Sawaal az : mohtaram janaab naasir sb / madagascar
Salaam
Kya pahli saf me agar koi kursi par namaz padh raha hai to uske baad walo ki namaaz-e-jamaa'at me koi ishkaal hai ?
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
Mokhtasar jawaab :
eishkaal nahi hai
Qadre tafsili jawaab :
jo shakhs apne shar'ei ouzr ( jayse ghutnon ka operation yaa kamar yaa ghutnon me dard wa taklif yaa apaahaj yaa bimaari ... ) ki wajah se wheelchair yaa kursi par baith kar yaa khade ho kar ( masalan qeyaam kar sakta hai lekin roku yaa sajde waghairah ke liae kursi ka istemaal kare ) pahli saf yaa kisi aur saf ke darmeyaan me jamaa'at se namaaz padhe to is ka matlab ye nahi hai ke ous shakhs ki namaaz baatil hai, ous ki namaaz sahih hai is liae ke waaqe'ei ouzr ke baa'aes kursi ... par namaaz padh raha hai lehaaza eit'tesaal par koei asar nahi pade ga eit'tesaal barqaraar rahe ga is bunyaad par namaaz-e-jamaa'at sahih hai
namaaziyon ko barham wa parishaan hone ki zarurat nahi hai albatta behtar hai namaaz-e-jamaa'at ke dauraan kursiyaan saf ke kenaaron par rakhi jaa'aen
Jazakallah khair
ReplyDeleteShukriya
Delete