Keya masjide aqsa aasmaan par hai ? | Aqsa ke maani | mokhaalefine shia ke propaganda se hoshiyaar - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Thursday, June 17, 2021

Keya masjide aqsa aasmaan par hai ? | Aqsa ke maani | mokhaalefine shia ke propaganda se hoshiyaar

Sawaal az : mohtaram janaab Syed Mohammad Raihaan sb / Vadodara


Salamun Alaikum. Sawaal : shia me kuchh log Surah Isra / Bani Israeel (17) ki aayat 1 me Masjid al-Aqsa ka tarjuma "dur waali masjid" karte hain aur kahte hain ki Masjid al-Aqsa iss duniya me nahi hai, aasmaan (sky) par hai aur riwayat-e-Masumeen(as) ka hawala bhi dete hain ki Masjid-e-Aqsa chauthe (4th) aasmaan par hai. To kya Baitul Muqaddas Masjid-e-Aqsa nahi hai aur kya Masjid-e-Aqsa aasmaan (sky) par hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


aap ki eit'tela ke liae arz hai ke shia wa sunni motarjim (tarjamah karne waalon) ki ghaalib aksariyat ne apne tarjamah me "Masjide Aqsa" (yaani Baitul Maqdis) hi likha hai


Aqsa ke maani :


Aqsa isme tafzil hai, is ka matlab hai "intehaaei dur" Masjide Aqsa Masjedul Haraam se bahot dur hai is liae ous ko "Masjide Aqsa" kahte hain


Makka'ae Mokarramah se Masjide Aqsa (Baitul Maqdis) tak ki masaafat ach'chhi khaasi hai is aetebaar se Masjedul Haraam ke moqaabale me "Baitul Maqdis" ko "Masjide Aqsa (intehaaei dur ki masjid)" kaha gaya hai


zamino aasmaan ke darmeyaan faasele wa duri ke aetebaar se "Masjide Aqsa" nahi kaha gaya hai


Keya masjide aqsa aasmaan par hai ?


ji baaz rewaayaat me aeshaara huaa hai ke "Masjedul Aqsa" aasmaan par hai, masalan raawi ke aek sawaal ke jawaab me Imaam Saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :


"Masjedul Aqsa" aasmaan par hai


pahle ye ke is tarah ki rewaayaat zaeif hain


dusre ye ke agar ham oun rewaayaat ko sahih maan len to bhi ous ki taaweel wa taujih is tarah ki jaa'ae gi ke jis tarah "Baitul Maamur" thik khaana'ae kaaba ke oupar aasmaan par hai ousi tarah zameen par maujud "Masjide Aqsa" ke thik oupar aasmaan par bhi Baitul Maamur ki tarah "Masjedul Aqsa" hai


teesre ye ke shia ketaabon me sanad, dalaalat aur maani wa mafhum ke aetebaar se dusri aysi mota'addid rewaayaat maujud hain jin se saabit hota hai ke "Masjedul Aqsa", "Baitul Maqdis" me waaqe hai aur "Masjide Aqsa" wahi "Baitul Maqdis" hai, aur "Baitul Maqdis" zameen par hai lehaaza "Masjide Aqsa" zameen par hai aasmaan par nahi hai


is hawaale se sirf chand shia hawaalon par eiktefa karta hun :


  1. tafseere "maj'maoul bayaan" jild 6 p 512 zail Aayat 1 surah eisra

  2. tafseere "al mizaan" jild 13 p 6 wa 21 zail Aayat 1 surah eisra

  3. foruae kaafi "rauzatul kaafi" jild 8 p 218 baab 376

  4. "aehtejaaje tabarsi / tabresi, jild 2 p 167 baab aehtejaaje Imaam Baaqir ( عليه السلام ) osul wa foruae deen ke mota'alliq

Chauthe ye ke mota'addid ahaadees me aaya hai ke "Masjedul Aqsa" (Baitul Maqdis) me namaaz padhne ka ajro sawaab aam masjidon se kaei guna zeyaadah hota hai, baaz rewaayaton me hazaar namaaz ke baraabar likha hai


Imaam Baaqir (عليه السلام) ne Abu Hamzah Somaali se farmaaya :


اَلمَسَاجِدُ الاَربَعَةُ : اَلمَسجِدُ الحَرَامُ وَ مَسجِدُ الرَّسُولِ ( صلى الله عليه و آله ) وَ مَسجِدُ بَيتِ المَقدِسِ وَ مَسجِدُ الكُوفَةِ ، يَا اَبَا حَمزَةَ اَلفَرِيضَةُ فِيهَا تَعدِلُ حَجَّةً وَالنَّافِلَةَ تَعدِلُ عُمرَةً


"Masjiden 4 hain : Masjide Haraam, Masjide Rasul (صلى الله عليه وآله), Masjide Baitul Maqdis aur Masjide Kufah, ay Abu Hamzah in masaajid me waajib namaaz (padhne ka sawaab) haj ke baraabar hai aur mustahab namaaz (padhne ka ajro-m sawaab) oumrah ke baraabar hai


(man laa yahzarohul faqih jild 1 p 148 baab 37 h 5)


paanchwen ye ke tamaam shia foqaha ne likha hai ke bartar wa afzal masaajid me se aek masjid "Masjedul Aqsa" hai aur ous me namaaz padhne ka bahot zeyaadah sawaab hai, sirf 2 mash'huro maaruf foqaha ki ye tahrir molaaheza farmaa'aen :


Baani'ae inqelaab imaam Khomayni (رضوان الله تعالى عليه) aur Aayatullaah Sistaani (دام ظله الشريف) :


"...bartar wa afzal masaajid, Masjedul Haraam phir Masjide Nabi (صلى الله عليه و آله) phir Masjide Kufah aur in ke baad "Masjide Aqsa" hai..."


(yaani in me namaaz padhna mustahab hai aur zeyaadah sawaab hai)


(tahrirul wasilah jild 1 p 149 ketaabus salaat, moqaddemah 4 makaane namaaz guzaar mas'alah 16 imaam Khomayni / minhaajus saaleheen jild 1 p 174 ketaabus salaat, maqsad 4 makaane namaaz guzaar mas'alah 561 aayatullaah Sistaani )


waazeh ho ke hadis me molaaheza farmaaya ke "Masjide Baitul Maqdis" (yaani Masjide Aqsa) me waajib namaaz padhne ka sawaab haj ke baraabar aur mustahab namaaz padhne ka ajr oumrah ke baraabar hai...


Aur foqaha ne bhi apne fatwon me farmaaya :


Masjide Aqsa me namaaz padhna mustahab hai aur zeyaadah sawaab hai


Ham aap se puchhte hain keya Khoda aur Maasumeen (سلام الله عليهم) ne kisi aiysi chiz ka hukm diya hai jo insaan ke aekhteyaar se baahar hai ?


bela shub'ha aql aur shari'at donon is baat par gawaah hain ke jo chiz insaan ke aekhteyaar se baahar hai ous ka hukm nahi diya gaya hai


be'shak aasmaan par jaana aam insaan ke daa'aera-e-aekhteyaar se baahar hai


Masjide Aqsa me namaaz padhna mustahab hai, hazaar namaaz aur haj-o-oumrah ke baraabar hai, is ka matlab ye hai ke Masjide Aqsa zameen par hai aasmaan par nahi hai aur ye masjid wahi maujudah masjid hai jo Baitul Maqdis me hai, wahaan jaana aur namaaz padhna insaan ke aekhteyaar me hai agar insaan ke aekhteyaar se baahar hota to ajr-o-sawaab ... ki baaten be maani hoti'n


eit'tehaad aur shion ke dushman aasmaan par hone ka propaganda kar rahe hain


eit'tela'aat ke motaabiq sahyuni aur oun ki naa jaa'aez aulaad wahaabi, takfiri aur baaz sunni kath mulla social networks waghairah par ghalat propaganda kar rahe hain ke "Masjide Aqsa" jis ka zikr surah eisra aayat 1 me hai jahaan se Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) meraaj par ga'ae wo masjid "Rawaafiz" (shion) ke nazdik moqaddas nahi hai aur ous ka ruae zameen par wojud hi nahi hai is liae ke shion ka aqidah hai ke "Masjide Aqsa" aasmaan par hai


haqir ne jin dalilon se saabit kiya ke "Masjedul Aqsa" zameen par hi hai wo dalilen aql aur aankhon ke andhon ko nazar nahi aati hain


shion ki mokhaalefat me in aql ke andhon ko hamesha oulta nazar aata hai "majnun nazar aati hai layla nazar aata hai"


is tarah ki baat shion ko bad'naam karne, musalmaanon me aekhtelaaf ko hawa dene, sahyuniyon ke mazaalim aur Roze Quds (jis ke baani momtaaz shia aalim Imaam Khomayni hain) se tawajjoh hataane ke liae ouchhaali jaati hai


musalmaanon ne to "Baitul Maqdis" ko bech diya tha, Imaam Khomayni (رحمةالله عليه) ne ous ko zindah kiya


Aale Abu Sufyaan ne chaudah saw baras (چودہ سو برس) se shia'ae Ali (عليه السلام) se bugzo aenaad ... qatlo ghaarat gari aur islaamo muslemeen ke saath kheyaanat ... ke aelaawah aur keya kiya hai ? 11 ya 12 rozah ghazzah ki haaliyah jang me bhi aale Abu Sufyaan ki kheyaanaten azhar'menash'shams hain


lehaaza shion aur munsif sunniyon ko hoshiyaar rahne ki zarurat hai, aale Abu Sufyaan wa aale yahud ki saazishon ka shekaar na hon, haqiqat ko samajhne ki koshish karen


Niche recommend kiae gae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله


  1. Masjide Aqsa ki mokhtasar taarikh wa ta'aaruf

  2. Rasul-e-khoda ki meraaj ka aaghaaz kahan se huaa

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


6 / ذيقعده / 1442 ھ.ق

Subscribe us on youtube

2 comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen