sawaal az : mohtaram janaab syed shauzab reza sb / fateh pur ( up )
sawaal ka khulaasa :
syyedah nusrat begam amin ( jo baano amin se maaruf hain ) ko izraaeil ki maujudgi ka pata chal jaata tha oun ke baare me kaha jaata hai ke ounhon ne farmaaya "jab kabhi bhi izraaeil mere hamsaaya me naazil hote hain mai jaan jaati hun ke wo kis ke ghar jaa rahe hain aur kis ki ruh ko qabz karen ge ? aur ye sab kuchh mere qur'aan se gahre lagaao aur ous ke gahre ma'aani me ghaur-o-fikr karne se huaa hai is chiz ne meri aankhon ke saamne se sar basta raazon ke pardon ko hata diya ..."
ye message social media par chal raha hai
keya ye sahih hai ? is ka jawaab dijiae
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
aap ki khidmat me ye arz kar dun ke momkin hai maasumeen ( سلام الله عليهم ) ke aelaawah bhi baaz afraad apni maut yaa shahaadat ke waqt se baa'khabar hon
eisi tarah momkin hai maasumeen ( صلوات الله عليهم ) ke aelaawah bhi baaz afraad hazrate eizraaeil ( malakul maut ) ki maujudgi wa hozur se baa'khabar hon lekin aysi khabar rakhna, afraad ke ruhaani haalaat, tazkiya'ae ruh, tahzibe nafs aur eisi tarah maahau'layaati haalaat ( environmental conditions ) se waa'bastah hai
syyedah nusrat begam ameen al'maaruf ba "baano ameen" aalemah, mofassire qur'aan aur aarefah ...thin lekin keya hazrate eizraaeil ki maujudgi se baa'khabar ho jaati thin ? is hawaale se kuchh bataane se maazur hun
No comments:
Comment