Sawaal az : beraadare mohtaram ( delhi )
Mera sawal ye hai ke waaledain shaadi me jo jewellery apni beti ko dete hain us pe kiska haq hai Shaadi ke baad, ladki ke maa baap yaa ladki ke shauhar ka. Q ki mai dekhta hun kuchh ladkiyan wo kehti hain ke mere maa baap ki di hui cheez hai, ispe ladke ya ladke ke maa baap ko bolne ka koi right nahi hai.
Maazerat ke sath mera naam disclose nahi karna hai. Shukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
agar in hadiyon wa tohfon ( ہدیوں و تحفوں ) ko apni beti ko den to ye beti ki milkiyat hon ge lehaaza beti ka ous par haq hoga
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔27 / ذيقعده / 1442 ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment