khoda ne har jaandaar chiz ko paani se banaaya lekin paani kis chiz se bana ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, April 23, 2021

khoda ne har jaandaar chiz ko paani se banaaya lekin paani kis chiz se bana ?

sawaal az : mohtaram janaab qay'yum sb / taragarh ( ajmer )


Salamun alaikum Ye sawaal humse kisi ne poochha hai aap bataiye allah ne pani kisse ijad kiya aur chaar aisy cheeze hain jo insan ke sath rehti hai 2 Zahir 2 baatin Zahir konsi hai aur baatin konsi hai 


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


surah hud aayat 7 me hai :


"aur wo wahi ( allaah ) hai jis ne aasmaanon aur zamin ko 6 dinon ( 6 maraahil wa adwaar ) me payda kiya aur ous ka arsh paani par tha"


is aayate karimah ki tafsir me mofas'sereen ke nazariyaat yaksaan nahi hain baa'hami aekhtelaaf raha hai


beraadaraane sunni ki mash'hur tafsir ki ketaab "tafsire kabir fakhr raazi" me is tarah likha hai :


kaabul ahbaar ne kaha : khoda ne sabz yaaqut ko payda kiya phir ous par hay'bat ki nazar daali to wo larzaan ( لرزاں ) paani me tabdil ho gaya ( yaani wo sabz yaaqut pighal gaya, paani ban gaya ) phir hawa ko khalq kiya aur paani ko hawa par qaraar diya phir arsh ko paani par rakha


( tafsire kabir fakhr raazi jild 17 p 187 zail aayat 7 surah hud )


is rewaayat se maalum hota hai ke paani ki eijaad hare yaaqut se huei


mokhtalif dalilon se ye aur is tarah ki rewaayaat jaali wa man'ghadat ( من گھڑت ) hain


ye rewaayat kaabul ahbaar se naql huei hai, ye shakhs yahudi aur bahot bada darogh'go aur jhuta tha


dusre ye ke kaabul ahbaar ki rewaayat me jo nazariya bayaan kiya gaya hai ous ke bar'khelaaf khud sunni mofas'sereen aur daanish mandon ne likha hai


jayse saiyed qutb ka aeteqaad ye hai ke ye aayat ( hud 7 ) sirf is baat par dalaalat karti hai ke aasmaanon aur zameen ko payda karte waqt paani tha aur allaah ka arsh paani par tha


lekin ye paani kaysa tha ? aur kahaan tha ? aur haalaat wa kaiy'fiyaat me se kis haalat wa kayfiyat me tha ? aur is paani par arshe khoda kayse tha ? ... is hawaale se nas ne nahi bataaya hai ( yaani aayaat aur motabar rewaayaat is baare me saaf wa sarih nahi hain ) is ka ta'alluq oun ghay'bi omur se hai jis ke inkeshaaf wa samajhne se mofas'sir naa tawaan aur aajiz hai ...


( fi zalaalil qur'aan jild 4 p 1857 zail aayat 7 surah hud taalif saiyed qutb misri / in ke waalid hindustaani the )


aayaat aur maasumeen ( سلام الله عليهم ) se aysi baaten naql huei hain jis me hai ke : khoda ne jis maad'dah ko sab se pahle khalq kiya wo paani hai aur tamaam jaandaar chizon ko paani se banaaya


surah ambiya aayat 30 me allaah ta'aala ne irshaad farmaaya hai :


" ... aur har zindah chiz ko ham ne paani se payda kiya ... "


aek taweel hadis ke motaabiq shaam ke aek aalim ne aaghaaze paydaa'eish ke baare me imaam baaqir ( عليه السلام ) se sawaal kiya to aap ne farmaaya :


۔" ... وَ خَلَقَ الشَّئَ الَّذِى جَمِيعُ الاَشيَاءِ مِنهُ وَ هُوَ المَاءُ الَّذِى خَلَقَ الاَشيَاءَ مِنهُ فَجَعَلَ نَسَبَ كُلِّ شَئٍ اِلَى المَاءِ وَ لَم يَجعَل لِلمَاءِ نَسَبَاً يُضَافُ اِلَيهِ ... "۔


" ... aur sab se pahle khoda ne, wo chiz khalq farmaaei jis se tamaam chizen hain aur wo paani hai, jis se tamaam chizon ko khalq kiya aur har chiz ka nasab wa asl paani tak hai aur paani ka koei nasab qaraar nahi diya ke ous ki taraf paani ko mansub kiya jaa'ae ... "


( yaani asl maad'da'ae khilqat wa hayaat paani hai, har chiz ko paani se payda kiya lekin paani ko kis se payda kiya ? is baare me nahi bataaya )


(foruae kaafi " rauzatul kaafi " jild 8 p 80 baab hadisush'shaami ma'aa abi jaafar عليه السلام )

is se zeyaadah paani ke baare me nahi bata sakte, aayaat aur rewaayaat me saaf aur sarih nahi bataaya gaya hai ke paani ki eijaad kayse huei ?


sarih nas ke be'ghair izhaare raa'ae karna sahih nahi hai


albatta science daanon ne ye nazariyah pesh kiya hai ke paani ki eijaad wa tashkil 2 chizo wa anaasir yaani "hydrogen" aur "oxygen" se huei hai


khoda aur maasumeen ( صلوات الله عليهم ) ne paani ki eijaad aur tashkil ke baare me saraahat ke saath keyun nahi bataaya ? is ki hikmat wa maslehat se wahi aagaah hain


hamaara aqidah ye hai ke :


اِنَّمَا اَمرُهُ اِذَا اَرَادَ شَيئاً اَن یَقُولَ لَهُ کُن فَيَكُونُ


"wo jab kabhi kisi chiz ka aeraadah karta hai ouse aetna farma deta hai ke ho ja wo ousi waqt ho jaati hai"


( yaasin 82 )

yaani ous ki shaan to ye hai, phir ous ke liae paani ki eijaad kaun sa mushkil moaamalah hai


dusra sawaal moammah hai lehaaza jawaab dene se maazur hun



والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔10 / رمضان المبارک / 1442 ھ.ق


۔◾ روز وفات مادر امت ، صدیقہ حضرت خدیجہ ( سلام الله عليها ) ◾۔

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen