Sawaal az : mohtaram janaab Gulzar Ahmad sb (Kashmir srinagar)
Asalam alaikum
Sawal.....agar masjid me namaaze jamaat ho rahi ho aur kaei afraad jin ka imaame jamaat par kamil yaqeen bhi ho, namaaze jamaat me shirkat ke liye waqt bhi dastiyaab ho, magar phir bhi shirkat nahi karte hain aur gharon me hi namaaz padh rahe hain kya aagha khamenaei aur aaga sistani ke fatwa ke mutabiq oun ki namaaz sahi hai ?
Aap ka mamnoon
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهsab se pahle ye bata dun ke jamaa'at ke peshe nazar namaaz ki 3 aqsaam hain :
- wo namaaz hai jis ko baa jamaa'at ada karna waajib hai, foraada padhen to baatil hai wo namaaze jum'ah hai
- wo namaazen hain jis ko foraada padhna waajib hai, baa jamaa'at padhen to baatil hai wo namaaze tawaaf waghaiyrah aur mustahabbi namaazen hain magar chand namaazen jaise namaaze eide fitr, namaaze eide qurbaan aur namaaze baaraan ( istisqa )
wo namaazen hain jis ko jamaa'at se padh sakte hain aur foraada bhi
wo rozaana ki namaazen ( 5 waqt ki ) aur namaaze may'yit waghaiyrah hain
ghaaleban aap ka sawaal tisri qism me rozaana ki namaazon se marbut hai
is hawaale se bata dun ke namaaz sahih hai
albatta namaaze jamaa'at me sharik wa shaamil na hona be'aetenaaei ( be'parwaaei ) ki wajah se jaa'aez nahi hai aur sazaawaar nahi hai ke insaan bela ouzr namaaze jamaa'at ko tark kare
baa jamaa'at namaaz ki fazilat bahot zeyaadah hai aur shari'at me jamaa'at ka bahot zeyaadah aehtemaam kiya gaya hai
motabar rewaayaat ke motaabiq baa jamaa'at namaaz ada karna tanha namaaz ada karne par 25 darje fazilat rakhta hai
mokhtasar ye ke rewaayaat me bayaan kiya gaya hai ke : jamaa'at ke saath namaaz padhna akele namaaz padhne ke moqaabale me 25 guna zeyaadah fazilat rakhta hai aur zeyaadah afraad ki shirkat zeyaadah sawaab ka baa'aes bane gi
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔22 / شعبان / 1442 ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment