sawaal az : mohtarama janaab shahla saaheba / karachi
Salam
Islam Mai mercy killing ka koi concept hai kiya ?
Jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
beghair kisi tamhid ke aap ki khidmat me arz kar dun ke yu'naani zabaan ka lafz "euthanasia" hai jis ke ma'aani : aasaan maut, kisi mareez par raham khaa kar ous ko qatl karna aur bimaar kushi ... hain
is ka maqsad raham khaa kar aise mareez ki zindagi ka khaatemah karna hai jo laa aelaaj bimaari me mubtala hai ya aelaaj bahot hi sakht hai ya shid'date taklif ki haalat me hai ya doctoron ne jawaab de diya hai ...
ye "qat'ae hayaat" ba jazba'ae raham bhi kaha jaata hai
is ki mokhtalif qismen hain oun me se aham tareen aqsaam 3 hain :
-
mareez khud apni hayaat ko khatm kar de masalan oxygen nikaal de ya zahrili wa mohlik dawa khaa le ya bahot saari dawaa'aen khaa le ...
is surat me qaatil aur maqtul aek hi hain
- mareez ki aejaazat wa darkhaast par doctor ya mareez ke waaris ya rishtedaar wa ghar waale ous ki jaan le len masalan injection laga kar ya oxygen nikaal kar ... maut ke ghaat outaar den
- doctor ya waaris ya ghar waale mareez ki darkhaast ke beghair ous ki jaan le len
America aur europe waghairah ke baaz mulkon ne "euthanasia" ko qaanuni shakl de di hai
aap ne puchha hai ke islaam me "marcy killing" yaani "qatle tarah'hum" ka tasaw'wur hai ?
is ki baabat bata dun ke "euthanasia / marcy killing" ko qur'aan majid ya motabar ahaadees me saraahat ke saath zikr nahi kiya gaya hai lekin baaz aayaat aur ahaadees se pata chalta hai :
ye taraze amal haraam hai aur jo bhi is kaam ko anjaam de wo qaatil hai is liae ke ye "qatle nafs" hai
surah nesa aayat 29 me hai :
"... tum apne nafs ko qatl na karo ..."
yaani tum apne aap ko halaak na karo
is aayat se saabit hota hai ke agar mareez khud apni zindagi ko khatm kar de to ye khud'kushi hai aur khud'kushi haraam wa kabirah gunaah hai
aayat kisi qaid-o-shart ke beghair hai agar "qatle tarah'hum" jaa'aez hota to is ko istisna wa juda kiya jaata
surah an'aam aayat 51 me hai :
" ... jis jaan ke qatl ko allaah ne haraam kar diya hai ous ko qatl mat karo haan magar haq ke saath ... "
is aayat me kisi qaid-o-shart ke beghair khoda ne farmaaya hai ke "qatle nafs" jaa'aez nahi hai magar qesaas ( khun ka badla khun / qaatil ki jaan lena ) ke taur par, na sirf jaa'aez hai balke agar maqtul ke waaris mo'aaf na karen to ye qatl nehaayat zaruri hai is liae ke is me tumhaari zindagi hai
mazkurah baala aayat me nahi kaha gaya hai ke laa aelaaj ... mareez ko tarah'hum khaa kar qatl kar sakte ho, is ko istisna wa juda nahi kiya gaya hai jab ke qesaas ko juda kiya gaya hai
surah maa'aedah aayat 32 me hai :
" ... jo shakhs kisi ko beghair is ke, ke wo kisi ka qaatil ho ya zameen me fasaad machaane wa phaiylaane waala ho, qatl kar daale to goya ous ne tamaam insaanon ko qatl kar diya aur jo shakhs kisi aek ki jaan bacha le to ous ne goya tamaam insaanon ko zindah kar diya ... "
is aayat me bhi "qatle tarah'hum" ko juda nahi kiya gaya hai
dusre ye ke akh'laaqan, aqlan aur shar'an dubne waale ya aag me jalne waale ... ko nejaat dena waajib hai agar ham nejaat na den to aek waajib ko tark kiya hai aur tarke waajib haraam hai
mareez bhi ghariq ... ki tarah hai ous ko nejaat dena waajib hai agar koei aisa na kare to haraam ka irtekaab kiya hai
tisre ye ke insaan ka jism ous ke haathon me khoda ki amaanat hai jis ki hefaazat ous ka fariza hai, insaan khud apna maalik nahi hai balke khoda maalik hai, is liae jis tarah wo apne aap ko halaak nahi kar sakta hai ousi tarah ye durust nahi wo kisi dusre ki zindagi ka khaatema kar de , kisi ko bhi is ka haq nahi diya gaya hai, hatta agar mareez doctor ... se apni zindagi ke khaateme ki darkhaast kare to ye is jurm ka jawaaz nahi banta
chauthe ye ke surah aaraaf aayat 34 me hai :
"aur har qaum ke liae aek waqt moqarrar hai pas jis waqt oun ka moqarrarah waqt aa jaa'ae ga to na aek ghadi ( گھڑی ) taakhir kar sakte hain aur na jaldi"
is aayat ke motaabiq har aek ki maut ka waqt moay'yan hai jis ka eilm allaah ke paas hai, lehaaza agar koei khud'kushi kare ya dusron ki jaan le to ye qaanune aelaahi me dakhaalat hai aur khoda ke faisle par sabqat wa pahal karna hai
paanchwen ye ke khoda ke sewa kisi ko eilm hai ke ye mareez is maraz se mar jaa'ae ga ? ketne aise mareez the jin ko doctoron ne jawaab de diya lekin thik ho kar kaei barson tak zindah rahe
chhate ye ke hamaara aeteqaad hai ke apni ya aulaad ki bimaari aur dukh par sabr, gunaahon ka kaf'faarah hai ous par ajre azeem hai
aur maasumeen ( سلام الله عليهم ) ki karaamat wa mojeze par bhi aeteqaad hai
hamaara ye aqidah "euthanasia" ( qatle tarah'hum ) ko baatil karta hai aur bilkul naa manzur karta hai
mokhtasar ye ke mareez apne aap ko halaak kare ya dusre ous ki zindagi ka khaatema karen ye akhlaaqan, aqlan aur shar'an haraam hai. islaam ka tasaw'wur "euthanasia / marcy killing" nahi hai
aur tamaam shia foqaha ke nazdeek "euthanasia" jaa'aez nahi hai, jo shakhs bhi is kaam ko anjaam de wo qaatil hai aur qatl ka baa'aes banne ki surat me qaatil par "deyat" ( khun baha ) ya "qesaas" laazim aa'ae ga
( mareez ya ous ke waaris ki aejaazat se koei dusra ouse halaak kare to is ke haraam hone aur qatle nafs par tamaam foqaha wa maraaje keraam ka eit'tefaaq hai lekin keya is surat me deyat ya qesaas ka haq hai ya saaqit hai ? is baare me tafsili bahas hai )
ye taraze amal khair'khaahi aur mareez par raham nahi balke ous par zulm hai, ous ka qatl hai
Note :
insaan ko chaahiae ke taweel ya laa aelaaj bimaari me mubtala mareez jab tak zindah hai ba qadre imkaan ous ke aelaaj ka silsila jaari rakhe is se zeyaadah ous ki zimmedaari nahi banti, insaan apni koshish ki had tak mehnat aur mahnge aelaaj ka mokallaf hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofeed hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e- darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔12 / ذى الحجه / 1442 ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment