jamaa'at ne apni ketaabon me rewaayat kiya hai" kisi maasum ( عليه السلام ) se mansub nahi kiya hai
sunniyon ke aalim Shaikh Abdul Haq mohaddis dehlawi sb ne naade ali ke mota'alliq likha hai ke "hadees ki ketaabon me is ka koei zikr nahi kiya gaya hai" ( wallaah aalam )
mazkurah baala bayaanaat se is baat ka pata chalta hai ke yaqini taur par naade ali ki nisbat Rasule Akram ya kisi maasum ya janaabe Jibraeil ( سلام الله عليهم ) ki taraf nahi di jaa sakti hai aur na hi yaqin ke saath kah sakte hain ye hadise qudsi hai
lekin sawaal ye hai ke keya naade ali ke 2 bait ( 4 misre ) ke mataalib naa durust hain ?
is ka jawaab ye hai ke hargiz aysa nahi hai, is ke mataalib sahih aur maqbul hain aur na sirf ye ke sahih wa maqbul hain balke aek haqiqat hai aur qur'aan wa motabar ahaadees ke mowaafiq bhi hain, is me koei shak nahi
baaz kathmulla wa naam nehaad mufti kahte hain ye shirkiyah jumla hai
daarul olum dew'band daarul ifta se naade ali ke baare me aek sawaal ke jawaab me kaha gaya :
shia hazaraat Ali ( رضى الله عنه ) ki oluhiyat ke qaa'ael hain aur ounhen "mushkil kusha" kahte hain aur ounhon ne apne is faasid aqide ko raa'aej karne ke liae mokhtalif propaganday kiae, yahaan tak ke sunni logon ki zabaanon par bhi "yaa ali mushkil kusha" chadh gaya, shion ne is ke liae 2 sher bhi kahe hain, naade aliyan mazharal ajaa'aeb ... ( 4 misre ka zikr hai ) maalum huaa ke "naade ali" shion ka eijaad kardah shirkiyah jumla hai, is liae kisi musalmaan ke liae is ka kahna jaa'aez nahi hai
keya ye shirkiyah jumla hai ? ya shia, hazrat ali ( عليه السلام ) ki oluhiyat ke qaa'ael hain ?
is ka jawaab aakhir me Recommend kiae gae jawaab me molaaheza farmaa len
dusre ye ke daarul ifta ke jawaab me kaha gaya, naade ali shion ke kahe huae 2 sher hain
is hawaale se arz kar dun ke agar ye kaha jaa'ae ke naade ali ka zikr shia ketaabon ki ba'nisbat sunni ketaabon me zeyaadah nahi hai to kam bhi nahi hai, ghalat na ho ga
tisre ye ke shion aur sunniyon ki mokhtalif ketaabon me naade ali ka zikr hai lekin ye 2 bait ( 4 misre ) kis ne kahe ? khoda ya hazrat Jibraeil ya Rasule Akram ya maasum ( سلام الله عليهم ) ya kisi aam insaan ne, is ke baare me nahi maalum
daarul ifta ke muftiyon ke eilm ka andaaza isi se laga len ye mufti apni hi ketaabon se be'khabar hain aur shion ki taraf jhuti nisbat dete hain aysa lagta hai ye mufti hazaraat shion ke khelaaf zahar ougalne ke liae hi payda huae hain !
( khoda ayse muftiyon ke shar se khud sunni bhaaeiyon ko mahfuz rakhe )
aakhir me ye batla dun ke naade ali ki nisbat kisi bhi maasum ki taraf dena sahih nahi hai is liae ke is tarah ki baat wa matlab kisi motabar wa mustanad maakhaz wa mamba me baa'wojud talaash ke nahi mila
albatta maraaje keraam ne farmaaya hai :
aysi doaaon ko padh sakte hain, koei haraj nahi hai jis ke baare me nahi maalum ke motabar hai ya nahi ? shart ye hai ke ouse sawaab ki oummid se padhen is niyat se nahi ke kisi maasum ( عليه السلام ) ki jaanib se waarid huei hai
ghair roze daar aur roze daar bhi naade ali ko is niyat se padh sakte hain, is ke zariae tawassul kar sakte hain is liae ke saahebe ajaa'aeb masaa'aeb me madad karen ge
aap say'yedul auliya aur say'yedul ausiya hain, aap ka zikr buzurg tareen zikr hai "zikro ali'in aebaadah" ali ka zikr aebaadat hai, naade ali aap ki shaan me zabardast qasida hai
ahle zikr ke nazdik naade ali ki ajeeb khaasiyaten hain, apni zindagi me bahot martaba aazmaaya bhi hai, haajat, rizq me aezaafe, adaa'ae qarz, jaanwaron wa jin ke shar se mahfuz rahne, dil ko qaabu me karne ... ke liae khaas tariqon se padhne ke liae kaha hai oun ko yahaan bayaan karne ka mauqa nahi hai
والعلم عندالله
eilm allaah ke paas hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔25 / ذيقعده / 1442 ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment