sawaal az : khaahare geraami
Kiya ladka (boy) aur ladki (girl) aapas me muttah kar sakte hain ? gunaah se bachne ke liae ke jab tak unki shaadi na ho jaae aur wo aapas me shaadi karna chaahte hain kisi Sarprast ki ijaazt ke Bina agar wo muta kar len to Kiya sahi hai ?
marjah Syed Ali khamnai
Regards,
......
mera naam show na kiya jaae shukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
benaabar aehteyaate waajib kunwaari ladki ke liae zaruri hai ke baap ya daadaa ki aejaazat se kare agar oun ki aejaazat ke beghair aqd padha jaa'ae to benaabar aehteyaate waajib aqd baatil hai
Niche recommend kiae gae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔26 / ذيقعده / 1442ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment