Sawaal az : Mohtarama janaab Fatima Rizvi sb ( delhi )
Mera Mera sawal hain
Jo paise ham salamati imam e Zamana a.s ya khums ke paise ham nikal te hain wo kaya ham kessi deeni kaam me use kar sakte hain...
((Jais nazr o niyaz me ya imambade ke kaam mein ))
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
logon se jama kiya gaya sadqah mazkurah baala kaamon me kharch nahi kar sakte hain
agar aap ne sadqah khud nikaala hai to aehteyaat ke taur par kharch karne ki jagah zarurat'mand hain
khums ke 2 hisse hain :
sahme mobaarake imaam ( عليه السلام ) aur sahme saadaat
sahme saadaat sirf mustahaq saadaat ka haq hai
sahme imaam ( عليه السلام ) apne marja ya oun ke motabar wakil ya numaaeindah ki aejaazat se kharch kar sakte hain
mazid maalumaat ke liae "Menu" me jaa kar "Ahkaam" me "Sadaqaat" ka shoba dekh len
Niche di gaei video bhi molaaheza farmaa len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔17 / ذيقعده / 1442 ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment