Qaa'aede inqelaab ke nazdik chaand ki royat ke mota'alliq it'tehaade ofoq - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Wednesday, May 12, 2021

Qaa'aede inqelaab ke nazdik chaand ki royat ke mota'alliq it'tehaade ofoq

Sawaal az : mohtaram janaab Tanwir Ali Sb / Delhi


Salam,


  1. Aytullah khamenei sahab ke hisaab se chaand ke liye ofooq ka kya hukm hai ?

  2. kya india aur iran ka ofooq ek mana jayega ?

Apke jawab ka intezar rahega abhi...


Jawaab :


باسمه تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


  1. royate helaal (رؤیت هلال) me ofoq ka muttahid (متحد) hona shart hai

  2. nahi, is liae ke Hindustan, Iran ke mashriq (East) me waaqe hai aur Iran maghrib (West) me waaqe hai, lehaaza agar Iran me royate helaal saabit ho jaa'ae to Hindustan me saabit nahi hai

Wazaahat :


mazkurah baala jawaab ke baad sawaal karne waale mausuf ne faarsi me likhi aek tahrir bheji jo "Janaab Ali Reza Mowahhid Nejad Sb (علی رضا موحد نژاد)" ki taraf se hai, ous me ounho ne chand mulkon kaa naam le kar likha hai ke agar Iran me roze Jum'aa eide sa'eide fitr ka aelaan ho to in mamaalik ke log is aelaan par amal karen, oun mulkon me Pakistan wa Hindustan ka bhi zikr hai. is ke baad likhte hain :


lekin Hindustan ka shumaal mashriq wa shumaal maghrib (Northeast, Northwest) juda hai (yaani is aelaaqe ke log Iran ke aelaan par amal na karen, is liae ke in aelaaqon ka ofoq aur Iran ka ofoq muttahid nahi hai)


haqir ne eid ki taatil ke baa'wojud daftare Rahbar ke aek zimmedaar shakhs se is tahrir (khat) ke baare me puchha to ounho ne tahqiq karne ke baad bataaya ke wo tahrir sahih wa motabar hai


Janaab Ali Reza Mowahhid Nejad, Rahbare Inqelaab ki jaanib se muntakhab royate helaal committee ke aek zimmedaar shakhs hain, is committee me maahire falakiyaat (ماہر فلکیات) wa nojum ke taqriban 150 group hain


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


1 / شوال / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen