daadhi mundne | gaali dene | namaaz padhne waalaa mokabbir ban sakta hai ? | mokabbir ka matlab | zarurat - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Sunday, June 20, 2021

daadhi mundne | gaali dene | namaaz padhne waalaa mokabbir ban sakta hai ? | mokabbir ka matlab | zarurat

Sawaal az : mohtaram janaab Azeem Abbas sb ( Bahraich / up )


Salamun alaikum

Daadhi mudaane wala aur khullam khulla gaali bakne wala shakhs kya pesh imam ke pichhe mukabbari ke fraiz anjam de sakta hai ?


Azeem Abbas

Bahraich up India


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


sawaal ke 2 hisse hain :


  1. keya daadhi ( داڑھی ) mundne waala aur sab ke saamne gaali bakne waala shakhs mokabbir ban sakta hai ?

  2. Jawaab :


    ji ban sakta hai shar'ei aetebaar se koei haraj nahi hai


  3. keya muqtadi ( imaam jamaa'at ke pichhe khada hone waala ) mokabbir ban sakta hai ?

  4. Jawaab :


    aek muqtadi imaam jamaa'at ke saath namaaz padhne ki haalat me imaam jamaa'at ki aawaaz dusre muqtadiyon ko pahunchaane ke liae mokabbir bhi ban sakta hai is tarah ke apne zikr ko namaaz aur zikr ki niyat se hi kahe lekin aawaaz baland kar ke, albatta aetedaal ki re'aayat karte huae



Note :


  1. loghat me mokabbir lafz ke maani :

  2. takbir kahne / karne waala


  3. istelaah me :

  4. maqsud wa moraad aysa shakhs hai jo namaaze jamaa'at me baland aawaaz se takbir kahe taake muqtadi imaam jamaa'at ki takbir, roku, sajde, qeyaam, qo'oud aur qonut waghairah se mut'tale wa aagaah ho


  5. shion ki namaaz-e-jamaa'at me imaam-e-jamaa'at zikr ko aawaaz se kahte hain muqtadiyon ko aawaaz pahunch jaati hai makhsusan agar mike laga ho ya majma kam ho to imaam jamaa'at ke roku waghairah se muqtadi aagaah ho jaate hain lehaaza aysi surat me bilkul mokabbir ki zarurat nahi hai

  6. sunni imaam-e-jamaa'at sirf hamd-o-surah / baaz aayaat ko namaaze subh, maghrib aur aesha me baland aawaaz se padhte hain aur saare zikr ko aahista se padhte hain lehaaza oun ko mokabbir ki zeyaadah zarurat hai



والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔10 / ذيقعده / 1442 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen