Be'rozgaari ki haalat me shaadi karna kaysa hai ? | surah nur aayat 32 | 33 ka mokhaatab kaun hai ? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Saturday, June 12, 2021

Be'rozgaari ki haalat me shaadi karna kaysa hai ? | surah nur aayat 32 | 33 ka mokhaatab kaun hai ?

Sawaal az : ..........


Salaam Alaikum Janab


Ek Sawal - Mera ladkey ka padhai likhai me dil nahi laga or na usne koi hunar hath me liya hai or na mere pass karobar karane k liye paisa hai uski shadi ki umr ho gai hai is suraat me kiya uski shadi kardo is yaqeen k sath k shadi ka hukm Quran me hai or Allah ne rizq ki zamanat lee hai


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


jo likha hai ous ke peshe nazar shaadi karne me shar'ei aetebaar se koei haraj nahi hai lekin aiysi shaadi ke baad asaraat ke baare me sochen aur fikr karen, is ke bure nataa'aej nikalte hain is liae ke naano nafqah (baal bach'chon ke masaarif) shauhar par waajib hai


apni biwi aur ous ke baad paiyda hone waale bach'chon ke aekh'raajaat pure nahi kar sakta hai to anjaam maalum hai


ladke ke liae zaruri hai ke shaadi karne ke pahle wo kamaane ke qaabil ho jaa'ae koei nokri wa kaam talaash kare khaah kaam ki nau'eiyat (نوعیت) maamuli hi keyon na ho bahot saare kaam wa peshe aiyse hain jis me koei khaas eilmo hunar ki zarurat nahi hai aur beghair punji lagaa'ae paiyse kamaa sakte hain


buzurg aur qaabile aetemaad afraad bhi ba'qadre imkaan madad karen


yaad rakhen ladki aur ous ke ghar waale ladke ke kaam ko nazar andaaz nahi kar sakte hain.


bekaar, nekamma aur maara maara phirne waale shakhs se shaadi karne ki salaah nahi di jaati hai is liae ke yaqinan zindagi me mushkelaat paiyda hon gi.


Surah nur aayat 32 me hai :


"tum me se jo mard aurat (ladke aur ladkiyaan) be nekaah ke hon oun ka nekaah kar do ... agar wo mohtaaj wa muflis bhi hon to Allaah ounhen apne fazl se ghani bana dega ..."


ghaaleban eisi aayat ki taraf aap ka aeshaarah hai


is hawaale se arz kar dun ke is aayat ke mokhaatab wo log hain jin ke paas shaadi ke imkaanaat maujud hain ... nekaah ki qudrat rakhte hain, mahr de sakte hain, naano nafqah de sakte hain, shaadi ke baad apni zindagi maamul ke motaabiq guzaar sakte hain ... lekin dar is baat ka hai ke shaadi ke baad keya hoga ?


shaadi ke baad baal bach'chon ke aekhraajaat badhne ke baa'aes kahin bilkul muflis wa tang dast ho kar rah jaa'aen


is khauf wa dar ke maare shaadi se bhaagte wa bach'te hain is bena par khoda wande mota'aal ne aiyse logon ko mokhaatab kar ke farmaaya muflesi ka tars khaa kar shaadi karne se gurez mat karo khoda tumhen be neyaaz kar dega


Mazkurah baala tafsir ki taa'eid is hadis se hoti hai :


Imaam Saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :


مَن تَرَكَ التَّزوِيجَ مَخَافَةَ العَيلَةِ فَقَد اَسَاءَ الظَّن بِرَبِّهِ بِقَولِهِ سُبحَانَهُ : اَن يَكُونُوا فُقَرَاء ...


"jo muflesi ke khauf se shaadi ko tark kare to beshak ous ne apne rab ke saath suae zan (bad gomaani) kiya. khoda ke is qaul se : agar wo mohtaaj (faqir) hon'ge to Allaah apne fazl se ounhen ghani kar dega"


is ke baad waali aayat ke mokhaatab wo log hain jin ke paas shaadi ke imkaanaat maujud nahi hain, shaadi ke moqaddemaat faraaham nahi hain masalan ach'chhe rishte nahi aate, mahr nahi de sakte, biwi aur bach'chon ke aekhraajaat pure nahi kar sakte ... to khoda ne farmaaya :


"aiyse logon ko paakdaamani aekhteyaar karna chaa'hiae jo nekaah (shaadi) ki istetaa'at nahi paate (bad kaari ke paas na jaa'aen, sabr karen) yahaan tak ke Allaah ounhen apne fazl se ghani farmaa de ..."


(nur 33 / tafsire "majmaoul bayaan" jild 7 p 185)


maalum huaa ke dono aayaton (nur 32-33) ke mokhaatab 2 alag alag geroh hain oummid hai ke mazkurah aayaton ke mota'alliq ghalat fahmi ka aezaala ho gaya ho ga


malhuz khaatir rahe ke shaadi ke pahle ya shaadi ke baad, rizq talaash karne aur mehnat kar ke kamaane ka hukm diya gaya hai


khoda ghar baithe, be'wasile aur sirf doa karne se rizq nahi deta hai


kaha jaata hai ke "jab khoda deta hai to chap'par phaad kar deta hai"


pahle ye ke aiysa to shaazo naadir hi hota hai dusre ye ke ham samajhte hain ye eit'tefaaq hai jab ke aiysa nahi hai momkin hai khoda ki taraf se lutf aur fazlo bakhshish ho jis ki maslehat wa hikmat se ham waaqif nahi hain


khulaasa'ae kalaam ye ke eimaan wa tawakkul mehnat wa koshish ke saath ho


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


1 / ذیقعدہ / 1442 ھ.ق


🌹🌹🌹🌹🌹

روز ولادت با سعادت خواہر امام رضا، کریمئہ اہل بیت حضرت فاطمہ معصومہ ( سلام الله عليهم ) اور روز دختر

🌹🌹🌹🌹🌹

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen