Imaam khomaini ne apne farzand se khaab me keya kaha ? | bandon ke 3 geroh - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Friday, June 4, 2021

Imaam khomaini ne apne farzand se khaab me keya kaha ? | bandon ke 3 geroh

اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں


بسم الله الرحمن الرحيم


Imaam Khomaini ne apne farzand se khaab me keya kaha ? | bandon ke 3 geroh


Imaam Khomaini ke inteqaal ke baad aek arsa guzar jaane ke baad bhi aap ke farzand Hujjatul Islaam Wal'muslemin Janaab Syed Ahmad Khomaini (rizwaanullah ta'aala alaihim) ne apne pedar ko khaab me nahi dekha, bil'aakhir aek raat khaab me dekha to aap se puchha ay baaba aakherat ki dunya me keya khabar wa haalat hai ?


Imaam Khomaini ne farmaaya :


ay Ahmad yahaan bahot sakht wa dushwaar hai aur har chiz haqiqat hai, insaan ki tamaam raftaar wa harkaat yahaan tak ke haath hilaana bhi sabt wa zabt wa mahfuz rakhe jaate hain agar apne haath ko yahaan (dunya) me hilaa'ao ge yahi wahaan (aakherat) me dekho ge ... aur is ta'alluq se hesaab wa ketaab hota hai


mai khoda ke lutfo karam aur ous ki aenaayat se guzar gaya lekin tum hoshiyaar wa motawajjeh raho, koshish karo ke achhe raho aur taqwaa'ae aelaahi aekhteyaar karo


Ay beta aakherat ki daa'aemi zindagi ke nisbat dunya ki pachaas ya sau (100) saala zindagi ki koei qimat nahi
(dunya faani aur aakherat baaqi hai) lehaaza oukhrawi zindagi ko noqsaan na pahunchaao, aiysa kaam karo jis ki wajah se mahalle ouqba me sar baland raho


ba'qaul Janaab Ahmad Khomaini marhum ki biwi ke mere shauhar par is shaf'faaf khaab ka asar bahot huaa tha


Eibrat wa sabaq :


Imaam Khomaini qaa'aede inqelaab, baani'ae jamhuriya'ae islaami aur azim shakhsiyat hain is ke baa'wojud haath hilaane ke ta'alluq se bhi hesaab wa ketaab huaa


is se eibrat wa sabaq ye haasil hota hai ke hamaare har kaam ka hesaab wa ketaab ho ga hatta kisi par beja chikh pukaar ki hai to ous ke baare me bhi puchha jaa'ae ga, ye baaten aayaat wa rewaayaat se saabit hain


lehaaza hamaare tamaam kaam khoda ke liae hon, qalam, qadam wa zabaan ... Khoda ke liae chale, kisi ki mokhaalefat ya hemaayat khoda ke liae ho ya kisi se eizhaare nafrat wa aqidat khoda ke liae ho, is me bhi aetedaal wa meyaana'rawi ka paaso lehaaz zaruri hai


Insaano wa bando ke tin geroh :


Surah faatir 32 me bando ko tin geroh me munqasim kiya gaya hai


  1. ... فمنهم ظالم لنفسه ...


  2. oun me se kuchh apne nafs par zulm karne waale hain yaani gunaah'gaar hain


    ye geroh nafs parast hai khoda wa kaaba ke bajaa'ae oun ka qibla in ka nafs hai, khaana'ae khoda wa kaaba ka tawaaf karne ke bajaa'ae apne nafs ka tawaaf karte hain aur chakkar lagaate hain


    hatta agar namaaz padhte hain ya majlis karte hain ya kisi ki mokhaalefat wa hemaayat karte hain ... to sab apne nafs ke liae karte hain


    ye geroh khud par zulm karte hain aur khud ko noqsaan pahunchaate hain


  3. ... منهم مقتصد ...


  4. oun me se kuchh meyaana'ru hain


    ye geroh nafs parast nahi hai balke qalb parast hai
    pahla geroh nafs ka chakkar lagaata hai lekin ye qalb ka


    har ach'chha kaam apne qalb ke liae karta hai aur apne qalb ki islaah karta hai ach'chhe kaamo ko apne liae dawa samajhta hai


    Misaal :


    Dastar'khaan par mokhtalif aqsaam ke khaane chune ga'ae, aiyse dastar'khaan par aek bhuka shakhs baitha hai, jo gheza wa khuraak ous ko bahot zeyaadah pasand hai noqsaan ke peshe nazar ous ko na khaa'ae balke jo zeyaadah pasand nahi hai ous ko khaa'ae


    haqiqat me ye apni khaahish wa hawaa'ae nafs ki mokhaalefat kar ke apne qalb wa nafs ka moqaabala kar raha hai


    ye geroh tisre geroh me daakhil hone ke qaabil hai


  5. ... منهم سابق بالخيرات باذن الله ...


  6. Kuchh Allaah ke eizn se nekiyon me sabqat le jaane waale hain


    ye geroh waaqe'ei khoda parast hai
    pahla geroh nafs ka chakkar lagaata hai dusra qalb ka
    lekin ye geroh khoda ke eird gird ghumta hai, har kaam khoda ke liae karta hai


    is geroh ka maqsad faqat rezaa'ae khoda hai saara ham'mo gham khoda ki khushnudi hai
    pahla geroh bure kaam se khud ko noqsaan pahonchaata hai, dusra ach'chhe kaam se qalb ki eislaah karta hai, teesra har kaam mahaz khoda ke liae karta hai


    pahle geroh ka maqaamo darja adna hai, dusre ka darmeyaani wa ausat darja hai lekin teesre ka maqaamo martaba aala hai


ham apne nafs ka mohaasaba karen aur jaa'aeza len ke hamaara ta'alluq bando wa insaano ke kis geroh se hai ?


agar kisi ki mokhaalefat ya hemaayat karte hain ya kisi se eizhaare nafrat wa aqidat karte hain ya kisi ki mad'ho sana karte hain to keya apne nafs ke liae karte hain ya rezaa'ae khoda ke liae ?


agar rezaa'ae khoda ke liae karte hain to is me eifraato tafrit, kami besh to nahi ? is me kisi ki tahqir wa tauhin poshida to nahi ...?


yaad rakhen khoda'ei khidmat'gaaron ki kabhi bhi shikast wa haar nahi hoti ye waada'ae aelaahi hai


khauf zada wo hota hai aur shekast wo taslim karta hai jis ka kaam khodaa'ei nahi hota


... فان حزب الله هم الغالبون


Allaah ki jamaa'at hi ghaalib aane waali hai


(maa'aedah 56)


اللهم عجل لوليك الفرج


والسلام

Ahqarul aebaad Syed Shamshaad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat / Qumul Moqaddas / Iran


17 /shaw'waal / 1440 H.Q


Translitrated by Saiyed Mohammad Tabish from urdu to roman urdu

Subscribe us on youtube

2 comments:

  1. Allah ho akbar umda wazahat qabil e tareef post umda nasihat umda paigam awam ke naam jazak Allah khair mola salamat rakhe sada khush raho elahi aameen

    ReplyDelete

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen