Sawaal az : mohtaram janaab Gulfam sb
Salam walikum
Mera Ek Sawaal Hai Mehrbani kar ke batayen kya ham safar ke dauraan roza rakh sakte hain ham peshe se driver hain kya mere liye sahi rahe ga ?
Aap Ke Message ka ham wait kar rahe hain
Aghaa sistaani sb
Shukriya WA Salam.....
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
jis shakhs ka pesha wa kaam safar ho jayse aysa driver jo taqriban 22 km ( jaana aana mila kar taqriban 44 km ) ki shar'ei masaafat tay kar ke mosaafir ya saamaan ko manzil tak le jaata hai to safar ki haalat me ous ke liae zaruri hai ke namaaz puri padhe aur roza rakhe, roza sahih hai
Note :
- driver ka ounwaan saadiq aane ke liae zaruri wa shart ye hai ke hamesha drivery ka aeraada rakhta ho aur aaraam karne ka waqt aetna ho jetna aam taur par driver karte hain ous se zeyaadah wa tulaani na ho isi waaste masalan hafte me aek roz safar kare to driver saadiq nahi aa'ae ga
- jis shakhs ka pesha wa kaam safar ho ous ke liae zaruri nahi hai ke ous ko "kasirus safar" kahen balke logon ( ourf ) ke nazdik ous par taqriban 22 km ( jaana aana mila kar taqriban 44 km ) ki shar'ei masaafat tay karne waala ounwaan saadiq aa'ae to ous ki namaaz tamaam hai aur roza sahih, chaahe ye kaam ous ka waqti kaam wa pesha ho
- jis shakhs ka pesha wa kaam safar hai jayse driver, agar wo kisi dusre kaam ke liae masalan zeyaarat yaa haj yaa rishtedaaron se milne yaa bimaari ke aelaaj yaa tafrih ... ke liae safar kare to ous ki namaaz qasr hai aur roza sahih nahi hai magar ye ke ourf me ous ko "kasirus safar" kahen, ous shakhs ki tarah jo hamesha hafte me 3 roz safar ki haalat me rahta ho to is surat me ous ki namaaz hatta haj yaa zeyaarat ya rishtedaaron se molaaqaat ... ke safar me tamaam hai aur roza sahih hai
( mazid tafsilaat tauzihul masaa'ael me dekh len )
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrar azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔18 / رمضان المبارک / 1442 ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment