sawaal az : mohtaram janaab sohrab zaidi sb / lucknow
Salam alaiqoom
Corona ka vaccine Roze me lagwa sakte he... Does effectiveness of Vaccine is proven
taqlid Ayatullah Janab Sistani Saheb
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ji lagwaa sakte hain koei haraj nahi hai, ous se roza nahi tut'taa
roze ki haalat me covid - 19 vaccin ya dawaa ya gheza ya taaqat ka (jism ki taaqat ke liae) injection lagwaane se roza nahi tut'taa, khaah injection gosht me lgwaa'aen ya ragon me, khaah ous ki zarurat ho ya bela zarurat. chaaron suraton me lagwa sakte hain roza baatil nahi hoga
yahi hukm glucose chadh'waane ka hai yaani ous se bhi roza baatil nahi hoga
is baat par tawajjoh rahe ke mazkurah baalaa hukm sirf covid - 19 ke mareez ke saath khaas nahi balke tamaam bimaar afraad aur ghair bimaar afraad ka yahi hukm hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
25 / رمضان المبارک / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment