Sawaal az : ....
Salaamun alequm
Janab mera sawaal tha ki jo log apne birthday celebrat karte hain apne janam din ki khushiyan manaate hain log gift dete hai kiya islam me in baaton ki ejazat hai q ki ye sab to western culture hain
aur unke Janam din ki Mubarak baad dena bhi sahi hai ki nahi
Wsalaam
jawaab
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
is me koei shak nahi ke aaj musalmaano ne digar aqwaam ki dekha dekhi bahot si chizen apni zindagi me laazim wa zaruri qaraar de li hain
minjumla oun ke, yaume'paydaa'eish yaani Birthday ki rasm hai is ka bahot aehtemaam kiya jaata hai badi dhum'dhaam se mom'battiyaan jala kar makhsus qism ka cake kaata jata hai salawaat ke ba'jaa'ae taaliyon ki gunj me Happy birthday ke naare lagte rahte hain
is qism ke rewaaj aur aap ne jin rosum ki taraf aeshaara kiya, ous ka islaam me koei sobut nahi hai yaani ous ke manaane ka shr'aan (شرعا) koei sobut nahi milta hai lekin haraam bhi nahi hai
ye daure haazir ki man'ghadat (من گھڑت) aur angrezon wa eisaaeiyon ki eijaad karda rasmen hain
is me agar khelaafe shar jaiyse fozul'khrchi (israaf) naach, gaana aur naa'mahram mard wa aurat ka mel milaap waghaiyrah na ho to jaa'aez hai koei haraj nahi hai
behtar hai maghrebi mamaalik ke culture ki tarweej na ho balke ba'taure shukraana manaa'aen is liae ke welaadat, wojud aur zindagi aek azim nemat aur atiya-e-khodawandi hai. ye shukr ki jagah hai
qur'aan me hai "apne rab ki nemat ko bayaan karen" (zoha 11)
lehaaza roze welaadat is nemat ko yaad kar ke aur dusron ko yaad dilaa kar khoda ka shukr karen aur khilqat wa hayaat ke maqsad ko samajh ne ki koshish karen
والسلام
Syed Shamshad Ali katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
۔13 / جمادى الثانى / 1439ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment