Sawaal az : .....
Salamun Alaikum
agar koi shakhs sahabe haisiyat hai aur woh fitre ki raqm ziyada nikalna chahta hai masla 3kg gardum se ziyada nikalna chahe to kya hukm hai kya sirf 3kg hi nikala ja sakta hai ziyada bhi nikala ja sakta hai.
Taqlid : Ayatullah syed Ali Sistani sb.
Ho sake to mera naam na show kare
Jawaab :
باسمه تعالى
>ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
fitre ki meqdaar fi kas (yaani har aek fard ki taraf se) 3 kg hi hai is se zeyaadah nahi hai ya 3 kg dene ke bajaa'ae ous ki qimat (paiyse) den
Note :
agar zarurat mandon ki madad karna chaahte / chaahti hain to 3 kg se zeyaadah hadiyah ya sadqah ya eidi ke taur par de sakti / de sakte hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
1 / شوال / 1442 ھ.ق
🌹روز عید سعید فطر🌹
No comments:
Comment