Sawaal az : .........
Salaam
Agar koi musalmaan qur'aan sharif ki chand aayaton se inkaar kare maslan kahe qur'aan ki chand aayaton me qatl aur jehaad waghaiyrah ka hukm diya gaya hai uske baare me bataaya gaya hai oun aayaton ko baaz huk'kaam ne apne zaati faa'aede ke liye quraan me daakhil kiya hai mokhtasar ye ke oun aayaton se wo inkaar kare to aaya aisa shaqs murtad hai ?
Isko murtad kaha jaayega ?
Mera naam etc show na kijiyega
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الرمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
dusre tamaam awaamil aur pahluon ko nazar andaaz karte huae shar'ei jawaab molaaheza farmaa len
agar aayat ke inkaar ka laazemah rasule khoda ( صلى الله عليه و آله ) ki takzib ( jhutlaana ) aur inkaare resaalat ho, yaani ye inkaar is tarah ho ke takzibe nabi aur inkaare resaalat ho jaa'ae to murtad hai, islaam se khaarij hai, ous par irtedaad ka hukm jaari wa laagu hoga
lekin agar moqaddas deen islaam ko apne deen ke ounwaan se intekhaab kiya hai aur nabi wa resaalat ko qabul karta hai lekin baaz wojuhaat ki bana par masalan :
deeni maahaul se duri aur ghalat maahaul ke asaraat, dushmanaane deen ki taraf se shak-o-shubha ki eijaad, dushmanon ki saazish, sar par dushman ki talwaar latakna aur deen se naa waaqefiyat ... takzibe nabi aur inkaare resaalat ka qasd-o-aeraadah kiae beghair aayat ka inkaar kare to murtad nahi hai
sirf tahrife qur'aan ka qaa'ael hone se koei musalmaan murtad nahi banta
albatta aysa shakhs munharif aur gumraah hai aur bahot bade ishtebaah ka irtekaab kiya hai
ayse shakhs ko chaahi'ae ke qur'aan karim ki adame tahreef par mohkam dalaa'ael wa baraaheen ka motaala'ah kare, gunaahon ki talaafi kare aur sirf khoda se dare
Niche recommend kiae gae article ko padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔12 / رمضان المبارک / 1442 ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment