maasumeen ki welaadat | eidon ke mauqe par cake kaatne | taaliyaan bajaane ka hukm - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Wednesday, July 28, 2021

maasumeen ki welaadat | eidon ke mauqe par cake kaatne | taaliyaan bajaane ka hukm

sawaal az : mohtarama janaab samaana sb / zangi pur / up


Salam

Sab khareyat


aapse 2 sawaal poochhna tha :


  1. mahfil me jaise cake kat'ta hai kiya woh sahi hai ?

    Jaise 13 rajab, eid-e-ghadeer me katna sahi hai ?


  2. cake katne ke bad taali bajaana kiya sahi hai karna aur gunah hai to iska kiya gunah hai, aur marjaa is par kiya kahte hai kiya aesa krna sahi hai ya gunah hai ,gunah hai tu kitna gunah

Hame jawab thore jaldi chahiye


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

الحمد لله


  1. maasumeen ( صلوات الله عليهم ) ki paydaaeish ke din aur eidon ( masalan eide ghadeer ) ke mauqe par cake kaatne me shar'an koei haraj nahi hai

  2. khud ba'khud ( yaani dusre jawaanib wa pahluon = پہلوؤں jayse be aehteraami wa be hurmati ... ko madde nazar rakhe beghair ) koei haraj nahi hai lekin sazaawaar wa monaasib nahi hai ke salawaat ki jagah len

salawaat ke zariae zabaan ko moat'rar aur dil wa taqribaat ko monaw'war karen



Note :


  1. zamaana-e-jaaheliyat ki rosum aur rawish me se aek sitiyaan aur taaliyaan ( سیٹیاں اور تالیاں ) bajaana hai

  2. surah anfaal aayat 35 me hai :


    "aur khaana-e-kaabah ke paas oun ki ( naam nehaad ) namaaz , sitiyaan aur taaliyaan bajaane ( khel kud ) ke sewa kuch bhi nahi hai ... "


    mush'rekeen baytullaah ka tawaaf karte waqt 2 oungliyaan munh ( منہ ) me daal kar sitiyaan aur haathon se taaliyaan bajaate the


    afsos daure jaaheliyat ki ye mazmum wa qabih rasm aaj bhi zindah hai


    ghair islaami rosum ko apnaanaa aur naq'qaali zehni ghulaami ka aeteraaf hai


    shion ka she'aar aur naarah salawaat hai aur ye qur'aani wa islaami naarah hai , shion ka naarah wa she'aar taaliyaan aur sitiyaan bajaana nahi hai lehaaza agar mohammad wa aale mohammad par dorud o salaam ki jagah sitiyaan ya taaliyaan bajaa'aen to ye moqad'das taqribaat me tahreef hai


    iran me raa'aej ach'che rosum ko apnaa'aen , ous ki taqleed karen lekin bure rasm o rewaaj jayse mahaafil ... me taaliyaan bajaana na apnaa'aen , ous se parhez karen


  3. shar'ei ahkaam puch'te waqt apne marja ka naam zarur bataa'aen

Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofeed hai انشاءالله




والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔17 / ذى الحجه / 1442 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen