Sawaal az : mohtaram janaab Syed Arsalan Askari sb (Gujarat)
Assalamu Alaykum
Asr ki namaz ke time me itna ikhtelaaf kyu hai sunni ahle hadith ki azaan ke 1 ghante baad azaan kyu dete hai aur fiqahe jafare Sadiq علیہ السلام me asr ka kya waqt hai... darasal me sunni area me rehta hu to kya ahle hadith ki azaan hone par namaz hogi jo sunniyo ki azaan se 1 ghante pahle hoti hai yaa phir sunniyo ki azaan ho tab namaz padhu
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
shia fiqh (fiqhe jaafari) me asr ke waqt me koei aekhtelaaf nahi hai tamaam shia foqaha ka is baat par it'tefaaq hai ke zawaale aaftaab ke baad, namaaze zohr ka waqt ho jaata hai ghair mosaafir ke 4 rak'at aur mosaafir ke 2 rak'at padhne ke baad fauran (bela faasela) namaaze asr ka waqt shoru ho jaata hai
aekhtelaaf sunni fiqh me hai, sunni foqaha ke darmeyaan asr ke waqt ki ibteda me aekhtelaaf hai
Abu Hanifa ke nazdik jab har chiz ka saayah ous ke 2 misl wa baraabar (مِثلَيه) ho jaa'ae to ous waqt asr ka waqt shoru hota hai (yaani har chiz wa lakdi ka saayah apne 2 baraabar hone se asr ka waqt shoru ho jaata hai)
lekin Abu Hanifa ke shaagird masalan Abu Yusuf, Mohammad Bin Hasan Shaibaani aur ahle hadis wa maaliki wa shaafe'ei waghairah ka qaul hai ke har shay ka saayah jab ous ke misl wa baraabar (مِثلُه) ho jaa'ae to namaaze zohr ka waqt khatm aur asr ka shoru ho jaata hai (yaani har chiz wa lakdi ka saayah ousi ke baraabar wa misl ho jaa'ae to asr ke waqt ki ibteda hai)
aap jis aelaaqe me rehaa'eish pazir hain wo sunni aelaaqa hai lehaaza aap 2 kaam kar sakte hain :
zawaale aaftaab ke baad jab oun ki azaan ho to namaaze zohr padhne ke baad aap namaaze asr padh sakte hain
- toluae aaftaab aur ghorube aaftaab ke darmeyaan jetna faaselah hai ous ko aadha karen wahi aadha (nisf) waqte zohr hai
is liae ke tamaam mazaahib ke nazdik zohr ke waqt ki ibteda me koei aekhtelaaf nahi hai, zohr ke waqt ki ibteda yaksaan hai sab ke nazdik waqte zohr baad az zawaal hai
aekhtelaaf namaaze subh aur namaaze maghrib ke waqt ki ibteda me hai
aap namaaze subh oun ki azaane namaaz ke taqriban 15 minute baad padh sakte hain aur namaaze maghrib me taqriban 20 minute aehteyaat karne ke baad namaaze maghrib padh sakte hain aur namaaze maghrib ke fauran baad hi namaaze aesha ka waqt shoru ho jaata hai
Misaal :
masalan aaftaab 5 baje nikalta hai aur 7 (19) baje dubta hai to darmeyaani hissah 14 ghante huae aur 14 ka aadha 7 huaa, 5 baje se 7 ghante ka hesaab karen to 12 huaa pas 12 baje namaaze zohr ke waqt ki ibteda hai, 12 baje namaaze zohr padhne ke baad bela faaselah namaaze asr padh sakte hain
Niche recommend kiae gae jawaab ka padhna wa video dekhna mofid hai انشاءالله
- namaaze maghrib wa aesha ke auqaat | dono namaazon ka aakheri waqt kaun sa hota hai ? | aadhi raat maalum karne ka tariqa
5 waqt namaazon ki timing | aek saath padhna sunnat-e-rasul (s.a.w)
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
27 / رمضان المبارک / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment