Sawaal az : Mohtarama janaab Falak Zehra s.b ( UP / varanasi )
Kiya agar blood kisi aur wajah se aa jaaye to kiya ghusl wajib hai aur uski niyat keya hai
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
agar aap ki moraad wo khun hai jo rahim se na nikle jayse bakaarat, zakhm, phode aur phunsi ka khun to ghusl nahi hai namaaz ke liae ous khun ko dho lena ( paak kar lena ) hi kaafi hai
ous khun se ghusl aur wozu baatil nahi hota aur roza sahih hai
Note :
rahim nikaalne ke baad aane waale khun ke baare me foqaha ke darmeyaan aekhtelaaf hai aap ne apne marja ka naam nahi bataaya lehaaza ous ka hukm bataane se maazur hun
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔24 / رمضان المبارک / 1442ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment