اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
Imaam Reza (عليه السلام) ki hadis ke motaabiq rang lagaana paak daamani aur eif'fat ka sabab hai
shauhar biwi ki tawajjoh chaahta hai ous ka dil karta hai ke biwi apne shauhar ke liae make-up kare, ach'chhe lebaas pahne, khushbu lagaa'ae, ban sanwar kar rahe aur bani thani rahe ...
bela shubha aiysa karna biwi ke liae bahot zaruri hai, aam taur par aur aksar aiysa kaha bhi jaata hai, lekin biwi ke liae shauhar aiysa kare is par tawajjoh nahi di gaei agar di gaei to bahot kam, lehaaza aaj is baare me arz ye hai ke :
biwi agar apne shauhar ke liae khud ko saaf suthra rakhe to shauhar par bhi laazim hai ke wo bhi khud ko apni biwi ke liae saaf suthra rakhe
biwi ke paas bhi dil hai ous ka bhi dil karta hai ke shauhar apni biwi ke liae ach'chhe lebaas pahne, khushbu lagaa'ae, ban sanwar kar rahe aur bana thana rahe ...
ous ki ye khaahish baja aur jaa'aez hai jab shauhar aiysa kare ga to biwi ous se khush rahe gi aur kisi dusre mard ki taraf maa'ael wa raaghib nahi ho gi, paak daaman aur baa eif'fat rahe gi
Is ke mota'alliq Imaam Reza (عليه السلام) se marwi sirf 2 hadis molaaheza farmaa'aen :
- aek roz "Hasan Bin Jahm" Imaam Reza (عليه السلام) ki khidmat me sharaf'yaab huae to Imaam (عليه السلام) ko aaraasta pairaasta aur khezaab lagaa'ae huae dekha to ta'ajjub se puchha "khezaab lagaaya hai ?" (aaraa'eish ki hai ) to aap ne farmaaya :
- is baare me Imaam Reza (عليه السلام) se marwi ye hadise mobaarakah bhi hai :
نَعَم بِالحِنَّاءِ وَالكَتَمِ ، اَمَا عَلِمتَ اَنَّ فِى ذَالِكَ لَاَجراََ اِنَّهَا تُحِبُّ اَن تَرَى مِنكَ مِثلَ الَّذِى تُحِبُّ اَن تَرَى مِنهَا ( يَعنِى المَراَةَ فِى التَّهيِئَةِ ) وَلَقَد خَرَجنَ نِسَاء مِنَ العَفَافِ اِلَى الفُجُورِ ، مَا اَخرَجَهُنَّ اِلَّا قِلَّةُ تَهيِئَةِ اَزوَاجِهِنَّ
Tarjama wa mafhum :
haan, mehandi aur nil ke pat'te (jis se khazaab banaate hain) se khazaab lagaaya hai (yaani rang wa aaraa'eish ki hai), keya nahi jaante ho ke be'shak is kaam me bahot zeyaadah ajr (faa'aede) hain yaqinan jis tarah tum pasand karte aur chaahte ho ke apni biwi ko saji sajaa'ei aur bani sanwari dekho ousi trah wo bhi pasand karti hai aur chaahti hai ke tumhe bhi waiysi hi zinat wa aaraa'eish kiae huae dekhe yaani tumhe saja sajaaya aur bana sanwara dekhe, be'shak auraten eif'fat aur paak daamani se nikal kar bad'kaari wa fasaad ki taraf chali gaein, ounhen eif'fat aur paak daamani se nahi nikaala magar oun ke shauharon ki apni zinat, aaraa'eish aur nazaafat par kam ta'wajjohi ne
(bahaarul anwaar jild 73 safa 100 baab 8)
۔... اَنَّ نِسَاءَ بَنِى اِسرَائِيلَ خَرَجنَ مِنَ العَفَافِ اِلَى الفُجُورِ ، مَا اَخرَجَهُنَّ اِلَّا قِلَّةُ تَهيِئَةِ اَزوَاجِهِنَّ وَقَالَ : اِنَّهَا تَشتَهِى مِنكَ مِثلَ الَّذِى تَشتَهِى مِنهَا
Tarjama wa mafhum :
... be'shak bani eisraa'eil (yahudiyon) ki auraten eif'fat aur paak daamani se nikal kar zena wa fasaad ki taraf chali gaein, ounhen eif'fat aur paak daamani se nahi nikaala magar oun ke shauharon ke apne banaaw singhaar aur safaa'ei suthraa'ei par kam ta'wajjohi ne, be'shak tumhaari biwi ka tum se wahi ji chaahta hai jo tum ous se chaahte ho.
(makaaremul akhlaaq jild 1 safa 81 baab 5 fasl 3)
afsos ye hai ke baaz mard wa shauhar insaaf se kaam nahi lete khud saaf nahi rahte, ach'chhe lebaas nahi pahante, baalon ki dekh bhaal nahi karte, kanghi nahi karte, daanton ko brush nahi karte jis ke sabab munh se badbu aati hai, hafton nahi nahaate ... aur tawaqqo ye rakhte hain biwi apne shauhar ke liae har waqt ban sanwar kar rahe ... ye naa insaafi hai
aiyse log haqiqat me zaalim hain aur mustahaqe sar'zanish
aaj ke mo'aashare me ye naa insaafi apni intehaa ko ous waqt pahonch jaati hai jab miyaan biwi ghar me aek dusre ke liae zinat wa aaraa'eish nahi karte ... lekin baahar jaane lagte hain to khub banaaw singhaar aur makeup karte hain, munh me elaa'aechi rakhte hain ya chewing gum chabaate rahte hain taa ke munh se badbu na aa'ae agar shaadi ki taqrib me jaana ho to (panaah ba'khoda) baaz mard dulhan se zeyaadah make-up aur fashion karte hain ...
ye aiyse asbaab hain jis ki wajah se dono ke ta'alluqaat kharaab ho jaate hain aur mard kisi dusri aurat ki taraf maa'ael ho jaata hai aur biwi kisi dusre mard ki taraf, jis ka natija be'hayaaei aur be-eif'fati wa badkaari aur fitna wa fasaad hota hai agar aiysa na ho to bahot se shaadi shuda jode to andar hi andar sulagte aur kudhte rahte hain ye nafseyaati aetebaar se bhi intehaaei khatarnaak hai lehaaza miyan biwi apne aap par rahm karen, khush rahen aur khush rakhen
in masaa'ael ka waahid hal Maasumin (صلوات الله عليهم) ki sirat par amal karna aur Imaam Reza (عليه السلام) ki mazkura baala hadise mobaarakah ke motaabiq amal karna hai
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Qumul moqaddas / Iran
11 / ziqaada / 1442 H.Q
Roze welaadat baa sa'aadat Imaam Reza (عليه السلام)
translitrated by Saiyed Mohammad Tabish from urdu to roman urdu
No comments:
Comment