keya khas'si jaanwar ki qurbaani jaa'aez hai ? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Monday, July 19, 2021

keya khas'si jaanwar ki qurbaani jaa'aez hai ?

Sawaal az : beraadare mohtaram


salaamun alykum


badhiya jaanwar ki qurbaani karna kaysa hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


pahle ye bata dun ke aek hai "aakhtah = آختہ" (castration) jise ourfe aam me badhiya aur khas'si bhi kahte hain ye wo jaanwar hai jis ke fote (khusiye) nikaal diae ga'ae hon


aur aek wo jaanwar hai jis ke fote kuchal wa kut diae ga'ae hon (yaani ous ko neem kob kar diya gaya ho)


haj ka paanchwaan aur mena ka dusra waajib amal qurbaani karna hai ous qurbaani ke jaanwar ke liae kuchh khaas sharten hain oun sharaa'aet ka zikr ketaab "manaasike haj" me kiya gaya hai oun me se aek shart ye hai ke jaanwar khas'si na ho lehaaza agar haaji aiyse jaanwar ki qurbaani kare jo aakhtah ho to wo qurbaani kaafi nahi ho gi


lekin jis jaanwar ke fote kuchal wa kut diae ga'ae hon (yaani ous ko neem kob kar diya gaya ho) to aiyse jaanwar ki qurbaani haaji kar sakte hain kaafi hai


eide qurbaan ki qurbaani mustahab hai is eid par jaanwaron ki qurbaani me aiysi koei shart nahi hai ke aakhtah na ho lehaaza jis jaanwar ke fote kuchal wa nichod diae ga'ae hon hatta khas'si jaanwar ki qurbaani is din bela shubha jaa'aez aur durust hai


mokhtasar ye ke : mustahab qurbaani me, mareez ya laaghar ya maayub ya badhiya jaanwar ki qurbaani karne me koei haraj nahi hai


ye baat bhi shaayaane zikr hai ke agar makke me bhi koei mustahab qurbaani karna chaahta hai to aakhtah ya laaghar ya mareez ya maayub jaanwar ki qurbaani kar sakta hai


mazeed tafseel ke liae site ke "Menu" me "QURBAANI" ka shoba molaaheza farmaa'aen


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


9 / ذىالحجه / 1442 ھ.ق

روز عرفہ اور شہادت حضرت مسلم بن عقیل اور ہانی بن عروہ (سلام الله علیهم)

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen