Sawaal az : .....
Hamara sawaal ye hai ki mani ke elaawa dhat ya pani ke nikalne se kya ghusl waajib hoga.
Please mera naam ya number share mat kijiyega
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
- Mazi (مذى) :
- Wazi (وذى)
- Wadi (ودى)
ous paani ko kahte hain jo aam taur par miyaan biwi ke khelne ke baad ya shahwat bhadkaane waala manzar dekhne ke baad ya shahwat ang'gez khayaal ke baad beghair ouchhle nikalta hai
is ki meqdaar mani se bohat kam hai
ous paani ko kahte hain jo mani khaarij hone ke baad kabhi nikalta hai
ous paani ko kahte hain jo peshaab ke baad kabhi nikalta hai mokhtasar safed wa chipka hua (چمٹا ہوا) rahta hai
paani (rotubat) ki ye tamaam aqsaam khaah mard se nikle ya aurat se paak hain ba'sharte ke peshaab wa mani se aaluda na hon aur ghusl wa wozu ko bhi baatil nahi karte hain
Mazeed tafsil ke liae tauzihul masaa'ael dekh len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna, shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
8 / شوال / 1439 ھ.ق