اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
باسمہ تعالی
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar
8 / shaw'waal / 1344 hijri qamari ba'naame deen, insaaniyat ko zibh karne waala seyaasi wa gumraah firqa wahaabi ke pairo'kaar ki jasaarat ka natija inhedaame jannatul baqi hai. ye aalame islaam ke naaga'waar tarin aur andoh'naak waaqe'aat me se aek hai.
is din Imaame zamaana (عجل الله تعالی فرجه الشریف) ka qalbe mobaarak aur tamaam mohib'bine ahlebaite ismato tahaarat ke qolub majruh huae. ye din roze azaa aur ranjo gham hai. lehaaza tamaam momenin ki khidmat me taaziyat pesh karta hun.
jannatul baqi sirf aek qabristaan ka naam nahi hai balke taarikhe islaam ka azim khazaana hai. aasmaane welaayat wa imaamat ke chaar darakh'shaan setaaron ki qabren yahaan hain. Rasule akram ke chacha, zano farzand, as'haab, taabe'ein aur dusri shakhsi'yaat (صلوات الله و سلامه عليهم) ki qabren yahaan hain.
benaabar'ein 8 shaw'waal jannatul baqi par hamla wa hojum nahi tha balke taarikhe islaam par hamla wa hojum tha. jannatul baqi ki takhrib nahi thi balke islaame mohammadi ki takhrib thi.
islaami nahi balke seyaasi firqa wahaabi apne jaahelaana, gumraah'kun aur baatil aqaa'aed ki wajah se auliyaa'ae aelaahi ki qabron aur haram ko kharaab karte hain. ye to sabhi ko maalum hai lekin aek mohim matlab jis ki traf hamaari tawajjoh kam rahti hai wo ye hai ke 1750 me Ibne Sa'oud ke zariae shakhsi wa khaandaani hokumat Saudiya ki tashkil huei. is hokumat ki bunyaad do cheezon par rakhi gaei ; shamshir aur tarwije wahaabiyat
shamshir waala kaam Ibne Sa'oud ko saunpa gaya aur aeshaa'ate wahaabiyat Mohammad Bin Abdul Wah'haab ke zimme kiya gaya
aur 1948 me hokumate Israaeil ki bunyaad rakhi gaei. mohkam shawaahid wa sobut ke motaabiq in dono hokumaton ki taasis me Saltanate Bartaaniya ka aham role hai aur hokumate Israaeil ki tashkil me Saltanate Bartaaniya aur Saudiya dono ne badi mehnat ki hai.
Saudiya ki taarikh taqriban 267 saal hai, bahot qadimi nahi hai aur Israaeil ki taarikh maazi qarib hai yaani taqriban 69 saal
dono hokumaton ka guzishta taarik hai, in ki apni saqaafat, tahzeeb aur culture hai hi nahi
moqaddas neshaaniyaan, buzurgon ki yaad'gaaren aur aasaare qadima tahzeeb wa culture ki neshaan'dehi karti hain in sab cheezon se saqaafat, tahzeeb aur culture baaqi hai.
in dono hokumaton ka apna maazi hota to saqaafat, tahzeeb, culture aur yaad'gaaren hoti'n.
is liae tamaam aasaar khosusan islaami aasaar wa jannatul baqi se in ko dushmani wa nafrat hai, jahaan jaate hain pahla kaam takhrib'kaari hai, in ki naa-jaa'aez aulaad daa'aesh bhi aakhri dam tak yahi kaam kar rahe hain.
masjiden aur azaa'khaane jalaa'ae kitne
wahshiyon ne kiya islaam ki tahzeeb pe waar
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad Patna moqim Qumul moqaddas Iran
8 / shaw'waal / 1438 H.Q.
Transliterated by saiyed md Tabish urdu to roman urdu
No comments:
Comment