Sawaal az : mohtaram janaab Azeem Abbas sb ( Bahraich / up )
Salamun alaikum
Quraan majeed me qaza namaz ka hukm kis ayat me hai rahnumai farmaye
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Qaza namaaz se aap ki kaun si namaaz moraad hai ? ouse waazeh farma dete to betar tha
bahar kaif rozaana ( 5 waqt ki ) namaazon ko madde nazar rakhte huae jawaab molaaheza farma len :
kisi sabab jayse so jaane aur bhul jaane ...se chhuti huei ( faut shudah ) namaazon ki qaza padhne ka hukm qur'aan hakim ki kisi sarih aayat se saabit nahi hai
albatta foqahaa'ae keraam aur zeyaadah tar mofassereen ne faut shudah namaazon ki qaza padhne ko baaz aayaat ki ru se waajib qaraar diya hai
darj zail 2 aayaton ka zikr kiya jaa raha hai :
۔... اَقِمِ الصَّلَوةَ لِذِكرِى
۔... وَاذكُر رَّبَّكَ اِذَا نَسِيتَ ...۔
"...meri yaad ke liae namaaz qaa'aem rakh"
zeyaadah tar mofassereen kahte hain :
ye aayat is baat par dalaatat karti hai ke jab bhi tujhe yaad aa jaa'ae ke tumhaare zimme namaaz hai to ous ko bajaa laana tum par waajib hai chaahe wo namaaz waqt me ho ya waqt ke guzar jaane ke baad, agar waqt ke andar hai to ous ki ada bajaa laao aur agar waqt ke baahar thi to ous ki qaza bajaa laao yaani agar kisi waqt ghaflat ya nind waghairah ki bena par chhut gaei hon to jis waqt yaad aa'ae ous ki qaza padhna waajib hai
( is aayat se wojube qaza par istidlaal kiya gaya hai aur qaza bhi ada namaaz ki tarah waajib hai )
( tafsire "majmaoul bayaan" jild 7 p 11 zail aayat 14 surah taaha )
"...apne parwar'deghaar ka zikr kiya karen jab aap bhul jaa'aen...
kaha gaya hai ke is se moraad namaaz hai is ka matlab ye huaa ke "agar namaaz bhul ga'ae to jab bhi tujhe yaad aa'ae namaaz padh"
( tafsire "majmaoul bayaan jild 6 p 596 zail aayat 24 surah kahf )
is aayat se bhi faut shudah namaazon ki qaza padhne par istidlaal kiya gaya hai
waazeh rahe ke bahot saare ahkaam qur'aan karim ki kisi sarih aayat se saabit nahi hain masalan namaaz ki rak'aten, tawaaf ka adad ...
agar ham har chiz ki dalil qur'aan majid se maangne lagen to aadhe se zeyaadah deen ko chhodna pade ga jin chizon ka zikr qur'aan me nahi hai ya hai lekin saraahat ke saath nahi hai to oun ko samajhne ke liae rasule khoda aur aap ke ahlebait ( صلوات الله عليهم ) ke aastaane par aana hoga
agar namaazen qaza ho jaa'aen to oun ki qaza padhne ka hukm maasumeen ( سلام الله عليهم ) se marwi mota'addid aur sarih ahaadis se saabit hai
hadis ke liae kotobe arba'ah ki sirf 2 ketaabon ka hawaalah darj zail hai :
- foruae kaafi jild 3 p 435 hadis 7 ketaabus salaat
- tahzibul ahkaam jild 3 p 162 hadis 350 baab 10
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔28 / شوال / 1442ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment