sawaal az : khaahare geraami naushin zahra sb
Kya kaali ( black ) chappal pahena jaa sakta hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
Kaali chappal, juti aur jute pahenna jaa'aez hain
makruh bhi nahi hain
Note :
rewaayaat ke motaabiq pahle zard phir safed rang ke jute pahenna behtar hai, jute pahenne ke aadaab bhi bataa'ae ga'ae hain lekin yahaan sirf 2 aysi ahaadees ka zikr monaasib hai jis ka ta'alluq jute ki banaawat se hai
Maasumeen ( عليهم السلام ) insaano ke bade hamdard aur khair'khaah hain oun'hon ne ayse jute ka intekhaab karne ke liae farmaaya hai jo hamaare liae mozir aur noqsaan rasaan na hon.
jin afraad ki kamar aur taangon me dard rahta hai wo khaas taur par molaaheza farmaa'aen :
- Imaam Baaqir ( عليه السلام ) ne irshaad farmaaya :
- Raawi rewaayat karta hai :
اِنِّى لَاَمقَتُ الرَّجُلَ لَا اَرَاهُ مُعَقَّبَ النَّعلَينِ
Tarjama wa mafhum :
"be'shak me ous aadmi ko naa pasand karta hun jis ke jute me aedi ( heel ) na ho ( yaani helaal jaysa aur khamidah na ho balke niche se aek jayse level par aur hamwaar wa yaksaan ho )
كُنتُ عِندَ اَبِى عَبدِ الله عليه السلام وَ عَلَىَّ نَعل مَمسُوحَة فَقَالَ : هَذَا حِذَاءُ اليَهُودِ فَانصَرَفَ مِنهَال فَاَخَذَ سِكِّيناََ فَخَصَّرَهَا بِهَا
Tarjamah wa mafhum :
"me Imaam Saadiq ( عليه السلام ) ki khidmat me tha aur aysa juta pahne hu'aa tha jo niche se aek jayse level par aur hamwaar wa yaksaan tha ( yaani niche ka tamaam hissah zameen se lagta tha, helaal jaysa aur khamidah nahi tha ) to Imaam ( عليه السلام ) ne farmaaya : ye yahudiyon ka juta hai pas minhaal waapas huae aur chaaqu liya aur ous se jute ko helaal jaysa aur khamidah bana diya ( yaani kaat kar aysa bana diya ke jute ki sirf aedi aur nok zameen par lage )
khoda wande hakeem ne dono paa'on ( پاؤں ) ke talwe ke bich me is liae aek hissah khaali rakha hai ke sirf dono kenaaron ( aedi aur panja ) par bojh padne se baa aasaani pair outh saken agar aysa na hota to kamar aur taangon ke liae taklif ka baa'aes banta aur bahot jaldi thaka deta lehaaza jute bhi paaon ke talwe ki tarah hon
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
10 / رجب / 1440 ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment