Sawaal az : mohtaram janaab Abrar Hussain / Azimabad Patna
Salamun Alaikum wrwb..
Jharkhand se ek sawal hai jiska jawaab unhe jald chahiye tha.
Sawal.....
Salamun Allekum
Mere ghar me meri daadi ka inteqal ho gaya tha. Unka chehlum 11 May ko tha.. To kya is year (saal) ghar ke log Eid mana sakte hain ? New dress le sakte hain ?
Plz jawab de
Badi meharbani hogi.
Abrar Hussain
Azimabad Patna
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ji mana sakte hain aur na'ae lebaas bhi le sakte hain aur pahen sakte hain aur se'waiy'yaan (سویاں) bhi bana wa khaa sakte hain, shar (شرع) ki ru se koei haraj nahi hai
maiy'yit (ميت) ke ghar waalon ke liae behtar ye hai ke tin roz se zeyaadah taaziyat ke liae aur sog me na baiythen. ahaadis-e-mobaaraka me tin din taaziyat ke liae baiythne aur sog karne ka zikr hai
sog wa gham ke ta'alluq se jahaan tak ho sake ifraat wa zeyaat'ti se parhez karen, hadde aetedaal se badh jaana ach'chhi baat nahi hai
wo aurat jo iddat-e-wafaat (عدت وفات) me hai sirf ous ke liae hai ke iddat ke zamaane me zinati lebaas na pahne, surma (kaajal) na lagaa'ae aur make-up na kare, isi tarah wo kaam na kare jis ki ginti wa shumaar zinat me ho, ye saari chizen iddat-e-wafaat ke darmeyaan ous par haraam hain
aap ko eilm hoga ke jis aurat ke shauhar ka inteqaal ho gaya hai aur haamelah nahi hai to iddat-e-wafaat ki muddat 4 mahina 10 roz qamari hai
is tarah sog karne ka hukm dusron ke liae nahi hai
Note :
mazid tafsil ke liae niche recommend ki gaei video dekh len
may'yit ke ghar khaane, khaana bhejne, taaziyat, daswaan, biswaan ka hukm
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
24 / رمضان الكريم / 1440 ھ.ق
No comments:
Comment