Rasul-e-khoda ki meraaj ka aaghaaz kahan se huaa - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Thursday, June 3, 2021

Rasul-e-khoda ki meraaj ka aaghaaz kahan se huaa

Sawaal az : mohtaram janaab shadab sb / lucknow


Salamun Alaikum


Bhai Mera ek sawaal hai Rasulullah (saww) ko Meraj Kahan se huei thi

Khana-e-kaaba (Saudi) Ya Masjide Aqsa (baitul moqaddas)


Shadab

Jawab group pe bhi de sakte hain


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ki meraaj ka aaghaaz kis jagah aur makaan se huaa ? is ke mota'alliq mowarrekheen, ahle seyar ki aara mokhtalif hain, kotobe tafaaseer wa ahaadees me bhi aekhtelaaf maujud hai, aqwaal molaaheza farmaa'aen :


  1. Oumme Haani binte Abi Taalib [hazrat Ali (عليه السلام) ki bahen] ke ghar se

  2. Oummul momeneen hazrat Khadija (سلام الله عليها) ke ghar se

  3. Shebe Abi Taalib se

  4. khud Masjedul Haraam se

  5. (manaaqebe aale Abi Taalib jild 1 p 177)


    mash'hur aur aksar mofassereen ke qaul ke motaabiq Rasule khoda meraaj ki raat hazrat Oumme Haani binte Abi Taalib [hazrat Ali ki apni bahen aur Rasule khoda (صلوات الله عليهم) ki cha'cheri bahen] ke ghar me soae huae the wahin se meraaj huei


    (tafsire maj'maoul bayaan jild 6 p 512)


    aap ka ghar Masjedul Haraam ke paas hi me tha


    shaayad koei kahe surah isra / bani israaeil ki aayat 1 :


    "paak hai wo Allaah jo aek raat apne bande ko Masjide Haraam se Masjide Aqsa tak le gaya ..."

    se saaf zaahir hai ke Masjide Haraam se aap Baitul Maqdas pahunche phir Baitul Maqdas se aasmaan par tashrif le ga'ae yaani meraaj ka aaghaaz Masjedul Haraam se huaa aur ruae zameen par is safar ki inteha Quds me Masjide Aqsa thi lekin mash'hur qaul ke motaabiq hazrat Oumme Haani ke ghar se meraaj ki ibteda huei, ye zaahere aayat ke bar'khelaaf hai


    is ki taaweel wa taujih me kaha gaya hai ke saare shahre Makkah ko aehteraam ke taur par Masjedul Haraam kaha jaata hai lehaaza yahaan Masjedul Haraam se moraad Makkah hai is lehaaz se tamaam shahr, Masjid aur khoda ke haram ke hukm me hai


    (tafsire maj'maoul bayaan jild 6 p 512)


    janaabe Oumme Haani ka ghar Haram me daakhil tha lehaaza aayat ke bar'khelaaf nahi hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


22 / شوال / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube


Recommended


keya masjide aqsa aasmaan par hai ? | mokhaalefine shia ke propaganda se hoshiyaar

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen