اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں
يَا مُذِلَّ كُلِّ جَبَّار
يا صاحب الزمان ادركنا
Musalmaanon me yahudiyon ka nofuz
Ghaasib hokumat Israeil ki tashkil ba'taure rasmi 1948 me huei, taqriban 73 saal ho ga'ae. Musalmaanon par mustaqil zulmo barbariyat ka silsila jaari hai, laakhon philistiniyon ko oun ke ghar wa kaashaane se nikaal diya gaya, wo dar badar ki thokaren khaa rahe hain, israaeili jail me maasum bach'chon par zulm ho raha hai aur sunni auraton wa ladkiyon ke saath zeyaad'ti ho rahi hai ...
Ghaza par wahshiyaana hamla jaari tha, bosna hercegovina (بوسنی و ہرزگوین) me hazaaron musalmaanon ka qatle'aam kiya gaya ... Barma me ghair insaani tariqe se musalmaanon ki nasli aur mazhabi tat'hir ki jaa rahi hai, hindustan me musalmaanon par zulm ho raha hai
Dusri traf islaam aur dobaarah khelaafate Banu Omaiy'yah ko zindah karne ke naam par takfiri, taalebaan, al-qaa'aedah, al'nusra aur daa'aesh waghairah ne laakhon musalmaano ko intehaaei be'dardi wa be'rahmi se qatl kiya aur auraton wa ladkiyon ki iz'zat luti ... Iraq aur Suriya waghairah ko tabaah kar diya ...
is waqt muslim mamaalik ki tanzim (oic) ke arkaan mamaalik ki taadaad taqriban 57 hai. oun me se aek yaa do mulkon ke aelaawah dusre mamaalik ne ab tak keya kiya ?
Musalmaanon ki madad wa hemaayat karna to dur ki baat, dushmanon se mil kar musalmaanon ke saath kheyaanaten ki'n aur kar rahe hain agar qibla'ae aw'wal (baiytul maqdas) aur philistiniyon ke saath in ki kheyaanaten na hotin to aaj philistiniyon par is tarah zulm na hota aur qibla'ae aw'wal par ghaasib hokumat ka qabza na hota.
Sab khaamosh tamaashaa'ei bane baithe hain, kaan par ju'n tak nahi reng rahi hai balke alaaniyah wa khuf'yah taur par har tarah se dushmanon ka saath de rahe hain
Is ki asl wajah keya hai ? Is ko samajhne aur is ka jawaab paane ke liae ham ko maazi ki taarikh ko dekhna aur kuredna hoga
Yahudiyon ka maqsad islaam aur musalmaanon ko khatm karna tha lehaaza chaahte the lashkar'kashi aur fauj ke zariae Rasule akram (صلى الله عليه وآله) ko kaam'yaab na hone den lekin Amirul momenin Ali (عليه السلام) ke tawas'sut se oun ko har maidaan me shikast, khaari aur khif'fat uthaana padi to apni policy badal di
Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ki shahaadat ke baad haal hi me musalmaan huae (naw muslim / نو مسلم) logon ke darmeyaan nofuz karne aur oun ke andar ghusne ka tariqa intekhaab kiya, Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ki laash chhod kar Abu'bakr wa Umar aur kuchh yahudi ... khelaafat ka intezaam karne saqifa bani saa'aedah me chale ga'ae wahaan khelaafat ke hawaale se aekhtelaat hu'aa to "Zaid bin Saabit" (زید بن ثابت) ne jo yahudi tha Abu'Bakr ki hemaayat ki aur oun ki bai'at bhi ki dusron se bhi bai'at karne ke liae kaha is tarah Abu'Bakr khalifa ban ga'ae, dar'haqiqat ye yahudiyon ki hemaayat ke baad khalifa bane
shaayaane zikr hai Saqifah, bani saa'aedah madina me waaqe wo jagah hai jahaan monaafeqin aur yahudi meeting kiya karte the ...
Nofuz karne waale aur yahudi jaasuson ke chand aham afraad ke naam :
- Zaid Bin Saabit (زید بن ثابت) :
- Kaabul Ahbaar (کعب الاحبار) :
- Abdullah Bin Salaam (عبداللہ بن سلام) :
- Wahab Bin Monab'beh (وہب بن مُنَبِّہ) :
- Tamim Daari (تمیم داری) :
Ye shakhs yahudi tha jaisa ke arz kiya Abu'Bakr ko khalifa banaane me is ne aham kirdaar adaa kiya
Umar ne apne daure khelaafat me is ko qaazi banaaya tha aur Usmaan ne apne daure khelaafat me is mansab par is ko baaqi rakha, Umar ne apna wazire khazaana banaaya aur Usmaan ne baitul'maal ka in-charge wa motawalli
Umar aur Usmaan kahin jaate the to is shakhs ko apna qaa'aem maqaam aur jaa'nashin bana kar jaate the
ye fatwa bhi deta tha aur mofas'sire qur'aan bhi tha, haqiqat me ye Umar wa Usmaan ka wazire saqaafat tha
ye yahudi tha aur Umar ka moshaawir (mash'wera dene waala) isi ke mash'wera dene par Umar ne Usmaan ko khalifa banaaya, Umar ko is par is qadr aetemaad tha ke namaaze taraawih padhaane ke liae is ko imaame jamaa'at moqarrar kiya tha.
aur Usmaan ne is ko masnade qazaawat par bethaaya tha aur fatwa bhi deta tha
is ne musalmaanon ke darmeyaan man'ghadat wa jaali rewaayaat aur yahudiyon ke khoraafaat wa afsaanon ... ki bharmaar kar di
Ye bhi yahudi tha aur Usmaan ka moshaawir, tafsir waghairah me afsaanon, jhuti baaton aur qisse kahaaniyon ko daakhil kiya,
is ne Usmaan ko "khalifa'ae shahid" ka laqab diya aur Umar ko sabse pahle jis ne faaruq ka laqab diya wo ahle ketaab the
Yahudi tha, Umar ne mansabe qazaawat is ke supurd kiya tha is ne bhi bahot saare khoraafaat, afsaanon aur jhute qisson ko Ambiyaa se mansub kiya aur Kaabul Ahbaar ki tarah ahaadis jaal kiya
ye masihi (nasraani) tha tino khalifa ko is par bahot aetemaad wa aetebaar tha
Umar ke nazdik is ka aisa maqaam tha ke "Kaabul Ahbaar" ki tarah is ko bhi taraawih padhaane ke liae imaame jamaa'at moqarrar kiya tha
Umar aur Usmaan ke daure khelaafat me oun ki aejaazat se Masjide Nabi (صلى الله عليه وآله) me masihiyat ke jhute qisse kahaaniyan sunaaya karta tha
is tarah bahot saari jhuti baaten, khoraafaat aur afsaanon ko musalmaanon ke aqaa'aed me shaamil kiya
is ke khoraafaat abhi bhi ketaabon me baaqi hain
Usmaan ke daure khelaafat me bhi is ka yahi kaam tha
Umar aur Usmaan is ka bahot aehteraam karte the
Mokhtasar ye ke mazkurah baala afraad aur tin kholafa ke darmeyaan do tarafa rawaabit wa ta'alluqaat the, ye kholafa ki hemaayat karte the aur kholafa in ki hemaayat wa taa'eid karte the
Yahaan do baaten ghaur talab hain :
- ye sab musalmaan ho ga'ae the is me shak nahi lekin taarikhi shawaahid wa qaraa'aen aur mokhtalif dalaa'ael wa sobut ke motaabiq wo zaaheran musalmaan the baatenan yahudi wa monaafiq the
nofuz karne waala aur jaasus apni haqiqat wa asliyat ko makhfi rakhta hai albatta oun ki haqiqat aur man ghadat baaton se kholafa baa'khabar the is ke baa'wojud oun ko mohim ohde diae aur har tarah se oun ki hemaayat wa taa'eid ki - Usmaan ke baad mazkurah afraad wa anaasir ne Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ki khelaafat ko qabul na kiya, sab bhaag kar shaam, Mo'aawiyah ke paas chale ga'ae, Mo'aawiya ne bhi kholafa ki tarah har tarah se oun ki hemaayat ki ...
ye lamha'ae fikriyah hai, keya oun ki nazar me Hazrat Ali (عليه السلام) chauthe khalifa bhi nahi the ? Yaa daal me kuchh kaala wa mash'kuk mo'aamalah hai ? Yaa musalmaanon ke bhes me islaam aur Hazrat Ali (عليه السلام) se apne aabaa-o-ajdaad ka inteqaam lena chaahte the ?
Faisala aap khud karen
kholafa ke baad hokumat, Banu Omaiy'yah ko muntaqil huei to oun ki hokumat ke dauraan bhi yahudiyon aur eisaaeiyon ne intehaaei aham kirdaar adaa kiya
Ous ke bhi sirf chand namune aur misaalen molaaheza hon :
"Sarjun ya (Sergios) bin Mansur Rumi" masihi tha, ye Mo'aawiyah bin Abu Sufiyaan ka kaatib wa munshi aur khaas moshaawir tha, Mo'aawiyah ne is ko mokhtalif ohde di'ae the oun me se intehaaei has'saas aedaara ka ohda ye tha ke, ye fauj ka wazire khazaana tha
Mo'aawiyah ke baad is ke bete yazid ka bhi khaas moshaawir tha
jab kufe ke shi'on ne hazrat Muslim (عليه السلام) ke haathon par bai'at ki to "Sarjun" ne hi yazid ko mashwera diya ke oun ko sar'kob karne ke liae Ibne Zeyaad ko bhejo
al'mokhtasar ye ke 5 afraad ki hokumaton yaani pahle Mo'aawiyah (Mo'aawiyah bin Abu Sufiyaan), pahle Yazid (Yazid bin Mo'aawiyah bin Abu Sufiyaan), dusre Mo'aawiyah (Mo'aawiyah bin Yazid bin Mo'aawiya bin Abu Sufiyaan), Marwaan bin Hakam aur Abdul Malik bin Marwaan ne is ko bade bade ohde di'ae, taqriban nisf sadi tak Banu Omaiy'yah ke darbaar me "Sarjun" ka nofuz tha
Saltanate Rum se "Sarjun" ko gahra rabt tha, is bena par darbaare Mo'aawiyah me Rum ki eisaaei hokumat ka kaafi nofuz tha
Baaz mowar'rekhin ne yahaan tak likha hai ke eisaaeiyat ke gadh Rum ke darbaar (byzantine saltanat) se Banu Omaiy'yah ka gahra rabt wa ta'alluq daure jaaheliyat se hi tha
aur Usmaan wa Abu Sufiyaan Rum ke byzantine (بازنطینی) shahanshaah (empire) ke aala'ae kaar the, wo apne seyaasi maqaasid ke hosul ke liae oun ko ba'taur jaasus istemaal karte the
Yahan is haqiqat ki taraf aeshaarah karna zaruri hai ke Abu Sufyaan, Mo'aawiyah, Yazid aur Ousmaan, Qoraishi aur Arab nahi the balke Rumi the, is liae ke ye log Omaiy'yah ki nasl se hain, Omaiy'yah Rumi ghulaam tha jis ka hasabo nasab maalum nahi tha, is ke baap daada ka kuchh pata nahi tha
"Abd Shams" ne is ko kharida tha lehaaza ye kahna ke Abu Sufyaan, Mo'aawiyah aur Ousmaan waghairah ka silsila'ae nasab Hazrar Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ke jad'de amjad "Hazrat Abd Manaaf" se jaa milta hai bilkul ghalat hai
Umar ke zamaane me Rumiyon ko munshi bana kar bahot se mo'aamalaat ka in-charge bana diya gaya tha
Saltanate Usmaani ke zawaal me is mas'ale ko sab se zeyaadah dakhal raha hai ke ous ke aksar safir ghair muslim the
kisi muslim mulk ka naam liae be'ghair bata dun ke maujudah aek do mulkon wa hukkaam ke aelaawah tamaam muslim mamaalik wa hukkaam ki surate haal wahi hai jo Kholafa aur Banu Omaiy'yah ki hokumat wa hukkaam ki thi
is waqt muslim mulkon ka kirdaar mokammal taur par ayaan hai, shi'on ke khelaaf ladne ke liae dusre mulkon me fauj bhej dete hain aur commander bhi bhej diae hain
Israaeil ka sefaarat khaana in ke mulk me hai aur in ka sefaarat khaana israaeil me ... aur laffaazi aisi kamaal ki ke jo Baitul Moqaddas ki taraf haath badhaa'ae ga ous ke haath kaat dunga ... barma ke musalmaanon ki madad paidal jaa kar karunga ... aur naadaan musalmaan isi par khush ho kar kahte hain aalame islaam ka rahbar yahi hai
Philistiniyon aur musalmaanon ki madad karna dur ki baat, ye Aale Yahud oun ki pusht par khanjar maarte hain
In sab ke moshaawir aur aaqa maula America wa israaeil hain, ye in ke gholaam hain, kutte ki tarah in ke aeshaara par dum hilaate rahte hain aur in ke talwe chaat'te hain
Aur jo Shaikh, Mufti aur kath'mulla barsaati mendak ki tarah nomudaar ho kar shi'on ke khelaaf khub tar-tar kar ke shor ghul machaate hain aur fatwon ka baazaar garm kar dete hain, wo sunni musalmaan bhaaeiyon par zulm karne waalon ke khelaaf fatwe keyon nahi dete ? Jehaad ke fatwe kis qabristaan me dafn kar dete hain
ghaz'zah ke sunni bhaaeiyon par aisa zulm ho raha tha jo qaabile bayaan nahi hai lekin tum log khaamosh rahe, aise mauqe par ay beghairaton, ay aale yahud, ay monaafiqon apne aslaaf ki pairawi karte hu'ae chuhon ke bilon me ghus jaate ho
Musalmaanon ke saath muslim mamaalik ki kheyaanaton ki wajah waazeh ho gaei, ummid hai jawaab mil gaya hoga. As'haabe Saqifa aur Banu Omaiy'yah se nazdiki aur Ahlebaite Rasul (صلوات الله علیهم) se duri ka natija hai
khishte aw'wal gar nahad me'maar kaj
Taa soraiy'ya mi rawad diwaar kaj
خشت اول گر نهد معمار کج
تا ثریا می رود دیوار کج
"taamir karne waala agar bunyaad ki pahli eint hi tedhi rakh de to ous par khadi hone waali diwaar aasmaan ki balandi (aakhir) tak tedhi rahti hai"
maujudah surate haal se agar nikalna chaahte ho to apni asaas wa bunyaad sahih karo yaani maidaane jehaad se bhaagne waalon ke bajaa'ae Ahlebaite Resaalat (صلوات الله علیهم) ki pairawi wa aetaa'at karo warna aise hi zalil wa khaar hote raho ge aur tumhaare nasib me hamesha kutte ki tarah dum hilaana hi rahega
Agar koei kahe ke gaz'zah waghairah me israaeil aur America ... ka dandaan shekan jawaab dene waale to shia nahi hain lekin eint ka jawaab pat'thar se de rahe hain
is ka jawaab ye hai ke oun ka gahra rabt wa ta'alluq iran, hizbullaah aur yaman ke hausiyon aur aeraaqi shia tanzimon ... se hai, baa'alfaaze digar shi'on se hai. Iran aur hizbullaah waghairah ne tamaam muslim mamaalik ki tarah laffaazi nahi ki aur sirf zabaan se oun ki hemaayat nahi ki is liae ki sirf halwa halwa (mithaaei mithaaei) kahne se munh mitha nahi hota hai balke oun ko aetna mazbut kar diya hai ke oun me aalame kufro nefaaq se moqaabala karne ki salaahiyat hai. israaeil ke khelaaf haaliya 11 roza jung me kaamyaabi munh bolta sobut hai
Roze Aashura Imaam Husain (علیه السلام) ka taarikhi jumla aaj bhi fezaa'on me gunj raha hai, jab Banu Omaiy'yah ... ke pairo'kaar ne khaimon ka rukh kiya to aap ne farmaaya :
وَیحَکُم یَا شِیعَةَ آلِ اَبِی سُفیَان اِن لَم یَکُن لَکُم دِین وَ کُنتُم لَاتَخَافُونَ المَعَادَ فَکُونُوا اَحرَاراً فِی دُنیَاکُم ...۔
"ay Aale Abu Sufiyaan ke shia (pairo'kaar) tum par halaakat ho, agar tumhaare paas din nahi hai aur qeyaamat se nahi darte ho to kam se kam apni dunya me aazaad raho"
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat
9 / shaw'wal / 1442
translitrated by Saiyed Mohammad Tabish from urdu to roman urdu
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment