Sawaal az : mohtaram janaab Syed Abdul Aziz sb | haidrabad ( Pakistan )
Q-1 : Allah noor hai ya noor ka khaaliq ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
mokhtasar jawaab :
ji allaah nur hai aur nur ka khaaliq bhi
Qadre tafsili jawaab :
aayaat aur rewaayaat me khoda ke baare me nur ka lafz istemaal kiya gaya hai ous par nur ka itlaaq hota hai aur khoda ke moqaddas naamon me se aek naam nur bhi hai
surah nur aayat 35 me hai :
"allaah aasmaanon aur zamin ka nur hai ... "
doaa'ae komail me hai :
۔... بِنُورِ وَجهِكَ الَّذِى اَضَاءَ لَهُ كُلُّ شَىءِِ ...۔
" ... tere chehre ( zaat ) ke nur ki qasam ke tamaam chizen ous ke zariae se raushan huei hain ..."
Qur'aani aayaat, ahaadis aur doaa'on me allaah ke baare me "khaaliqe nur" istemaal kiya gaya hai :
surah an'aam aayat 1 me hai :
" ... ( allaah ne ) taarikiyon aur nur ( roshni ) ko banaaya ... "
doaa'ae jaushan kabir fasl 47 me hai :
يَا نُورَ النُّورِ ، يَامُنَوِّرَ النُّورِ ، يَاخَالِقَ النُّور ...۔
"ay nur ki roshni, ay roshni ko monaw'war karne waale, ay nur ke khaaliq ..."
waazeh ho ke nur ki 2 qismen hain, nure hissi aur nure maanawi wa ruhaani :
nure hissi :
ous nur ko kahte hain jis ko mahsus kiya jaa'ae, aankhon se nazar aa'ae jayse aaftaab ka nur, cheraagh ka nur, lantern ka nur aur bulb waghairah ka nur
nure maanawi :
ous nur ko kahte hain jo aankhon se mahsus na kiya jaa sake jayse nure aql, nure eimaan, nure eilm-o-daanish, nure wahi, nure islaam aur nure qur'aan waghairah
khoda nur hai is ka matlab ye nahi hai ke al'aeyaaz billaah khoda nure hissi hai is liae ke hissi anwaar khoda ki makhluqaat me se hain, hissi maanne ka matlab ye huaa ke khoda makhluq hai, khoda nur se khalq huaa wa bana hai ye baatil wa kufr hai
nur ki taarif me kaha gaya hai :
ظَاهِر بِذَاتِهِ ، مُظهِر لِغَيرِهِ
"jo apni zaat se zaahir hai aur apne ghair ko zaahir karne waala hai"
( yaani nur wo chiz hai jo khud ba khud hamaare liae raushan hai aur har dusri chiz ( jo qaabile did ho ) ko raushan karta hai )
khoda nur hai is se moraad wa maqsood ye hai ke khoda khud ba khud raushan hai aur khud ba khud hai ( qaa'aem biz'zaat hai ) ous ki zaat makhfi wa majhul nahi hai apne zaahir hone me kisi ka mohtaaj nahi hai
nure khoda ne maujudaat ke haqaa'aeq aur kaa'aenaat ko apni qudrat wa taaqat se eijaad aur raushan wa monaw'war kiya, tamaam maujudaat ous ki wajah se maujud hain lekin ous ko kisi ne nahi banaaya
wo har chiz ko raushan karta hai agar khoda na hota to na aasmaan me nur hota aur na zamin me
khoda hi aasmaan wa zamin ko raushan karne waala hai ous ke nur se nur milta hai, in asbaab ki bunyaad par khoda ko nur kahte hain
aur ous ki ketaab bhi nur hai, ous ke rasul aur ahl-e-bait-e-rasul ( صلوات الله عليهم ) bhi ous ka nur hain yaani in ke zariae se zindagi ki taarikiyon me rahnomaaei wa hedaayat nasib hoti hai aur roshni haasil hoti hai is nur ka bhi khaaliq khoda hai
mokhtasar ye ke khoda nur hai aur har zaaheri wa maanawi nur wa roshni ka khaaliq hai lekin ous ka khaaliq koei nahi wo nur se nahi bana hai aur na hi ous ka nur hissi hai
nur ke mota'alliq behtarin, jaame tarin aur mowassir tarin taabir doaa'ae jaushan kabir fasl 47 ke jumle wa kalemaat hain ( يا نور النور ...)
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔26 / شوال / 1442 ھ.ق
Subscribe us youtube
No comments:
Comment